kuch yun khoya tha main apne hi soch me,
ki samajh hi na paya haqeeqat zindagi ki,
chaha tha kisi jo apni saanso se badhkar,
bhool gaya tha keemat main apne saanso ki,
ye na samajhna ki gunehgaar wo hai meri,
sazaa bhugat raha hoon main apne gunaho ki,
usne to har baar bas yahi kaha tha mujhse,
main nahi hoon haqdar tumhaare chahaton ki,
kyun karte ho tum mujhse itni mohabbat,
main nahi hoon qaabil tumhaare jazbaaton ki,
par main hi naasamajh na samjha uski baat,
sazaa bhugat raha hoon main apne gunaho ki,
lagta tha sabse haseen us pal saath uska,
samajh na paya tha ehmiyat baaki rishton ki,
uske saath hone se jarurat na thi kisi ki,
aaj kami mehsoos karta hoon main apno ki,
rishton ko zindagi se maine mita diye the,
sazaa bhugat raha hoon main apne gunaho ki...
Wah wah Kapil ji,bahut ,dard,gaherai aur khoobsurti se apne ehsaaso ko bayaan kiya.bahut khoob.madhu
ReplyDelete