Wednesday, March 27, 2013

Aankhon mein sajaataa hoon

khwaab banaa ke tumhe main aakhon mein sajaataa hoon
geet banaa ke tumhe apne honthon se gungunaataa hoon
jab zikra hotaa hai kabhi mohabbat kaa yaaron mein
main misaal ke taur pe tumhaare kisse sunaataa hoon

Apnaa thikaanaa dhundtaa hoon

main apni hi galiyon mein apnaa thikaanaa dhundtaa hoon
kitaab ke panno mein zindagi kaa fasaanaa dhundtaa hoon

koi paagal kehtaa hai, koi deewaanaa kehtaa hai mujh ko
jab khaali botal mein nashaa woh puraanaa dhundtaa hoon

log kehte hain mujh se ki main bhi kabhi muskuraataa thaa
ab apne hothon kaa khoyaa huwaa muskuraanaa dhundtaa hoon

kadam kadam pe thokrein hain, ghum hi ghum hain har taraf
jahaan bas khushiyaan ho ek aisaa aashiyaanaa dhundtaa hoon

maine koshish to bahut ki mujhe fir se mohabbat ho, magar
ab main apne hi andar chhipaa woh deewaanaa dhundtaa hoon

haaraa huwaa ek khilaadi hoon, himmat bhi main haar chukaa
thak gayaa hoon itnaa ki ab marne kaa bahaanaa dhundtaa hoon

kuch baat thi uske hone se, jo ab nahi uske chale jaane se
main apne aaj mein woh guzraa huwaa zamaanaa dhundtaa hoon
Mausam ke badal jaane tak

chaahte rahenge tumhe hum, tumhaare pighal jaane tak
naa haar maanenge hum, apne jaan ke nikal jaane tak

bahut kuch khoyaa humne, khoke sab tumhe maangaa hai
himmat baandhe rakhenge hum, khud ke fisal jaane tak

abhi to shuruwaat hai, bahut duur tak abhi chalnaa hai
angaaron par bhi chal lenge, pairon ke jal jaane tak

kab tak yun tum roothoge, kab tak yun humein sataaoge
kar lenge intzaar tumhaaraa, mausam ke badal jaane tak

Tuesday, March 26, 2013

Judaa kar diyaa


khwaab banke sajna thaa tumhaari aankhon mein
tumhe aansoo banaa ke aankh se judaa kar diyaa

baithe the tumhaare dil mein dhadkan ki tarhaa
tum ne dil se judaa kar ke gumshudaa kar diyaa
Dil meraa machaltaa kyun hai

hai nahi mohabbat unse to dil meraa machaltaa kyun hai
milne ko betaab ho ke yeh dil meraa fir jalta kyun hai

hai pyaas mere dil mein bahut, seene mein lagi aag hai
samundar mein doob ke bhi lahoo meraa ubaltaa kyun hai

kuch to un mein baat hai, kuch to un mein khaas hai
uss hasi ko dhoondne dil raahon mein nikaltaa kyun hai

geeli un ki aankhen hain do, bheege un ke honth hain
barsaat mein bhi bheeg ke jism yeh pighaltaa kyun hai

chhoo lun unko ek baar, main baahon mein bhar loon unhe
pyaar unhein karne ko meraa dil yeh ab machaltaa kyun hai

sharaab ki botal hain woh, nashaa un mein khoob hai
nashe mein doob ke bhi 'Hriday' aaj sambhaltaa kyun hai

kadmon ko apne roktaa hoon, aage badhne se toktaa hoon
suntaa nahi baat meri, khud-ba-khud yeh chaltaa kyun hai
Jaanam

dost ban ke aaye meri zindagi mein
ab kyaa se kyaa ban gaye ho jaanam

dard mein doobaa thaa yeh dil meraa
meri har khushi ban gaye ho jaanam

aankhon ke raste dil me samaa ke
meri mohabbat ban gaye ho jaanam

kaise bewafaa naam de dun main tumhe
mere liye bhagwaan ban gaye ho jaanam

tum bin ab kuch bhaataa nahi mujhe
tum meri zindagi ban gaye ho jaanam....

Monday, March 25, 2013

Tum meri jaan ban jaao


sajaa lun tumhe hothon pe, tum meri muskaan ban jaao
ho jaaun gum is tarhaa ki tum meri pehchaan ban jaao

khwaabon mein tum hi aate ho, aake unhein sajaate ho
dhadkano mein ho hi, mere dil ke har armaan ban jaao

khwaaish hai dil ki main chhuu loon chaand taaron ko
pankh failaa loon udne ko, tum mere aasmaan ban jaao

har lamhe mein tumhaaraa saath ho, tum bin ho kuch nahi
tum hi bano ateet mere, tum hi mere vartamaan ban jaao

rab ko kabhi dekhaa nahi, kaun hai woh jaantaa nahi
tum bano khudaa mere, tum hi mere bhagwaan ban jaao

saanson mein tum ho, mere khoon ki rawaani mein tum ho
ab kehne ki zarurat hai kyaa ki tum meri jaan ban jaao
Buraa to naa maanoge


main tumse kuch baat kahun
tum buraa to naa maanoge
kahun main, tumse mohabbat hai
tum buraa to naa maanoge

kab se yeh baat main
dil mein dabaaye baithaa hoon
kehnaa chaahtaa hoon 
magar keh nahi paata ahoon
aaj keh dun sab kuch tumse
to tum buraa to naa maanoge...

Saturday, March 23, 2013

Baatein achchi lagti hain

humein to tumhaari baatein achchi lagti hain
tumse hamaari mulaaquaatein achchi lagti hain

raat andhere mein tumhaari yaad jab aati hai
humein tumse saji woh raatein achchi lagti hain

mann kartaa hai bheeg jaayein mohabbat mein
shayad isiliye humein barsaatein achchi lagti hain

tumhein yaad kar jab saansein paagal si hoti hain
hamaari rukti chalti woh saansein achchi lagti hain

Tum aajaao to jaane

band aankhon se humein dekh paao to jaane
kabhi hamaare liye bhi muskuraao to jaane

tum to bahaanaa banaate ho ki waqt nahi
hamaare liye thodaa nikaal paao to jaane

kabse sambhaal rakhaa hai woh kangan maine
apne haathon par kabhi tum sajaao to jaane

aankhon mein jaane kitne khwaab sajaaye hain
tum kabhi haqeeqat ban ke aa jaao to jaane

dhadkano mein ab to naam tumhaaraa hi hai
tum hamaari saanson me samaa jaao to jaane

humein to tumse bepanaah mohabbat hai
thodi di tum bhi humse kar jaao to jaane

Friday, March 22, 2013

Kuch palon kaa saath baaki hai


tumse karne ko abhi kuch aur baat baaki hai
judaa hone se pehle aakhri mulaquaat baaki hai

maaloom hai humein judaa honaa hai kuch palon mein
magar ab bhi hamaaraa kuch palon kaa saath baaki hai

aao baitho hamaare saamne ki dekh len tumhe thik se
chali jaanaa tum, abhi to poori raat baaki hai

woh gulaab jo tumne diyaa thaa pehli mulaquaat mein
sukh gayaa, magar ab bhi usme woh jasbaat baaki hai

naa karo majboor ki ro de hum tumhaare jaane se pehle
chhipaa lenge ansoo, abhi to honi barsaat baaki hai
Poochhte rahe

chhipaa ke sau dard apne seene mein
woh muskuraate rahe
kyaa hai humein mohabbat ab bhi unse
woh humse poochhte rahe....

hum guum the apne hi safar mein
aur woh apne ghar kaa pataa
hum se poochhte rahe....
chhipaate rahe apne aansoo hum se
aur humaare dard ki wajah poochhte rahe....

Thursday, March 21, 2013

Kuch to hai


ye baat to tum bhi jaanti ho
meraa yakeen hai yeh
tum mujhe aaj bhi pehchaanti ho....

bahut baar, bahut kuch
kehte kehte ruk saa jaataa hoon main
tumhaare poochhne pe bas
paagalon sa muskuraataa hoon main

kuch baatein jo hothon tak aake
ruk si jaati hain
dil chaahtaa hai kehnaa tumse
magar zubaan....
kuch keh nahi paati hai...

darr hi hai shaayad yeh....
daar kuch khone ka..
darr tuut jaane ka....
darr ....
ek andekhaa saa....
anjaanaa saa....

kuch baat ab bhi baaki hai
dil ke kisi kone mein
ab bhi kahin....
koi ehsaas baaki hai...

ek parchhaayi hai dhundli si...
guzre huye waqt ki...
kuch daag un yaadon ke
nishaan un waadon ke....

panne zindagi ke palat ke
dekh letaa hoon kabhi kabhi
kyaa khoyaa maine
kyaa paayaa maine....

kuch to hai khaas jo khoyaa hai...
kuch to hai jo ab nahi hai...
kuch to hai...
kuch to hai....

Tuesday, March 19, 2013

Udaas


jism bhi udaas hai
jaan bhi udaas hai

sab kuch hai magar
kuch nahi paas hai

jeet bhi hai magar
haar saa ehsaas hai

doobke bhi dekh liyaa
bujhti nahi pyaas hai

zindagi nahi zindagi
jab woh nahi pass hai

Saturday, March 16, 2013

Uski yaadon mein

woh meri baahon mein, main uski nigaahon mein
is tarhaa se khoye the, hum apni chaahon mein
aankhen bichaaye hoon, main uski raahon mein
geet gungunaataa hoon, main uski yaadon mein

puraane kitaabon mein, sukhe gulaabon mein
mere sawaalon mein, uske jawaabon mein
aaj bhi woh aati hai, raat mere khwaabon mein
geet gungunaataa hoon, main uski yaadon mein

kuch uski baaton mein, haseen mulaaqaaton mein
kuch din ke ujaale mein, kuch andheri raaton mein
main behek jaataa hoon, bheege jazbaaton mein
geet gungunaataa hoon, main uski yaadon mein

uski har nishaani mein, aankhon ke paani mein
aaj bhi woh sajti hai, meri har kahaani mein
jism mein woh rehti hai, ragon ki rawaani mein
geet gungunaataa hoon, main uski yaadon mein

Friday, March 15, 2013

Kyaa baat karenge

woh humse, hum unse kyaa baat karenge
jab pehli baar unse mulaquaat karenge

aankhon hi aankhon mein ishaare honge
hum un kaa deedaar poori raat karenge

baahein failaa ke seene se lagaa lenge
mohabbat ki hum khoob barsaat karenge

hosh mein ek pal naa hum reh paayenge
beqaaboo hum apne har jazbaat karenge

Thursday, March 14, 2013

Is tarhaa se ghum bhulaataa hoon

har raat usko is tarhaa se bhulaataa hoon
dard seene mein dabaa ke so jaataa hoon

sard hawaayein jab chalti hain raat mein
haath sekne ko apnaa hi ghar jalaataa hoon

kasam dee thi usne kabhi naa roney ki
yahi wajah hai aaj bhi muskuraataa hoon

har kaam kiyaa maine uski khushi ke liye
tab bhi jaane kyun bewafaa kehlaataa hoon

maut se pehle uske deed ki khwaaish hai
bas isliye zindagi kaa saath nibhaataa hoon

Wednesday, March 13, 2013

Kyaa baat ho


woh hum se mulaquaat kar len to kyaa baat ho
woh muskuraa ke baat kar len to kyaa baat ho

hum tadapte rehte hain un ke deedaar ke liye
dikh jaayen woh roz humein to kyaa baat ho

matlab ke liye to koi bhi yaad karle humein
koi be-matlab hi yaad kare to kyaa baat ho

aa ke chhip jaaye aankhon mein khwaab banke
haseen meri woh raat kar den to kyaa baat ho

aarzoo hai hamaari mohabbat mein bheegne ki
woh aake thoodi barsaat kar den to kyaa baat ho
Sharaab


unke liye cheez koi kharaab hai
aur hamaare liye yeh sharaab hai

ghum bhulaane ki dawaa hai yeh
cheez yeh badi hi laajawaab hai
Dheere dheere


asar teraa kuch chalaa hai dheere dheere
ki hum hone lage hain tere dheere dheere

dhadkano mein mere ab naam bas teraa hai 
dil bhi machalne lagaa hai dheere dheere

tadap kitni badhi hai ab naa poochho tum
ab jalne lage hain hum bhi dheere dheere

aisi chali hai hawaa mohabbat ki yahaan
mehekne lage hain hum bhi dheere dheere

ab saanson se pehle teraa naam aataa hai
lahu banke mujhme behti ho dheere dheere

kyaa ho tum yeh baat kyaa bataaun tumhe
jaan ban ke rehne lagi ho dheere dheere

ek pal tum se judaa main reh paataa nahi
mohabbat hone lagaa hai ab dheere dheere
Kismat mein pyaar nahi

woh samajhte hain ki ab humein unse pyaar nahi
ghum is baat kaa hai ki unhe humpe aetbaar nahi

kitne hi khat likhe humne unhe bulaane ke liye
unko padhe binaa soch liyaa humein intzaar nahi

rang holi ke feeke hain aur shaant deewaali hai
unke binaa ab koi khushi nahi, koi tyohaar nahi

jaante hain hum mumkin nahi aanaa unkaa yahaan
sukhe phoolon mein jaise kabhi aati bahaar nahi

lakeerein haathon ki yeh kehti hain aksar hum se
hamaari kismat mein sabkuch hai, magar pyaar nahi
Mazaa hai dil lagaane me

aake dekhlo mere aashiyaane mein
kyaa mazaa hai dil lagaane mein

ho ke barbaad tum bhi dekh lenaa
bahut mazaa hai bikhar jaane mein

kisi ne saath yun chhodaa meraa
mazaa aane lagaa ladkhadaane mein

aadat yun lagi hai ab aansuon ki
taqleef hoti hai muskuraane mein

sochaa thaa yaad nahi aayegi uski
umra guzaar di usko bhulaane mein

Tuesday, March 12, 2013

Kabhi tum khwaab lagte ho


kabhi tum sach lagte ho, kabhi koi haseen khwaab lagte ho
kabhi dard ke kaaran, to kabhi tum khilte gulaab lagte ho
ab bhi samajh nahi paayaa main thik se ki tum kyaa cheez ho
kabhi meri zarurat, to kabhi cheez tum koi kharaab lagte ho...

Monday, March 11, 2013

Zaraa muskuraao tum

aankhon se motiyon ko yun naa lutaao tum
ek baar bas mere liye zaraa muskuraao tum

tum mere the, mere ho, mere hi rahoge tum
dilki apni baat koi mujhse naa chhipaao tum

gawaah mohabbat ke yeh jalte chiraag hain
yun apne aansuon se naa in ko bujhaao tum

palbhar ki doori hai, fir apnaa saath hai
lamhaa lamhaa yun humse duur naa jaao tum

meraa intzaar karo, mujh pe aetbaar karo
meri zindagi ho, zaraa mere paas aao tum

Koi tum jaisaa kahaan hai

aankhon mein tumhaare siwaa koi sapna kahaan hai
bas ek tumhaare siwaa koi meraa apnaa kahaan hai

yun to bahut log miley mujhe raah-e-zindagi mein
saath nibhaa sake taa-umraa koi aisaa kahaan hai

hazaar chehron mein ek tumhaaraa hi chehraa hai
koi chehraa is jahaan mein tum jaisaa kahaan hai

aankhon me masti, honthon pe nashaa, kyaa kahun
jahaan mein koi nashaa tumse badh ke kahaan hai

jo ek baar lagaa le tumhe hothon se to mar jaaye
dekhke tumhe abtak koi sambhal paayaa kahaan hai

ek khwaish hai ki mar jaaun tumhaari baahon mein
magar, abtak mujhe wo maukaa mil paaya kahaan hai

Sunday, March 10, 2013

Muskuraane ke liye

koi bahaanaa dhund lo tum paas aane ke liye
tumhaaraa saath chaahiye muskuraane ke liye

hum to kabse guzaar rahe hain tanhaa zindagi
koi hamsafar chaahiye saath nibhaane ke liye

mushkil hai ab reh paanaa tumse judaa apnaa
gaye the waadaa karke tum laut aane ke liye

ek ek lamhaa baras ke samaan lagtaa hai ab
jaayaz koi wajah nahi hai jee paane ke liye

yaa to aake khatam karo yeh intzaar hamaaraa
yaa de do apni razaa mere mar jaane ke liye
Apni kahaani yaaron

bas itni si apni kahaani yaaron
nadiyaa kaa thodaa paani yaaron

aankhon mein hai chehraa usi kaa
mohabbat ki yahi nishaani yaaron

haddon ko saare paar kar jaanaa
hai isi kaa naam jawaani yaaron

humein saath agar mil jaaye uskaa
har shaam ho jaaye suhaani yaaron

fir ek nahi sau baar main bolun
hai apni bhi koi deewaani yaaron

Baarish kaa thodaa paani hai

baarish kaa thodaa paani hai
mohabbat ki yahi kahaani hai

aankhon mein hain khwaab saje
yahi to pyaar ki nishaani hai

qaaboo jis par reh naa sake
usi kaa naam to jawaani hai

chaahne waalaa saath ho jiske
uski har shaam suhaani hai

Yaad rakhnaa

aankhon kaa khumaar yaad rakhnaa
bas tum meraa pyaar yaad rakhnaa

bhoolne ko bhool jaao tum mujhe
tum meraa aetbaar yaad rakhnaa

aankhen kabhi nam naa ho paaye
bas yeh baat yaar yaad rakhnaa

kabhi jaanaa pade duur mujhse agar
bas tum meraa intzaar yaad rakhnaa

Muskuraanaa kaafi hai

saanson ki rawaani ke liye tumhaaraa aanaa kaafi hai
dil ke sukoon ke liye tumhaaraa muskuraanaa kaafi hai

qatl karne ke liye khanjar ki kyaa zarurat hai sanam
jaan lene ke liye bas tumhaaraa sharmaanaa kaafi hai

nashaa sharaab me hai magar humein uski kyaa zarurat
madhosh hone ke liye tumhaaraa paas aanaa kaafi hai

bheege labon ko tumhaare main chhuu loon apne labon se
bheeg jaane ke liye bas unkaa chhoo jaanaa kaafi hai

likhun koi ghazal main tumhaare naam se kabhi agar
apne hothon se tumhaaraa use gungunaanaa kaafi hai

kab kahaa maine ki zarurat hai mujhe mohabbat ki
bas mere khwaabon me tumhaaraa aa jaanaa kaafi hai

Saturday, March 9, 2013

Har shaam dekhte hain

mere geeton mein woh apnaa naam dekhte hain
mere saath woh apnaa har anjaam dekhte hain

din to guzaar lete hain woh tanhaayi mein
mere saath woh apni har shaam dekhte hain

mujhe hi apnaa sab kuch samajh baithen hain
aur mujh mein apnaa har muqaam dekhte hain

hum ko hi khaas samajhte hain woh apne liye
humse judaa har cheez ko wo aam dekhte hain

khoye rehte hain woh hamaari yaadon mein, aur
hum se hi jude woh khwaab tamaan dekhte hain
Hum tumhe yaad karte hain

yeh jhoot nahi hai ki hum tumhe aaj bhi yaad karte hain
sharaab mein doobo ke khud ko zindagi barbaad karte hain
dosh nahi dete tumhe ki tumne barbaad kiyaa hai humein
khush raho tum, hum rab se bas yahi fariyaad karte hain

Kaise maan len hum

tumhe humse mohabbat hai yeh kaise maan len hum
sach keh rahe ho aaj tum yeh kaise maan len hum

agar hote tum mere to kabhi dard naa dete humein
dard itnaa diyaa, tumko apnaa kaise maan len hum

zakhm cheekh cheekh ke tumhaaraa naam lete hain
woh jhooth keh rahe hain yeh kaise maan len hum

maan lete hain ki tum bewafaa nahi ho, magar
jo huwaa pehle usko ghalat kaise maan len hum

hum mar rahe hain har roz thodaa thodaa karke
tum zeher nahi, is baat ho kaise maan len hum

naa kaho aisaa ki humne tumhe apnaa maanaa nahi
magar tum mere ho, ise sach kaise maan len hum

maan lete hain ki tum hamaare khwaab sajaate ho
magar wo khwaab sach honge yeh kaise maan len hum

kuch aisaa huwaa nahi ki tumpe bharosaa ho humein
aage tum dagaa naa doge yeh kaise maan len hum
Ishaare nahi milte

gum huye kuch yun samundar mein ki kinaare nahi milte
kisi ki aankhon se ab mohabbat ke ishaare nahi milte
bhatak gaye hain hum safar mein zindagi ke kuch yun
ladkhadaate rehte hain magar kahin sahaare nahi milte
Main jee naa paaun aaj

chhoo lo aake mere hothon ko ki main kuch keh naa paaun aaj
tadap uthun kuch is tarhaa ki qaaboo mein reh naa paaun aaj

seene se lagaa ke mere dil ki dhadkano ko tez kar do sanam
ki jhoomne lagun nashe mein, main sambhal hi naa paaun aaj

mere aankhon ke har khwaab mein tum hi tum baste ho sanam
deedaar ho jaaye haqeeqat mein, fir main so naa paaun aaj

le chalo duur mujhe is jahaan se jahaan koi bandish naa ho
bas tum raho, main rahun, jahaan se laut ke aa naa paaun aaj

kho jaao tum meri chaahat mein aur main kho jaaun tum mein
guum ho dono is tarhaa ki khud ko hi dhund naa paaun aaj

aao naa, aake chhoo lo mujhe apne haathon se, hothon se tum
ki mar jaaun mohabbat mein tumhaare, main jee naa paaun aaj
Main nashe mein hoon

kuch naa kaho tum aaj ki main nashe mein hoon
ho naa jaaye pyaar kahin main nashe mein hoon

naa samajh lenaa mujhe tum sharaabi mere yaaron
pi nahi hai sharaab, magar main nashe mein hoon

sharbati aakhon ke baare mein kyaa bataaun main
doobaa hoon unhi mein, aur main nashe mein hoon

kaanpte honthon se jab kuch kahaa usne mujh se
kho gayaa unme aur ab tak main nashe mein hoon

apne zulfon ke baadal se jab baarish ki usne
bheeg gayaa main, lagaa main nashe mein hoon

guum hoon ab tak main uski aanchal mein kahin
naa dhundo mujhe yaaron, main nashe mein hoon

pyaaraa saa khwaab sajaa hai mere aankhon mein
naa jagaao mujhe yaaron, main nashe mein hoon

pee lene do thodi aur ki hosh mein naa aa paaun
rok lo use kuch der aur ki main nashe mein hoon

roop ki raani hai woh, hai husn ki malikaa koi
likhun koi ghazal uspe ki main nashe mein hoon

ho koi khataa agar mujhe naa dosh denaa yaaron
main nahi hosh mein aaj, main nashe mein hoon

Zarurat kyaa hai

dil ki baaton ko zubaan tak laane ki zarurat kyaa hai
jo aankhon se bayaan ho bataane ki zarurat kyaa hai
pyaar thaa tumhe mujhse kabhi, aaj nahi hai, magar
duur jaane ke liye kisi bahaane ki zarurat kyaa hai
Tum khwaabon me aate rahe

zakhmon pe hum is tarhaa marham lagaate rahe
tadapte rahe dard se aur hum muskuraate rahe

har baar tumne humein bewafaa bataayaa magar
hamaari wafaa thi hum mohabbat nibhaate rahe

jab kabhi tumhaaraa naam aayaa bewafaaon mein
woh hum they jo tumhaare gunaah chhipaate rahe

sukhaa galaa jab bhi apnaa pyaas ke maare kabhi
gehri aankhon ko dekh apni pyaas bujhaate rahe

na samajh paaye ki pyaar kisi zeher se kam nahi
kuch is tarhaa se hum maut ke kareeb jaate rahe

logon ne bahut samjhaayaa ki yeh rog thik nahi
magar hone bimaar hum tumhaare paas jaate rahe

ek hum the jo tumhe paane ki koshish karte rahe
aur ek tum the jo hum se duur duur jaate rahe

haqeeqat yeh thi ki tum kabhi mere the hi nahi
aur khwaab me har raat tum dulhan banke aate rahe
Happy Birthday Friend

ae dost mere tumhe aaj ke din koi tohfaa denaa chaahtaa hoon
ae dost mere tumhe aaj ke din main kuch kehnaa chaahtaa hoon

kehne ko bahut kuch hai magar kahun to kahun kaise
hothon tak baat aa gayi hai, main chup rahun kaise

tum, haan tum hi the jisne meri zindagi ko nayi raah di
haan tum hi the jisne meri dhadkano ko nayi chaah di
main tanhaa akelaa thaa, apne dil ke toot jaane ke baad
wo tum hi the jisne fir se mujhe jeenaa sikhaayaa mar jane ke baad

tukde dil ke leke apne haathon me koshish kar rahaa thaa jodne ki
tumhi the jisne aake apne haathon se mere dil ko nayaa roop diyaa
nafrat ho chuki thi mujhe roshni se dil ke tut jaane ke baad
ek nayi subah ki tarhaa tum aaye, aur jeewan me firse dhuup diyaa

ae dost mere, kyaa hai mere jeewan me ab tumhaare dosti ke siwaa
aaj tumse duur hoon, magar yaadon mein kuch nahi tumhaare siwaa
kaash tum paas hote aaj to kuch pyaraa saa tohfaa detaa tumhe
magar ho nahi kareeb aaj to kyaa dun main tumhe duwaaon ke siwaa

khush raho sadaa, tum muskuraate raho
jeewan ke geet tum gungunaate raho
bharo sapne apni aankhon me tum, aur
unhi sapno se apnaa jahaan sajaate raho

azaad kisi panchhi ki tarhaa pankh failaa lo
aur khule aasmaan me tum bas udte raho
banaao dost naye, puraane bhi yaad rakho
kabhi kabhi humein apni jhalak dikhaate raho

Wish you a very happy birthday dear...!!!

Friday, March 8, 2013

Tumhaare jaane ke baad

hum to sambhalnaa hi bhool gaye ladkhadaane ke baad
tum hi tum yaad rahe humein, tumhaare jaane ke baad
kyaa baat karte ho tum apne dil ko jalaane ki yahaan
raakh ke dher ban gaye hum, tumse dil lagaane ke baad

Sabkuch tumse keh jaanaa huwaa

adhkhule labon kaa tumhaare jo kuch keh jaanaa huwaa
hamaaraa bas bheege labon ko dekhte reh jaanaa huwaa

palkon kaa tumhaare jo humein dekh sharmaanaa huwaa
tumhaare sharm ke paani me hamaaraa beh jaanaa huwaa

dekhte rahe tumhein kuch yun ki pehle naa dekhaa kabhi
dhadkano kaa naa jaane kyun tez ho ke reh jaanaa huwaa

dil to thaa ki likh den kuch hothon pe apne hothon se
par naa jaane kyun khud kaa qaaboo me reh jaanaa huwaa

jo naa keh sake aaj tak tumhein apne hothon se kabhi
aankhon hi aankhon me sab kuch tumse keh jaanaa huwaa

Muskuraanaa naa ho paayegaa

laakh samjhaa len hum, unkaa ab aanaa to naa ho paayegaa
unke naa hone se ab apnaa muskuraanaa to naa ho paayegaa

bahut rokaa hai humne apne aansuon ko unke jaane ke baad
ab aankhon mein aasnuon kaa ruk paanaa to naa ho paayegaa

kyaa thaa apne paas kehne ko apnaa unke sahaare ke siwaa
unke chale jaane se apnaa sambhal paanaa yo naa ho paayegaa

kai baar tute, kai baar jude hain hum, magar is baar hum
toote is tarhaa ki hamaaraa jud paanaa to naa ho paayegaa

unke hone se hamaare geeton me bhi ras miltaa thaa, magar
unke jaane se apnaa pehle jaisaa likhnaa to naa ho paayegaa

khaali zameen hoon, banjar hoon, kuch nahi hai mujh mein
binaa unke is jahaan mein, jee paanaa to naa ho paayegaa

bahut bharosaa thaa humein apni mohabbat pe yeh sach hai
ab kisi haseen se apnaa dil kaa lagaanaa to naa ho paayegaa
Jeenaa sikh jaaoge

ishq mein bhalaa tum kyaa paaoge
khud ko hi tum dhundte reh jaaoge

sangh rehnaa achchaa lagegaa unke
aur miloge to seene se lag jaaoge

pyaar kyun hotaa hai kyaa maloom
koshish karke bhi samajh naa paaoge

zindagi khafaa nahi hai tumse aaj
kuch palon me tum bhi muskuraaoge

dil kahaan tut_taa hai kisi kaa kabhi
yeh baat tum jald hi samajh jaaoge

dhokhe nahi they, koi khwaab thaa
ek din tum bhi neend se jaag jaaoge

woh miley naa miley kyaa matlab us se
magar bahut jald tum jeenaa sikh jaaoge

Thursday, March 7, 2013

Pyaar karnaa chhod diyaa


woh samajhte hain humne pyaar karnaa chhod diyaa
aajkal humne kisi kaa intzaar karnaa chhod diyaa

pyaar koi kartaa kahaan hai, apne aap hotaa hai
aur baat hai ki humne izhaar karnaa chhod diyaa

ho jaati hai ab bhi mohabbat har haseen chehre se
bas hum ne mohabbat kaa iqraar karnaa chhod diyaa

qadar nahi hai sachche ehsaason ki zamaane mein
yahi wajah hai pyaar beshumaar karnaa chhod diyaa

doston ke salaah ki zarurat kisko hai aaj yahaan
yahi wajah hai humne hoshiyaar karnaa chhod diyaa

dil lagaane ko lagaa lete hain kisi se bhi hum
magar aajkal kisi pe aetbaar karnaa chhod diyaa

Wednesday, March 6, 2013

Pehchaan ban ke

hothon pe sajte ho tum meri muskaan ban ke
jism me mere rehte ho tum meri jaan ban ke

tum se hi main hoon, tum bin main kuch nahi
saath mere rehte ho tum meri pehchaan ban ke

main badaa sharif hoon log yeh samajhte hain
dil me mere rehte ho tum mere imaan ban ke

Aankhon ko kehne do

kuch naa kaho hothon se, bas ishaaro ko rehne do
jhuki nazrein tumhaari kehti hain, unko kehne do

main to aashiq hoon tumhaari aankhon kaa kab se
aankhon ki jo baatein hain, aankhon ko kehne do

milti hain meri aankhon se, kabhi sharmaati hain
mil jaayen meri aankhon se to, waise hi rehne do

saagar hain aankhen tumhaari, aur nadi meri hain
jaanaa, nadi ko saagar tak bas yunhi tum behne do
Itni si meri kahaani hai

thodi si aag hai
thoda saa paani hai
itni si meri kahaani hai

thode pyaar ke baadal hain
thodaa dil bhi paagal hai
thodi khushiyaan
thode ghum hain
tanhaa si ye jawaani hai
itni si meri kahaani hai

Tuesday, March 5, 2013

Main beh jaataa hoon

kehtaa nahi kuch bhi kisi se, mann hi mann muskuraataa hoon
dekh ke tumhaari likhi ghazal main dekhtaa hi reh jaataa hoon

dil ki har ek baat tumhaari shabdon me utar aati hai jab bhi
nishabd ho jaata hoon main, tab kuch bhi nahi keh paataa hoon

ek nahi sau baar main tumhaare likhe geet ko gungunaataa hoon
unn ehsaason mein jaane kahaan se kahaan main beh jaataa hoon
Nadiyaa ki dhaaraa ho

tum nadiyaa ki dhaaraa ho
main tum sangh beh jaaungaa

tum se judaa ho ek pal bhi
main ab to naa reh paaungaa

tum se mujhe mohabbat hai
main sab se yeh keh jaaungaa

chaahe miley mujhe dard hi, ab
main har dard ko seh jaaungaa
Main tumhe yaad kartaa hoon

khwaabon me aa aa ke tumse main mulaquaat kartaa hoon
main bhoolaa nahi, tumhe ab bhi main yaad kartaa hoon
yeh doori hai jismon ki, magar dil ab bhi saath hain
khush raho tum sadaa bas itni si fariyaad kartaa hoon

Koi ghazal likh doon

tumhaare husn ko sonaa aur jism ko sheesh mahal likh doon
tum chale aao to main khoobsurat saa koi ghazal likh doon

kabse aankhen bichhaaye baithaa hoon tumhaari raahon mein
tum aa jaao to tumhaare naam main apnaa har pal likh doon

pyaasaa hoon main tumhaare deedaar ke liye oh mere sanam
tum chale aao to baarish ho, main tumhe baadal likh doon

din kaa ujaalaa tumhaare chehre ke noor se hi hai, main 
raat ke andhere ko tumhaari aankhon kaa kaajal likh doon

taarif tumhaari kyaa karun main phoolon aur bahaaron se ab
sharmaa jaayen woh tumhe dekh, sharam ko jaljal likh doon

pehle main insaan hi thaa, aashiq to tumne banaayaa mujhe
aajaao, tumhe baahon mein leke pyaar kaa koi pal likh doon

chaand bhi tumhe dekh sochtaa hogaa ki tum kyaa cheez ho
mohabbat ki misaal ho tum, tumko main taajmahal likh doon