Friday, October 13, 2017

De deedaar ek baar ke liye


tadap uth_te hain hum jin ke deedaar ke liye
aajaayein saamne hamaare bas ek baar ke liye

kab kahaa humne woh aake hamaari ho jaayein
bas ek jhalak bahut hogi is bimaar ke liye

mohabbat to adhuri thi, adhuri hi rahegi ab
isse buraa kyaa hogaa is gunehgaar ke liye

de den deedaar woh is dil ke sukuun ke liye
naa to inkaar ke liye, naa hi iqraar ke liye

jahaan bhi rahein khush rahein woh humeshaa
duwaayein maangte hain apne us yaar ke liye



Tuesday, October 10, 2017

Har khabar mein hoon main



veeraane se kisi shahar mein hoon main
ajnabi saa apne hi ghar mein hoon main

jo chhooke bhi chhoo naa paai kinaare ko
samundar ke har us lahar mein hoon main

afwaaon ki kami nahi hai is shahar mein
akhbaar ki har khabar mein hoon main

yun to log jaante nahi ki kaun hoon main
bhatke huwe musafir ke safar mein hoon main

dhund rahaa hoon jise mandiron mein main
woh kehtaa ki har paththar mein hoon main

Khwaab bhi tum ho

haqeeqat bhi tum ho, khwaab bhi tum ho
mere har sawaal kaa, jawaab bhi tum ho

meri subah tumhi se, shaam bhi tum se
chaand bhi tum ho, aaftaab bhi tum ho

chain bhi tum se, bechaini bhi tum se hai
seene mein uthtaa huwaa sailaab bhi tum ho


Monday, October 9, 2017

Hamaari bhool sahi



dard ke baagiche mein ek dard kaa aur phool sahi
qatl hamaaraa hi huwaa aur hamaari hi bhool sahi

kab hamaari mohabbat ko woh samajh paaye bhalaa
thik hai, humein yeh gunaah bhi hai qubool sahi