Friday, July 25, 2014

Aaj bhi hai

in aankhon se behte huwe ashkon ki rawaani aaj bhi hai
hothon pe hamaare adhuri si woh ek kahaani aaj bhi hai

kyaa bataayein hum kisi se ki kyaa huwaa saath hamaare
bheegi si hawaayein aur baarish ka woh paani aaj bhi hai

thi woh kaagaz ki ek kashti jo doobi thi samundar mein
saahil pe samundar ke, cheekhon ki nishaani aaj bhi hai

saayaa apnaa hi thaa chhootaa hamaare jism se jis din
kyaa huwaa haal, hamaare geeton mein bayaani aaj bhi hai

sach to hai ki unke chehre ko bhoole hi nahi hum aaj tak
bich panno ke kitaabon mein, tasveer puraani aaj bhi hai

Tuesday, July 15, 2014

Kyaa bataayein hum aaj

tumhaare ehsaas kuch is tarhaa gudgudaa jaate hain jaise baarsh ki koi boond ho, maathe se tapak ke hothon tak aa jaaye, ek alag hi ehsaas... uuuufff kaise bataayein hum, tum hi kaho kaise bataayein...


tumhaari yaadon kaa asar chhipaayein ki bataayein hum aaj
dhund len hum khud ko tumhi mein ki kho jaayein hum aaj

yun to dhundne se nahi mil paate hum kisi ko zamaane mein
kyun aaye hain laut kar, kisi ko kyaa samjhaayein hum aaj

failaake baahein mehsoos kar lete hain tumein hawaaon mein
karke yaad tumhaari har puraani baat jhoom jaayein hum aaj

woh tumhaaraa muskuraanaa, tumhaaraa phoolon saa sharmaanaa
soch kar har woh baat tumhaari dekho muskuraayein hum aaj

jaanti to tum bhi ho ki door nahi hain hum tumse ek pal bhi
keh do tum to haqeeqat mein kareeb nazar aa jaayein hum aaj

Kasak to dil mein 'Hriday' ke hi rahi barson se jawaan
mehsoos bas kar ke dekho, ragon mein daud jaayein hum aaj