Tuesday, March 31, 2015

Hai haqeeqat yaa koi afsaanaa




baarish ki boondon kaa hai taanaa baanaa
hai thodi haqeeqat, hai thodaa fasaanaa

na ik pal ka chain, na qaraar hai dil ko
dil dhunde bas tujhse milne kaa bahaanaa

jo dekhe kabhi tujhko to chain miltaa hai
naa dekhe tujhe, yeh ban jaataa deewaanaa

kaisi hai chaahat, yeh kaisaa nashaa hai
hai mohabbat yaa kuch aur tu hi bataanaa

Teri yaad jagaane lagi hai




paagal hawaa kuch gungunaane lagi hai
pyaari si dhunn koi, sunaane lagi hai

ab teri hi khushboo se mehek jaane ko
teraa aanchal hawaa mein udaane lagi hai

geeli si barish kaa, geelaa saa paani
woh geeli hawaa mein nahaane lagi hai

saagar ki lehron se uthtaa huwaa paani
woh geet mohabbat kaa, gaane lagi hai

hai teri mohabbat kaa jaadoo chalaa jo
woh jaadoo, deewaanaa banaane lagi hai

teri baaton se din mein fursat nahi milti
teri yaad raaton mein jagaane lagi hai

haan hai mohabbat, haan hai is dil ko
har saans 'Hriday' ki bataane lagi hai

Monday, March 30, 2015

Koi sazaa dijiye



jeene ke liye humein koi wajaah dijiye
naa de saken agar, to koi sazaa dijiye

aadat si ho chuki hai andhere ki humein
jo ek chiraag hai woh bhi bhujaa dijiye

baaton par kisi ke, naa bharosaa rahaa
naa kijiye wafaa, bas koi dagaa dijiye

hai aansuon ko kab se humne rokaa huwaa
ab deke thodaa dard humein rulaa dijiye

bas jaagte rahe hain kai barson se hum
humein neend chain ki aap sulaa dijiye
Mehekne lage hain





armaan kuch dil ke aaj machalne lage hain
baarish ki boondon se hi jalne lage hain

bheege se khwaab hain, bheegi si baatein
kuch bheege se ehsaas pighalne lage hain

mehekne lage hain teri ki khushboo se ab
ladkhadaane to kabhi sambhalne lage hain

yeh khwaab hai koi, yaa haqeeqat hai yeh
neendon mein hum apne ab chalne lage hain

Wednesday, March 4, 2015

Hum khudko hi bhulaaye baithey hain

woh takiye ko apne seeney se lagaaye baithey hain
raaz koi apni aankhon mein chhipaaye baithey hain

geeley honth unke kehne ko kuch paagal se ho rahe
naa bol de kuch dil ko yeh samjhaaye baithey hain

poochh to lenge unse jaake ki baat kyaa hai, magar
jhooti kahaani koi ab bhi woh banaaye baithey hain

hum poochhte hain jab bhi, hain bas taal dete woh
jaante hain hum ki woh dil ko lagaaye baithe hain

kahaan qaaboo rahaa is dil pe unko dekhne ke baad
hum dil apnaa unke ishq mein gawaaye baithey hain

hum bhi jaante nahi hain, ki poore honge yaa nahi
khwaabon ko hum aankhon mein sajaaye baithey hain

likh bhi lete they hum pehle kuch naa kuch zaroor
ab kalam ko hum kaagaz se hi lagaaye baithey hain

jagne lage hain kuch armaan, yun dil mein hamaare
aisaa lagtaa hai hum khudko bhulaaye baithey hain

Monday, March 2, 2015

Teraa yeh deewaanaa baaki reh gayaa




kaise soch liyaa tu ne ki akele gayi thi is shahar se
teri doli uthi thi us ghar se, meri arthi is ghar se



kuch naa rahaa, zaalim saa zamaanaa baaki reh gayaa
tere pichhe bas teraa yeh deewaanaa baaki reh gayaa

teri tasveer ko dekhkar muskuraa lete hain ab aksar
muskuraane kaa ab to bas ek bahaanaa baaki reh gayaa

tujhse hi to roshan huwaa karti thi meri yeh duniyaa
bujh gayi shamaa, bas yeh parwaanaa baaki reh gayaa

kore kaagaz par, tere naam ki kahaani shuru ki thi
aaj fir adhuraa saa ek aur afsaanaa baaki reh gayaa

ghazal ban hi jaataa koi khoobsoorat saa aaj fir se
sirf shabdon ko tarikey se sajaanaa baaki reh gayaa

kitni sooni hai meri yeh duniyaa tere bagaair, sach
tere jaane se pehle, tujhe bataanaa baaki reh gayaa

is jism se meri jaan to tere jaate hi nikal gayi thi
bas kaandho par is laash ko uthaanaa baaki reh gayaa

itnaa saa khayaal aayaa jab tu jaa rahi thi chhodkar
aakhri baar tujhe seene se lagaanaa baaki reh gayaa


Sunday, March 1, 2015

 
teri yaad mein oh jaanaa hum bhi to pighal rahe hain
tu tadap rahi hai, sholon par hum bhi chal rahe hain
aisaa nahi hai ki humein teri yaad nahi aati aaj kal
badi mushkil mein yeh judaai ke pal nikal rahe hain