Friday, August 21, 2015

Muskuraataa hoon main



apni bebasi pe aksar muskuraataa hoon main
dekh uski tasveer usko bhulaataa hoon main

kehne ke liye kehtaa hoon koi ghum nahi hai
apne aansoo zamaane se chhipaataa hoon main

koi aashiyaanaa kabhi banaaun bhi to kaise
ek tuta huwaa khandar nazar aataa hoon main

hawaa ki aadat hai shaayad bujhaa jaane ki
roshni ke liye jo chiraag jalaataa hoon main

sirf is ummeed se ki koi khushi mile kabhi
bas paththar ko hi poojtaa jaataa hoon main

dard badhke jab aankhon se chhalak jaataa hai
banaake geet mehfilon mein sunaataa hoon main


Friday, August 14, 2015

Mujhe apnaa tum banaao naa



aao naa, jaanaa aao naa, aa ke seene se lag jaao naa
jaanaa ! apne is deewaane ko tum deewaanaa banaao naa

ek aag hai mere seene mein ab usko tum bujhaao naa
zaraa de kar hawaa mohabbat ki usko tum sulgaao naa

aadat si ho chuki hai ab to tumhaare khushboo ki
apni aadat lagaake mujhe mujhse duur tum jaao naa

paagal paagal aankhon se tum paagalpan badhaate ho
paagalpan ko mere tum hadd se zyaadaa badhaao naa

silwate mere chaddar ki raat kaa haal bayaan karti
kaise tum bin tadpaa hoon, tum aur mujhe tadpaao naa

failaakar baahein apni kabse yahin khadaa hoon main
aakar kareeb ab mere tum mere dhadkan ko chhoo jaao naa

tum bin to tanhaa hoon, tum bin kuch bhi nahi hoon main
tum sangh jeenaa marnaa hai, mujhe apnaa tum banaao naa

kyun itni dur dur ho tum, kyun darmiyaan yeh doorie hai
jo baat tumhaare dil mein hai, woh baat mujhe bataao naa

bas ek baar yeh keh do ki tumko 'Hriday' se mohabbat hai
yun dil mein apni baat dabaakar mujhko tum tarsaao naa

kabse tadap rahaa hoon main, kabse taras rahaa hoon main
tum bechain is dil ko mere thodi thandak to pahuchaao naa

aao naa, jaanaa aao naa, mere seene se lag jaao naa
jaanaa ! apne is deewaane ko tum deewaanaa banaao naa


Monday, August 10, 2015

Mujhe kyaa ho gayaa hai

ek boond aankhon se mere kahin kho gayaa hai
kyaa bataaun yaaron, mujhe kyaa ho gayaa hai

jagaake rakhaa thaa kai barson se jise maine
woh khwaab bhi mere aankhon mein so gayaa hai

tadap rahaa thaa main baarish ki boond ke liye
aaj baarish mere har ehsaas ho bhigo gayaa hai




Tum mile ho

bankar ek khoobsoorat sach mujhe tum mile ho
woh mere karam hi honge jo mujhe tum mile ho

khwaahish thi ki haseen saa ho meraa humsafar
khwaahish thi ki mujhe chaahe meraa humsafar
chaahaa to kuch bhi nahi thaa isse zyaadaa
bankar haqeeqat zindagi ki mujhe tum mile ho
bankar ek khoobsoorat sach mujhe tum mile ho

sun tumhaari baatein kaano mein misri ghul jaati hain
dekh tumhaari aankhein hum paagal se ho jaate hain
yun to kisi chehre par nazar tiki hi nahi aaj tak
bankar ek khoobsoorat humsafar mujhe tum mile ho
bankar ek khoobsoorat sach mujhe tum mile ho 


Friday, August 7, 2015


naa karo ilaaj meraa, ab mujhe bimaar rehne do
jo hai hawaaon mein, ab woh khumaar rehne do

jaante hain hum ki tumhe mohabbat nahi hum se
jhootaa hi sahi magar ab woh aetbaar rehne do




tum baithi raho saamne aur yeh waqt thahar jaaye
baahon mein leke tumhein yeh zindagi guzar jaaye

dekhle kabhi chaand jo tumhaare haseen chehre ko
bhool jaaye aasmaan aur woh zameen par utar aaye

Thursday, August 6, 2015

Ankhon mein nami si rahi



zindagi mein mere khushiyon ki kuch kami si rahi
hothon par muskaan aur aankhon mein nami si rahi

they aankhon mein bahut magar dhundle nazar aaye
mere khwaabon par mitti ki ek parat jami si rahi

badal jaane ki aadat to rahi mausam ki hameshaa
baat ajeeb hai yeh aadat uski bhi aadmi si rahi

khushi mili bhi kabhi to mujhe khwaab mein mili
jisme har raat haseen aur subah shabnami si rahi

likhnaa chaahaa agar korey kaagaz par maine kuch
khyaal to bahut aaye bas ungliyaan thami si rahi