Saturday, January 31, 2015

Bhooli Mohabbat


woh dekhkar humein har baar nazar churaa lete hain
aur hum apni bebasi par har baar muskuraa lete hain



waadaa kiyaa thaa naa milne kaa umra bhar to saamne aate kyun hain
aur jab aa hi jaate hain saamne fir humse nazar churaate kyun hain

jab dil se khel gaye hamaare aap khilaunaa samajhkar tab kuch nahi
ab jab toot gayaa hai khilaunaa to use dekhkar ghabraate kyun hain

hum to koshish mein hain ki bhulaaden har baat aapki, har yaad aapki
fir har baar saamne aake hamaare zakhmon par namak lagaate kyun hain

chhod dijiye naa tanhaa humein ki jeelen hum kuch pal chain se ab to
jaante hain naa dard hotaa hai, fir bhi chont pahuchaate kyun hain

humne to bahut pehle hi tod diyaa thaa har rishtaa aap se hamaaraa
fir kyaa haq hai aapkaa, aap raat mere khwaabon mein aate kyun hain

aadat nahi rahi hamaari ab dard sehne ki, bahut seh chuke hain hum
kyaa miltaa hai aapko humein chhed kar, aap humein sataate kyun hain

jaante hain naa aap, 'Hriday' ko kisi se bhi ab mohabbat ho nahi sakti
dil todaa thaa aapke haseen chehre ne, yaad humein dilaate kyun hain

Thursday, January 29, 2015

Bas yunhi


yeh kaisaa rishtaa hai meraa tum se
kuch keh bhi nahi paate
aur kahe binaa reh bhi nahi paate....

chehre par koi muskaan
kabhi aate aate theher jaati hai
ungliyaan machal jaati hain
kuch likhne ke liye
fir bas kuch dekhkar
yaa kuch sochkar
khud hi ruk jaati hain.....

kaagaz par naam aate aate
aksar theher jaataa hai
aur koi kissaa meraa apnaa saa
pooraa hote hote har baar
adhuraa hi reh jaataa hai...

haan koi kissaa mohabbat kaa
adhuraa hi reh jaataa hai...

Wednesday, January 28, 2015


unki nazron mein hamaare gunaah hazaar rahe
unki bewafaai ke liye bhi hum gunehgaar rahe

Saturday, January 24, 2015

Mujhe Mohabbat hai

 
naa hi basant se, naa hi bahaar se, naa hi kisi bhi tyohaar se
khushi milti hai hamaare is dil ko, to bas tumhaare hi pyaar se

tumhaari aankhein, tumhaari baatein, aur tumhaaraa chehraa hai
sukuun miltaa hai is paagal dil ko, bas tumhaare hi deedaar se

tumse hi meri saansein hain, aur tumse hi meri har dhadkan bhi
mujhe tum jo mili to lagtaa hai ki, huwe sapne mere saakaar se

mohabbat hai, haan mohabbat hai, bas itnaa hi main kehtaa hoon
tum mili, mujhe sab mil gayaa, ab aur kyaa lenaa is sansaar se

jab nikal rahi ho jaan hamaari, woh nikle tumhaari baahon mein
bas itni si sifaarish hai is dil ki, haseen hamaare sarkaar se
 
 


Friday, January 23, 2015

naa kabhi kam huwaa hai, naa kabhi ho paayegaa,
yeh to mohabbat hai, jo bas badhtaa hi jaayegaa...

Wednesday, January 21, 2015

Naa mujhe mohabbat nahi hai


main chhip chhip ke tumhe dekhtaa hoon
tumhaare muskuraane se main muskuraataa hoon
achchaa lagtaa hai sunte rehnaa tumhaari aawaaz
iskaa matlab yeh to nahi ki mujhe mohabbat hai...

naa dekhun tumhe to chain nahi miltaa
tumhaare naa hone se tumhe dhundte rehnaa
tumhaare baare mein bas sochte hi rehnaa
iskaa matlab yeh to nahi ki mujhe mohabbat hai...

kuch likhun to usme tumhaaraa naam aaye
koi khwaab dekhun to tumhaaraa chehraa aaye
har chehre mein bas tum hi tum nazar aanaa
iskaa matlab yeh to nahi ki mujhe mohabbat hai...

yeh to bas mere dil ka paagalpan hai tumko sochnaa
sochkar tumhaari baatein ladkhadaate rehnaa
kho jaanaa tumhaari nashili aankhon mein har baar
iskaa matlab yeh to nahi ki mujhe mohabbat hai...

Tuesday, January 20, 2015

Haseen anjaam dijiye






meri kahaani ko bas apnaa naam dijiye
meri mohabbat ko haseen anjaam dijiye

berang kahaani hai ab tak zindagi meri
mohabbat bharaa aap koi paighaam dijiye

bahut jee chukaa hoon tanhaa akele mein
ab to mere liye haseen koi shaam dijiye

mere hisse ki khushiyaan sab aapko dedun
mujhe aapke hisse ke ghum tamaam dijiye

aapko chaahun main, aapo hi pujun main
mere liye to bas itnaa saa kaam dijiye

Sunday, January 18, 2015

Kwaab toot jaate hain





khwaab aankhon mein hi kyun aksar dum tod dete hain
kuch pal saath nibhaa ke kyun saath chhod dete hain
aisaa kyun hotaa hai yahaan koi bataade humein bhi
jinko apnaa samjhte hain kyun woh muh mod lete hain

kyaa rishte isliye hote hain ki bas waqt guzar jaaye
do palon kaa bas saath ho, aur bas do pal muskuraaye
jinke saath zindagi guzaarne ke khwaab dekhte hain
kyun woh jaane anjaane hi saare khwaab tod dete hain

hum to musaafir hain, chalnaa hi hamaaraa kaam hai
guzaarte hain kahin subah, kahin aur hi shaam hai
log kuch hi pal mein kyun apne se lagne lagte hain
kyun apnaa banke fir apno kaa saath chhod dete hain

khwaab aankhon mein hi kyun aksar dum tod dete hain
kuch pal saath nibhaa ke kyun saath chhod dete hain

Friday, January 16, 2015

mishri si mithi aawaaz apni, mere kaano mein ghol dijiye
hai mohabbat sirf humse aapko, zaraa ek baar bol dijiye

Monday, January 12, 2015

Yaad baaki hai


thode aur kijiye sitam humpar ki
honaa hamaaraa barbaad baaki hai

aake dekh lijiye kabhi fursat se
shahar hamaaraa aabaad baaki hai

hum nahi bhoole hain aapko ab tak
aapki ab bhi thodi yaad baaki hai

kuch hai hamaare dil mein ab bhi
jo aapke jaane ke baad baaki hai

deedaar ho kabhi aapse kahin fir
ab to bas yeh fariyaad baaki hai






Thursday, December 18, 2014


Dil ko samjhaaun kaise


dil hi to hai meraa, main isko manaaun kaise
nasamajh hai yeh, main isko samjhaaun kaise

khud ki hi suntaa hai, yeh khud ki hi kartaa hai
apni pasand ke hisaab se, main isko chalaaun kaise

kabhi deewaano saa lagtaa hai, kabhi paagal saa
kehnaa chaahtaa hoon kuch, main isko bataaun kaise

aashiqui karne mein to sabse aage chalaa thaa yeh
magar kyaa hai aashiqui, main isko samjhaaun kaise

khud ke deewaanepan se ab tak sambhal paayaa nahi main
behoshi ke mausam mein hosh mein main isko laaun kaise

ho asar aisaa mere dard ke aalam mein, ki dil dekh le
bheeg naa jaaye aansuon mein, main isko chhipaaun kaise

mohabbat to 'Hriday' ne bhi kiyaa thaa kisi haseen se
daastaan apne tute mohabbat ki, main isko sunaaun kaise

Tuesday, October 28, 2014

Chale jaaiyegaa


dil hamaaraa thodaa bahal jaaye to chale jaaiyegaa
aji haseen raat yeh nikal jaaye to chale jaaiyegaa

abhi to aaye hain, yeh jaane ki baat fir abhi kyun
zaraa mausam to yeh badal jaaye to chale jaaiyegaa

pyaase labon par hamaare, geeley labon ko rakhiye
aaj saans hi hamaare ubal jaaye to chale jaaiyegaa

mere baahon mein aayiye, aur kaske main pakad loon
jism yeh zaraa saa pighal jaaye to chale jaaiyegaa

humne abhi abhi jalaayaa hai chiraag mohabbat kaa
dhang se chiraag yeh jal jaaye to chale jaaiyegaa

aap sun to rahi hain naa mere dhadkanon ke shor ko
aaj ban koi haseen ghazal jaaye to chale jaaiyegaa

jaanaa hi hai aapko, yeh jaante hain hum bhi, magar
zaraa 'Hriday' yeh sambhal jaaye to chale jaaiyegaa

Sunday, October 26, 2014

Woh musaafir thaa



aasaan nahi milan fir se, ek baar bichhad jaane ke baad
musaafir waapas nahi aataa, ek baar guzar jaane ke baad


woh musaafir thaa, use kuch pal hi saath nibhaanaa thaa
raat ke khatam hote hi use bahut duur chale jaanaa thaa

aayaa thaa kuch pal, woh thakaan duur karne apni yahaan
kab kahaa thaa usne, ki yeh uskaa aakhri thikaanaa thaa

waaqif thaa taaqat se samundar ki lehron ke main, lekin
meri naasamjhi mujhe ret se hi apnaa ghar banaanaa thaa

usne to kahaa bhi nahi kabhi, 'Mujhe tumse mohabbat hai'
magar kyun main samajh baithaa, kyaa main deewaanaa thaa

jab bhi kabhi likhi jaayegi kahaani meri, log kahenge ki
mohabbat mein shamaa ke jalne waalaa, woh parwaanaa thaa

kismat ne mere hi, thaa mazaakh achchaa mere saath kiyaa
use dil tod jaanaa thaa, dekh kar mujhe muskuraanaa thaa

Thursday, October 23, 2014

Pyaar ke raahi


hum pyaar ke raahi hain, hum pyaar ki karte hain
hai pyaar humein itnaa, jeete hain naa marte hain

hain zulfon ke ghere mein, zulfon mein hi rehte hain
zulfon ke andhere mein, hum sajte hain, sanwarte hain

hai honthon kaa jo pyaalaa, honthon se hi peete hain
fir doob nashe mein hum, kuch paagalpan karte hain

aankhon kaa samundar hai, hain jaante, samajhte hain
aankhon ke samundar mein, hum har roz utarte hain

chingaari koi bhadke, chaahe sholon par chalnaa ho
hum pyaar ke raahi hain, nahi kisi baat se darte hain

Saturday, October 18, 2014

aansuon ke liye bhalaa zakhm ki kyaa zaroorat hai
mohabbat ho jaaye kisi se, bas itnaa hi kaafi hai

Kaisi mohabbat



naa sochiye ki mohabbat mein har kisi ko phoolon kaa baag milaa
humne ki mohabbat, humein to bas dard aur zakhmon kaa daag milaa

chale they yeh soch kar ki ho jaayegi roshan zindagi hamaari bhi
hamaari kismat thi aisi ki humein bujhaa huwaa har chiraag milaa