Thursday, May 12, 2016

Kaun ho tum
 


kabhi milnaa khudse fursat se
to jaan jaaogi kaun ho tum
baat karke dekhnaa kabhi apne aap se
pehchaan jaaogi khud ko tum...

poochhnaa khud se kabhi
khud ke hi baare mein...
kyaa main kisi mard ki jaageer hoon?
kyaa main pairon tale raundi gayi dhool hoon?
yaa fir kisi ke dil behlaane kaa saamaan hoon?
jisne bhi chaahaa khelaa mere armaano se
kamzor si cheez samajh ke sabne hai todaa mujhe
kisi bejaan si cheez ki tarhaa
meraa istemaal kiyaa gayaa
kyaa hai meri pehchaan...

dekhnaa jawaab yahi aayegaa...
tumse hi bas tumhaare liye...
papa ki dulaari beti ho tum
unke muskuraane ki wajah ho tum
maa kaa sanskaar ho tum
unki pehchaan ho tum...
bhaai ke haathon mein dhaagaa baandhne waali
bhaai ki taaqat ho tum...
pati kaa har kadam par saath nibhaane waali
ek jeewan sangini ho, humsafar ho tum...
ek maa ho tum.... haan maa....
jiskaa shabdon mein varnan naamumkin hai...
aur kyaa kahun ki kaun ho tum...


jaago.. pehchaano khud ko...
ek ablaa naari nahi...
shakti ho tum....
haan shakti ho tum...




Zindagi kyaa cheez hai



surkh hothon ki woh laali, zulfon kaa jaadu tumhaare
dekh kar ke hum samajh gaye, dillagi kyaa cheez hai
jheel si aankhein tumhaari, doob hi jaayen naa hum
dekhaa unhe jo gaur se to jaanaa tishnagi kyaa cheez hai


bikhre huwe the lafz saare, khud ba khud hi jud gaye
dekhaa tumhe to jaan gaye ki shaayari kyaa cheez hai
zindagi ko itne kareeb se, dekhaa kahaan thaa kabhi
dekhaa tumhe to jaan gaye ki zindagi kyaa cheez hai


zulfon mein chehraa chhipaake muskuraake chal diye
seekhey koi tumse aakar ki jaadugari kyaa cheez hai
aksar log kehte hain humein ki rog kaunsaa hai yeh
ishq karte to samajhte ki aashiqui kyaa cheez hai



Wednesday, May 11, 2016



meri baahon mein aakar tum, toot ke bikhar jaao
hoon main deewaanaa koi, thodaa aur tum kar jaao


 
 
baarish ki boondein ho jaise
chhan chhan si barasti hui
haan bilkul aisaa hi lagtaa hai
jab tum muskuraati ho...

baarish ki boondon mein
pankh failaake naachtaa mor koi
haan bilkul waisaa hi lagtaa hai
jab tum chalti ho....
 
 

Tuesday, May 10, 2016

Thodaa saa khumaar to aaye



sukhey huwe gulaabon mein fir se bahaar to aaye
is banjar bhoomi par mohabbat ki fuhaar to aaye

jis chehre ko dekhne ke liye paagal hote hain hum
woh haseen chehraa hamaare saamne ek baar to aaye

woh seene se lagaale humein bhi to kyaa baat ho
hamaare is dil ko bhi thodaa saa qaraar to aaye

kab tak yunhi dard ke geet hum sunaate rahenge
in geeton mein kabhi thodaa saa khumaar to aaye

hazaaron ki ummeed to kabhi thi hi nahi yaaron
hamaare geeton mein waah waahi do chaar to aaye

behek jaaye kabhi hamaari aankhon ko dekhte hi
hum par kabhi us hasi chehre ko aetbaar to aaye

kabhi to meherbaan ho upar waalaa hum par bhi
is badnaseeb par bhi kabhi kisi ko pyaar to aaye



Monday, May 9, 2016

Ishq kabhi puraanaa nahi hotaa



har raat taaron kaa jaise tim-timaanaa nahi hotaa
yahaan mohabbat kaa pooraa har afsaanaa nahi hotaa

hamaare liye hi sahi, chalo koi baat nahi yaaron
warnaa sabke liye itnaa buraa zamaanaa nahi hotaa

khataa itni ki bas ki anjaane mein dil lagaa baithe
warnaa is tarhaa se hamaaraa lut jaanaa nahi hotaa

poochhte hain log humse ki kitni mohabbat hai unse
mohabbat ko naap len aisaa koi paimaanaa nahi hotaa

har baar unki berukhi ko hasi mein udaa diyaa humne
duniyaa kaa har shaqs hum saa deewaanaa nahi hotaa

wo kehte hain humse, bhulaa denaa puraani baaton ko
koi samjhaye unhe ke ishq kabhi puraanaa nahi hotaa


Sunday, May 8, 2016

Main sambhal kahaan paayaa hoon



amundar se main fir nikal kahaan paayaa hoon
tere jaane se main sambhal kahaan paayaa hoon

ladkhadaake gir padaa kuch duur chal kar main
tere bin tanhaa kabhi chal kahaan paayaa hoon

kismat mein thaa nahi milnaa hamaaraa shaayad
lakeeron ko main bhi badal kahaan paayaa hoon

lafz sab bikhre pade hain tere chale jaane se
unhein jodkar banaa ghazal kahaan paayaa hoon

achchaa lagtaa hai band kamre mein akele rehnaa
apni tanhaai se baahar nikal kahaan paayaa hoon

aadat si ho chuki hai shaayad gham mein jeene ki
apni aadat ko fir main badal kahaan paayaa hoon

samundar se main fir nikal kahaan paayaa hoon
tere jaane se main sambhal kahaan paayaa hoon


Friday, May 6, 2016

Yun muskuraanaa naa hotaa


kaash usdin unkaa khidki pe aanaa naa hotaa
humein dekh unkaa yun muskuraanaa naa hotaa

naa jhukaate apni nazrein humein dekhkar woh
is tarhaa se unkaa agar sharmaanaa naa hotaa

chalte rehte hum apne hi raah par roz ki tarhaa
palatke us taraf dekhne kaa bahaanaa naa hotaa

na aaye hote nazar mein mohalle ke logo ke hum
yun dushman hamaaraa saaraa zamaanaa naa hotaa

naa miley hote unse to baat hi kuch aur hoti
naam pe hamaare mohabbat kaa afsaanaa naa hotaa

dekh humein us din naa woh muskuraate agar to
shaayad 'Hriday' is tarhaa deewaanaa naa hotaa


mohabbat pe hai tan nyochhawar, mohabbat pe hai dhan nyochhawar
mohabbat se hi hum hai jaanaa, mohabbat pe hai jeewan nyochhawar

Thursday, May 5, 2016

Pankh failaanaa chaahtaa hoon



main jeene ke liye ab fir koi bahaanaa chaahtaa hoon
haan yeh sach hai main fir se muskuraanaa chaahtaa hoon

bujh gayaa hai jo chiraag kuch pal jal jaane ke baad
roshni ke liye use firse main jalaanaa chaahtaa hoon

udnaa chaahtaa hoon khule aasmaan mein bahut oonchaa
panchhiyon ki tarhaa main pankh failaanaa chaahtaa hoon

jinhone aansuon ke siwaa kabhi kuch diyaa hi nahi mujhe
un rishton se main ab peechhaa chhudaanaa chaahtaa hoon

bataao kab tak yunhi dard mein doobaa rahun main yaaron
mohabbat ke geeton se mehfilon ko sajaanaa chaahtaa hoon

failaake baahein tez hawaaon mein main fir ek baar
paagal hawaaon ko seene se main lagaanaa chaahtaa hoon

chot khaai hai maine mohabbat mein jaantaa hoon main
firse mohabbat kar ke mohabbat ko aazmaanaa chaahtaa hoon

buri nahi hai mohabbat cheez koi, yeh sach hai yaaron
karke mohabbat main duniyaa ko yeh bataanaa chaahtaa hoon

main jeene ke liye ab fir koi bahaanaa chaahtaa hoon
haan yeh sach hai main fir se muskuraanaa chaahtaa hoon




Wednesday, May 4, 2016

 
anjaani sadak par chale jaa raha hoon, naa meraa thikaanaa koi
naa hai yahaan koi meraa apnaa aur naa hi mujhe pehchaanaa koi

Monday, May 2, 2016

Woh jaane kidhar gaye



hawaa ke jhaunke they jo ab guzar gaye
kaanch ke tukde the, tutke bikhar gaye

kissa dard kaa, sunaayein bhi to kaise
kuch zakhm the puraane jo ab bhar gaye

kuch rishton ko apnaa kahaa thaa kabhi
jinse jodaa thaa woh jaane kidhar gaye

koshish bahut ki chhalak jaane ki magar
dard aankhon tak aakar bas thahar gaye


Monday, April 25, 2016

 
na kaho ki meri khushboo hai tumhaare saanson mein
ragon mein mere bas tum hi to basti ho lahu banke...

Sunday, April 24, 2016

Ek Daastaan ... Ishq ki...



yun to sawaal is dil mein behisaab huwe
aur aap hi mere sawaalon ke jawaab huwe

aap se hi saje aankhon mein khwaab huwe
jitne bhi huwe haseen aur lajawaab huwe

jab kabhi dhadkano mein shor saa badhaa
bas aap hi in dhadkano mein janaab huwe

botal se nashaa to humein huwaa hi nahi
nashaa aapkaa hi thaa, aap sharaab huwe

aapki taarif mein hum kahein bhi to kyaa
ankhien jaisi jheel, honth gulaab huwe

kyaa din, kyaa raat, humein kyaa pataa
hamaare aap hi chaand aur aaftaab huwe

deewaane se huwe aapke ishq mein padkar
aur duniyaa ki nazar mein hum kharaab huwe


Wednesday, March 30, 2016

Zaruri to nahi



bahaut si baaton ko leke pareshaan hoon
har baat kaa koi hal ho, zaruri to nahi

waqt achcha to kabhi bura rehta hi hai
khoobsoorat har pal ho, zaruri to nahi

kab kiyaa manaa koi tohfaa dene se maine
par har kahin tajmahal ho, zaruri to nahi

ehsaas ko lafzon mein pirota hoon main
par haasil-e-ghazal ho, zaruri to nahi

hosh mein reh kar bhi kee jaa sakti hai
mohabbat mein paagal ho, zaruri to nahi


Tuesday, March 1, 2016



naa dikhaane se hogaa, naa jataane se hogaa
pyaar kabhi huwaa to, woh nibhaane se hogaa

afsaano se hogaa, naa meethi baaton se hoga
sukoon to bas use seene se lagaane se hogaa