ab insaano me insaaniyat hi nahi rahi,
log khoon ke rishtey bhool jaate hain,
matlabi duniya aur matlabi log hain yahaan,
dosti karke log nibhaana bhool jaate hain,
mohabbat to bahut dur ki baat hai aajkal,
log pyaar se haath milana bhool jaate hain,
amiri garibi ka fark bahut jyaada hai,
log aaj apna astitwa bhool jaate hain,
kisi ko pahuchaye chot ka ehsaas kya hoga,
yahan to log qatl tak karke bhool jaate hain...
Bahut sachai aur gaheri baat kaha aapne Kapil ji,vert touching and great creation.hats off.madhu
ReplyDelete