Buraa Waqt
SHABD
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai, dil k likhe ko to bas dil samajhta hai...
Sunday, August 9, 2020
Thursday, May 16, 2019
Gum liye baithaa hoon
ishq naa karungaa, yeh kasam liye baithaa hoon
toote huwe dil kaa main ghum liye baithaa hoon
bheegey se ehsaas baras naa jaayein kahin aaj
aankhon mein fir se shabnam liye baithaa hoon
kabhi bas naam teraa is dil mein mere rehtaa thaa
yaadon mein ab saare tere sitam liye baithaa hoon
kisine kaha hai likhne se dard halkaa hotaa hai
tabhi haathon mein aaj kalam liye baithaa hoon
naa koi maqsad hai, naa hi koi manzil hai meri
bewajah hi shaayad yeh janam liye baithaa hoon
Tuesday, April 30, 2019
Sataate They Woh
nazar mil jaaye to nazar churaate they woh
jaane kyun mujhse itnaa sharmaate they woh
main kabhi samajh hi nahi paayaa ki kyun
meri har kisi baat pe muskuraate they woh
poochhlun unse kyaa baat hai muskuraane ki
mere us baat ko bas hasi mein udaate they woh
paagal banaate they adaaon se saamne reh kar
raat mein khwaabon mein aake sataate they woh
Monday, April 29, 2019
Tum se hi
tum se hi
sab baatein hain
tum se hi
yeh saansein hain
tum baadal ho
tum baarish bhi
tum se hi
har mausam hai
tum nadi bhi ho
tum jharnaa ho
tum se hi
to saagar hai
tum chaahat ho
tum mohabbat ho
tum se hi
har dhadkan hai
is shaayar ki
tum khwaahish ho
tum se hi
har ghazal bhi hai
tum anamika
tum kasak bhi ho
tum se hi
yeh Hriday bhi hai
Saturday, February 2, 2019
Mere aansuon ki kahaani
aansuon se apne kuch yun main nikhartaa rahaa
kabhi jeetaa rahaa, to kabhi main martaa rahaa
yeh pataa hi nahi, ki thaa mujhe jaanaa kahaan
main kabhi chaltaa rahaa, kabhi thahartaa rahaa
taanhaayi kaa aalam, kuch yun rahaa mere yaaron
tanhaa rahi raatein, tanhaa din guzartaa rahaa
keh paayaa nahi dil ki main baat kabhi kisi se
baat dil mein dabaake toot_taa bikhartaa rahaa
Sunday, September 9, 2018
Dekho naa
khud ko meri baahon mein bhar ke to dekho naa
meri baajuon mein tutke bikhar ke to dekho naa
doob jaaun tumhaari nasheeli aankhon mein main
tum bhi meri aankhon mein utar ke to dekho naa
bheeg jaao chaahat ki baarish mein meri tum
meri mohabbat mein sajke sanwar ke to dekho naa
badi haseen cheez hai mohabbat jaan loge tum
tum mujh sangh hadd se guzar ke to dekho naa
paa kar tumhe "Hriday" bhool jaaye duniya saari
mujhe is tarhaa se pyaar kar ke to dekho naa
Sunday, February 25, 2018
Wednesday, November 8, 2017
Woh to hum par marte hain
hamaari tasveer ko chhip chhipke dekhaa karte hain
humse unhein mohabbat hai, kehne se bas darte hain
milne ki hai khwaahish magar kisi se keh paate nahi
woh aaine ke saamne baith, sajte aur sanwarte hain
khwaab dekhaa karte hain ki baahon mein bharlen hum
aankh moond kar tanhaa hi toot_te aur bikharte hain
kehte nahi kabhi hothon se, humse woh chhipaate hain
jaante hain hum lekin yeh, woh to hum par marte hain
"Hriday" ek deewaanaa hai, kyaa kisi ko samjhaayein
kehte nahi kisi se lekin hum pyaar unhi se karte hain

Friday, October 13, 2017
De deedaar ek baar ke liye
tadap uth_te hain hum jin ke deedaar ke liye
aajaayein saamne hamaare bas ek baar ke liye
kab kahaa humne woh aake hamaari ho jaayein
bas ek jhalak bahut hogi is bimaar ke liye
mohabbat to adhuri thi, adhuri hi rahegi ab
isse buraa kyaa hogaa is gunehgaar ke liye
de den deedaar woh is dil ke sukuun ke liye
naa to inkaar ke liye, naa hi iqraar ke liye
jahaan bhi rahein khush rahein woh humeshaa
duwaayein maangte hain apne us yaar ke liye

Tuesday, October 10, 2017
Har khabar mein hoon main
veeraane se kisi shahar mein hoon main
ajnabi saa apne hi ghar mein hoon main
jo chhooke bhi chhoo naa paai kinaare ko
samundar ke har us lahar mein hoon main
afwaaon ki kami nahi hai is shahar mein
akhbaar ki har khabar mein hoon main
yun to log jaante nahi ki kaun hoon main
bhatke huwe musafir ke safar mein hoon main
dhund rahaa hoon jise mandiron mein main
woh kehtaa ki har paththar mein hoon main

Monday, September 11, 2017
Hum panchhiyon ke par dekhte hain
zindagi mein aaj bhi teraa hi asar dekhte hain
hum ab bhi wahi raat, wahi dopahar dekhte hain
jaante hain ki mumkin nahi apnaa milan kabhi
aaj bhi teri tasveer ko hum aksar dekhte hain
hawaaon ke sangh aajaati hai kabhi yaad teri to
aasmaan mein udte panchhiyon ke par dekhte hain
kuch galtiyaan humse hi hui hongi jaane anjaane
guzraa huwaa kal, guzri hui apni umar dekhte hain
dhundte hain tujhe har taraf apne magar, har baar
band deewaarein, soonaa saa apna ghar dekhte hain
gulaabon ki mehek se door jaa hi nahi paate they
ab murjhaayaa saa apnaa hum yeh shahar dekhte hain
tere chaand se chehre ko dekhaa karte they hum kabhi
ab aasmaan mein us chaand ko hum raatbhar dekhte hain

Subscribe to:
Posts (Atom)