hone laga hai khudpe aetbaar sa ek tere aa jaane se,
chhaane laga hai kuch khumaar sa ek tere aa jaane se,
barso se banjar thi ye bhoomi, khila na ek phool kabhi,
aaj yahaan khili hain bahaarein ek tere aa jaane se,
barso se jo sukhe the baadal, aaj wo baadal baras rahe hain,
usi baarish se mere aansoo bhi dhul gaye ek tere aa jane se,
toofaan me tinko ki tarha bikhar gaya tha main bhi kabhi,
unhi tinko ko fir main jod rahaaa hoon ek tere aa jaane se,
har taraf khaamoshi thi yahaan, chidiyon ki bhi kuk nahi thi,
aaj shor ke saath naach rahe hain mor ek tere aa jaane se,
tanhaa tha main bheed me bhi, sangi na koi saathi tha,
mil gaya hai saara jahaan mujhe aaj ek tere aa jaane se,
dhadkano ko ye shikayat thi ki dhadak rahe the meri marzi bina,
dhadkane bhi meri aaj jhoom rahi hain ek tere aa jaane se,
saanson ko bhi shikayat thi ki unme koi mehek nahi thi,
saansen bhi aaj kuch mehek rahe hain ek tere a jaane se,
tere saath se badhke kuch nahi, isse jyada ab kya main kahun,
maine zindagi ki paribhaasha ko jaana ek tere aa jaane se,
kalam fir khud se chalne lagi hai ek tere aa jaane se,
aaj firse main likhne laga hoon ek tere aa jaane se...
No comments:
Post a Comment