Saturday, March 31, 2012

Hum tumse duur chale jaayenge

zamaane ki thokaron se hi humne jeena sikha hai,
tumhaari nafraton ke bhi hum zulm seh jaayenge,

uff tak na hogi kabhi na koi dard hi bataayenge,
tumhaari gustaakhiyon ko haste huye seh jaayenge,

ek roz hum tumse bahut duur chale jaayenge,
banaawat ki duniya ko pichhe chhod jaayenge,

tum kabra pe aake hamaare phool agar chadaaoge,
un phoolon ki khushboo se hum to mehek jaayenge,

baaki reh jaayenge nishaa hamaare chaahat ke,
aur kuch sukhe gulaab kitaabon me reh jaayenge...
Har taraf ghum sa lagta hai

mere geeton me aajkal wazan kuch kam sa lagta hai,
muskuraata to hoon par har taraf gham sa lagta hai,

kitaab ke panno ke bich kuch sukhe huwe gulaab mile,
mila bahut mujhe par pyaar kuch kam sa lagta hai,

kisi ne chaaha tha kabhi, chaah ke thukraaya mujhe,
aajkal har chehra mujhe mere us humdum sa lagta hai,

bhulaana chaahta bahut hoon main par bhulaaun kaise,
bhulaane se yaad karna dushwaar kuch kam sa lagta hai,

aasaan nahi hai muskuraana dil ke toot jaane ke baad,
muskuraata to hoon par ye kuch kam sa lagta hai...

Friday, March 30, 2012

Main tumhe dekhta jaata hoon

tumhaare deedaar ke liye main bahaane naye banaata hoon,
muskaan tumhaari dekh main mann hi mann muskuraata hoon,

main tumhaari galiyon se hi subah shaam aata jaata hoon,
dekh dekh tumhaari surat main khusi se jhoom jaata hoon,

aankhon ko tumhaari jheel samajh unme doob jaata hoon,
tumhaare nashili aankhon se dil ki pyaas bujhaata hoon,

khwaabon me bhi chehra tumhaara main dethka jaata hoon,
julfon ko baadal samajh main saawan ke geet gaata hoon,

pyaar nahi hai mujhko tumse ye main tumhe bataata hoon,
tumko apni jaan samajh main tumpe hi jaan lutaata hoon...
Main tumhe pehchaanta hoon

aaj tumhaare dhadkano me jo tadap hai
use main samajhta hoon, jaanta hoon,
bas ek baar mili thi humse tum lekin
tumhaare chaahat ki kashish ko
main jaanta hoon, pehchaanta hoon,

kitna rakhoge bachaake khud ko humse,
ek roz daude chale aaoge hamaare paas,
tumhaare dil ki is agan ko barso se,
main pehchaanta hoon, tumhe jaanta hoon,

aasaan nahi hai ek baar kareeb aake duur jaana,
aajaaoge bahut jald tum hamaare baahon me,
tumhaare aane ki ummeed ko apne seene me paalta hoon,
tum aajaaoge ek din is baat ko main jaanta hoon,
haan main tumhe pehchaanta hoon,

bandhi ho tum aaj kahin kisi bandhan me,
kab tak khud ko us bandhan me baandh paaoge,
tod ke us bandhan ko tum ek roz mere ho jaaoge,
yakeen hai mujhe apni mohabbat pe, khud pe,
tum aoge, is baat ko main jaanta hoon,
haan meri jaana main tumhe pehchaanta hoon....
Main bataun kaise

aankho me jo chehra hai main dikhaaun kaise,
mujhe kiska intezaar hai main bataaun kaise,

dil me jo mere shor hai main dabaaun kaise,
dhadkano ki awaaz main tumhe sunaaun kaise,

tum mere paas ho ke bhi mere paas nahi ho,
apne is duuri ka dard tumhe samjhaaun kaise,

chaahun to tumhe khinch ke seene se laga lun,
par khud me aisi himmat aaj main laaun kaise,

dil me jo bhi baat hai main chhupaaun kaise,
mujhe mohabbat hai tumse main bataaun kaise...

Thursday, March 29, 2012

Tujhe paane ki ek koshish

main aaj tujhe paane ki ek saazish aur kar lunga,
ya to tu mil jaaye mujhe ya maut haasil kar lunga,

chaukhat pe tere baith ke tera naam pukaar lunga,
ya to tu mil jaaye mujhe ya khud ko hi haar lunga,

tu aajaaye agar laut ke baahon me tujhe bhar lunga,
hothon ko tere chhoo ke main pyaar tujhe kar lunga,

aana tujhe hai, tu aayegi, main intezaar kar lunga,
seene se lag jaana mere main tera aetbaar kar lunga,

tod ke sab bandhano ko main tujhe sweekaar kar lunga,
ye pyaar hi to hai mujhe, tujhse hazaar baar kar lunga,

main aaj tujhe paane ki ek saazish aur kar lunga,
ya to tu mil jaaye mujhe ya maut haasil kar lunga...

Naina ye naina

naina na churao humse naino me humein reh lene do,
jo kuch bhi humein kehna hai naino ko keh lene do,

naino ki jo baatein hain naino ko samajh lene do,
naino ka jo bhi jaadu hai naino ko chala lene do,

naina hamaare naino se karte kuch ishaarein hain,
un inshaaron ke matlab ko naino ko samajh lene do,

tumse jo humein kehna tha wo baat aaj keh lene do,
zubaan se jo keh na paaye naino ko hi keh lene do,

naina ye mere naina hain, naino se inhe pyaar hai,
pyaar banke is pyaar ko tum dil me apne reh lene do...
Na karo pyaar humse

tumhe humse mohabbat nahi na sahi, na karo pyaar humse,
kuch pal saath baitho, baate karlo, na karo inkaar humse,

hume to bas ye soch ke hi khush ho jaate hain ki tum ho,
humse duur jaane ki baatein is tarha na karo yaar humse,

aadat nahi hai sharaab ki hum ko maikhaane me kya karen,
tumhaari aankhon se hi pee lene do, na karo inkaar humse,

ankahi baatein kuch kahun aur tumhaare dil ki bhi sunoo,
maanga hai bas saath tumhaara, tum na karo inkaar humse,

meri bechaini ko samjho, kuch pal zaraa saath nibhaa lo,
baitho zaraa paas aake hamaare, na karo yun inkaar humse,

tumhe humse mohabbat nahi na sahi, na karo pyaar humse,
kuch pal saath baitho, baate karlo, na karo inkaar humse...
Zindagi zindagi na hogi

tumhaare na hone se ye zindagi zindagi na hogi,
na honge hum, aur hamaari parchaayi bhi na hogi,
saath jeete jee na mil paayaa tumhaara na sahi,
mar jaayenge hum, kisi ko shikayat bhi na hogi...
Pyaar aaya to bahut hoga

dil ko apne tumne samjhaaya to bahut hoga,
ek roz humpe bhi pyaar aaya to bahut hoga,

maan nahi sakte ki tumne dekha nahi humko,
aankhon ko tumne humse churaya bahut hoga,

sakhiyon ke sangh tumko jaate huye dekha tha,
hamaari nazro se khudko chhipaaya bahut hoga,

mere geeton ko tumhe gaate huye maine dekha,
aaj se pehle bhi tumne gungunaya bahut hoga,

hum maan nahi sakte ki tumhe pyaar nahi hoga,
chhipaate ho lekin mujhpe aaya to bahut hoga...

Wednesday, March 28, 2012

Kho jaaun

kuch keh rahi ho shayad tum mujhse,
par mujhe hosh kahaan ki samajh paaun,
main tumhaari aankhon me dooba hoon,
aur shaayad unhi me aaj main kho jaaun...
Main bewafaa hoon

badi asaani se jaate huye keh gayi ki main bewafaa hoon,
aankhon ka har andaaz keh raha tha ki main bewafaa hoon,
mere dil se wafaa ki aawaaz chikh rahi thi par, tumhaare
dil ke har ek dhadkan ko yakeen tha ki main bewafaa hoon,

lo aaj is pal me tumse kehta hoon ki main bewafaa hoon,
tumko chaaha tha khud se badh ke par main bewafaa hoon,
meri parchhaayi hi mera saath chhod ke chali gayi, aaj
main apne har ek saans se kehta hoon main bewafaa hoon,

jeeta bhi tha tumhaare liye, marta bhi tha tumhaare liye,
aaj main apne har dhadkan se kehta hoon main bewafaa hoon,
maut ne poochha mujhse aane se pehle ki wajah kya hai, to
marne se pehle maine kahaa usse ki main bewafaa hoon....
Mere dil ka qatl kar jaate hain

hum subah shaam unke aaane ka intezaar karte jaate hain,
aur wo aate hi hummein 'goodbye' kehke nikal jaate hain,

kabhi kahun unse ki itni jaldi kya hai jaaane ki tumhe,
to wo muskuraake humein 'sorry' kehke chale jaate hain,

taarif agar main karna chaaahun unke husn ki kabhi, to
wo sharmaake 'thank you so much' kehke chale jaate hain,

aisi kya berukhi humse unki ya hai koi naraazgi humse, ki
paas aate aate har baar humse bahut duur chale jaate hain,

tadpaake is dil ko mere dil ka hi to qatl kar jaate hain,
aur meri haalat ko dekh wo bade pyaar se muskuraate hain...
Tujhi se pyaar karte hain

teri baaton pe marne waale bahut honge,
humto teri aankhon pe marte hain jaana,
tujhe dekh ke ghazal likhte hain hum to,
aur pyaar bas tujhi se karte hain jaana...
Wo guzraa huwa kal yaad aata hai

pyaar ka wo pehla pal mujhe yaad aata hai,
tera muskuraata huwa chehra yaad aata hai,
maasoom se rishtey ki woh shuruwaat, aur
haath me liya huwa tera haath yaad aata hai,

tere sangh guzaara huwa wo kal yaad aata hai,
khushiyon me doobaa huwa wo pal yaad aata hai,
ab to bahut duur aa chuke hain hum us pal se,
par mohabbat ka har lamha aajkal yaad aata hai,

paas baithi mere aankhon me kho jaati thi tu,
rakh ke apna sar meri godi me so jaati thi tu,
dheere se tere gaalon pe haath ferta tha main,
tera chupke se aankhon ka kholna yaad aata hai,

wo chori se chhip chhip ke milna yaad aata hai,
ghabraate huye dabe paaon chalna yaad aata hai,
meri baahon me tera chehra chhipaana yaad aata hai,
tere saath bitaaya wo guzra zamaanaa yaad aata hai,

kitaab ke panno me chhippe gulaab ko dekhkar aaj,
saath bitaaya huwa haseen har ek pal yaad aata hai,
tu nahi hai saath mere iska koi gham nahi hai aaj,
tere saath gaaya huwa pyaar ka ghazal yaad aata hai...

Meri mohabbat ko aazmaalo

apne dil ko yun sare aam na uchhaalo tum,
meri baahon me aake aaj mujhe apnaalo tum,
ki hogi tumne mohabbat pehli kai baar magar,
aake meri mohabbat ko ek baar aazmaalo tum...