Wednesday, March 31, 2010

Tum aa jaate ho

ab to jaane q har chehre me tum nazar aate ho,
saamne ho nahi par khayalo me aa jaate ho,
chahta hoon lakh bhulaana tumhaari yaadon ko,
par har baar tum roop badalke saamne aa jaate ho...

Tuesday, March 30, 2010

Dur Jana Chahta Hoon Tumse

jaane kaisa dar hai tumse,
milna nahi chahta main tumse,
kabhi mere tum kareeb na aana,
bas itna kehna chahta hoon tumse,
kabhi mujhe tum khat nahi likhna,
itna kehna chahta hoon tumse,
kabhi mujhe tum yaad na karna ,
itna kehna chahta hoon tumse,
tumhaari har ek yaad bhulaake,
dur jana chahta hoon tumse,


kal tak mohabbat thi tum meri,
milne jaata tha main tumse,
chhod gayi tum mujhko jabse,
shikayat hone lagi hai tumse,
dost tumhaare hain kuch aise,
jode huye mujhe ab bhi tumse,
kenha chata hoon main unse ,
dur rehne de mujhko tumse,
tumhaari har ek yaad bhulaake,
dur jana chahta hoon tumse,


tumhaari jo tasveer main dekhun,
milne ka mann karta hai tumse,
tumhaare puraane khat jo dekhun,
kehne ka mann karta hai tumse,
jaane q mujhe chhod gayi tum,
kitna pyaar karta tha tumse,
shaayad kami thi mere pyar me,
tabhi to aaj main dur hoon tumse,
tumhaari har ek yaad bhulaake,
dur jana chahta hoon tumse,


samajhta hoon mai dasha tumhaari,
par keh nahi paata hoon tumse,
bin dekhe main samajh leta hoon,
kaise kahun ye baat main tumse,
kabhi kabhi to mann karta hai,
jaake keh du sab kuch tumse,
keh nahi paata hoon main fir bhi,
jaane kyu darta hoon tumse,
tumhaari har ek yaad bhulaake,
dur jana chahta hoon tumse,


kal tak mujhe pyaar tha tumse,
aaj bhi pyaar karta hoon tumse,
chahe mujhse tum pyaar na karo,
dilo jaan se pyar karunga tumse,
pyaar ko bhulana asaan nahi hai,
tabhi to kehta hoon main tumse,
pyar ho meri tum jaan ho meri,
aaj jhoot keh raha hoon tumse,
ki tumhaari har ek yaad bhulaake,
dur jana chahta hoon tumse...

Khamoshi

haan sach hai,shayad na kabhi main tujhse kuch keh paunga,
tere badnaami k dar se na kabhi main izhaar kar paunga,
pyaar bhare armaan apne pyaar bhare dil me dabaake,
khaamoshi se kabhi main teri ye duniya chhod jaunga...

Tamannayen

kabhi kabhi ye tamannayen dil pe is tarah waar kar dete hain,
ki aasun hamare aankhon se rukne ka naam hi nahi lete hain,
log kehte hain ki tamannaon k liye jaise ghar hai hamara dil,
par ye tamannayen hi hamara dil todke humein ghayal kar dete hain...

Pyaas

aankhon k zariye hum dil me utar jaayenge,
aapko ehsaas hi na hoga aisa asar kar jayenge,
tez barsaat ka intezaar kar rahe ho aap,
hum to apne pyaar se aapki pyaas bujha jayenge...!!!

Saturday, March 27, 2010

Kahaan Rehte Hain Wo

kaise bataayen tumhe ki kahaan rehte hain wo,
haqeekat me nahi mere khayalo me rehte hain wo,
meri saanso me aur meri dhadkano me rehte hain wo,
har ghadi har pal mere yaadon me rehte hain wo...

Friday, March 26, 2010

Dil Aur Kalam

dil aur kalam me fark hi kitna hai,
ek me dard rehta hai dusre me syaahi,
dard khatam hone ka naam nahi leta hai,
aur na khatam hoti hai kalam ki syaahi....

Yaad

yaadon me to aate ho tum,
bas hum keh nahi paate hain,
hamaari saanso me samaye ho tum,
bin tere reh nahi paate hain...

Tuesday, March 23, 2010

Jee Karta Hai

na tujhe bhulaane ka ji karta hai,
na tujhse dur jaane ka ji karta hai,
bas teri yaadon me kho jaane ka ji karta hai,
tadap itni aaj is dil me hai,
ki hamesha ke liye so jaane ka ji karta hai...

Zeher Ke Jaam

tere jaane ke baad kuch is tarah ka aalam hai,
ashq nayano se rukne ka naam hi nahi lete hain,
kabhi tere saath ko yaad karte hain kabhi teri ruswaai ko,
tere bin na jaane kaise har roz ek nai zindagi ji lete hain,
humne to socha tha ki tere sang zindagi poori bitayenge,
ab tere naam se zeher ke do char jaam hum roz pi lete hain...

Friday, March 19, 2010

Wo Beete Lamhe

tere shahar jaata tha jab main,
milne tujhse banke deewana,
bhoola nahi hoon aaj bhi wo din,
jab mili thi mujhse pehli baar,
wo teri masoom si nazar,
jaane kaisa asar kar gayi,
mujhko dekh tera muskurana,
aaj bhi wo pal yaad aata hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

chori chori chupke chupke,
milne jab aati thi mujhse,
nazrein churaake har kisi se,
jab tu mila karti thi mujhse,
ghanto tak hum baatein karte,
ghum aur khushiyaan baanta karte,
un palon ki kuch baatein hain,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

pagal banke milta tha tujhse,
hosh na rehta tha ek pal ka,
saath jo hota tha kuch pal ka,
mere liye wo jannat sa tha,
baatein jab karti thi mujhse,
jaane kahaan main kho jaata tha,
shahad si meethi baatein teri,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

sang beeta wo waqt tha aisa,
kam tha lekin tha wo pyara,
kabhi kabhi ye sochta hoon main,
kaash wo waqt wapas laa pata,
kuch palon ki khushiyaan dekar,
jaane kahaan wo aaj kho gayi,
un dino ki kuch yaadein hai,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

Monday, March 15, 2010

Main Akela

ab mujhe na dard hai,
na yaadon me aati hai koi,
ab mujhe na pyaar hai,
na dil me rehti hai koi,
aaj panchhi hoon main azaad,
na saath mere hai koi,
aasmaan saara hai mera,
na aaj bandhan hai koi...

aaj udta hoon akela,
pankh faila ke gagan me,
aaj gaata hoon akela,
na sang mere gaata hai koi,
hasta bhi hoon main akela,
rota bhi hoon main akela,
aaj main hoon apne dhun me,
na mujhe rokta hai koi...

sochta hoon main kabhi ye,
kaash hoti mere sang tu,
pyaar thi meri hamesha ,
par le gaya tujhko koi,
main akela hoon to kya hai,
hota hai kiska koi,
aaye the is jahaan me akele,
na saath jayega koi...

Tuesday, March 9, 2010

Socha Na Tha

meri har subah ki pehli kiran thi tum,
tanhaayiyon me bas meri ek saathi thi tum,
hum to har kisi se naata tod baithe the,
socha na tha is tarah tanha chhod jaogi tum...

meri har raat me khwaab banke aati thi tum,
khwaabon me aake mera ghar sajati thi tum,
zindagi me mere ek haseen khwaab banke aaye the,
socha na tha is tarah wo khwaab tod jaogi tum...

meri zindagi meri mohabbat ban gaye the tum,
mera dil nahi dil ki dhadkan ban gaye the tum,
hum to ummeedo ka daaman thaame baithe the,
socha na tha is tarah daaman chhod jaogi tum,

toofaano se mujhe ladna sikhati thi tum,
zindagi ko mujhe jeena sikhati thi tum,
sabko bhulake pyaar kiya tha tumse maine,
socha na tha is tarah mera dil tod jaogi tum...

Thursday, March 4, 2010

Dost Teri Dosti

Dost teri dosti ki lakeer hai in haathon me,
Dost teri dosti ki mehek hai tere baaton me,
Jaane kya asar kiya tu ne do char mulaqaton me,
Ki sada ke liye bas gayi tu mere yaadon me...

Dost shayad hum kabhi tere kareeb na aaye,
Dost shayad hum kabhi tumse mil nahi paaye,
Humein hamesha tu yaad rakhna,
Is dosti ko abaad rakhna....

Dost tujhe meri dosti ki kasam hai,
Kabhi mujhe tu bhula na dena,
Apni yaaadon ko mujhse chhinke,
Kabhi mujhe tu rula na dena....

Tuesday, March 2, 2010

Aaj Ka Din

kal ki hi baat hai main milne jaata tha tujhse pagal banke,
kal ki hi baat hai lauta hoon tere shahar se main ghayal banke,
jab tune muskurake mujhse apni sagayi ki baat kahi, socha maine
jaane q bajta raha hoon itne saalo se tere paon ka payal banke...

sikh liya tha jeena maine bhulake tere yaadon ko aur tujhe,
aaj tere yaadon k dard ne aake chheda fir ek baar mujhe,
jane q tere aane ki aahat se bechain ho gaya hoon fir ek baar,
tu aaj meri nahi hai, fir bhi satati hai mujhe q yaadgar banke...

haan aaj hi wo din hai jab tu aane waali hai mere shahar mein,
haan aaj hi wo din hai jis ka intzar kai saalon se tha is dil mein,
par kaise samjhaayen tujhe hum ki na chaha tha tujhe is roop me,
kal tak meri mohabbat thi tu, aaj aai hai kisi aur ki dulhan banke...

Muskaan

Aalam hai ye ki neend nahi aati hain,
Har pal har ghadi yaar ki yaad bahut aati hai,
Din to guzar jaate hain tanhaayi mein,
Par raaton ko uski muskaan jagati hai...