Soch apni, samajh apni
main kuch kehta hoon to wo hasee me udaa deti hai,
aur baat baat pe wo mujhe bholaa bhaalaa kehti hai,
main aadi nahi hoon shaharon ke aise chhal kapat ka,
jisse pyaar karta hoon wo pari mere dil me rehti hai,
ye meri kahaani nahi bas ek khayaal hai...ek ladki jo paagal hai is adhunik yug ke rang me dhalne ko aur ek ladka jo ab bhi puraane sanskaaron ka maan karta hai, pyaar mohabbat me vishwaas rakhta hai... bas ek soch...
koshish to khoob karti hai lubhaane ki apni adaaon se mujhe,
kabhi baahon ke gheron me leti hai to kabhi chumti hai mujhe,
main har baar daant ke use samjhaataa hoon ki hai thik nahi ye,
"zindagi ke maze hain" har baar ye baat wo samjhaati hai mujhe,
kehti hai "kya rakha hai kisi ek ke pyaar me umra guzaarne me,
mazaa to zindagi ka hota hai ghaat ghaat ka paani peene me",
samjhaataa hoon use ki main nahi hoon shayad is yug ka insaan,
mujhe to achcha lagta hai bas apne mehboob ke saath jeene me,
kehti hai mujhe, "mehboob to wo hota hai jo kuch pal saath ho,
koi aisa shaks jiske saath bas do ya chaar gin ke mulaquaat ho",
par kaise samjhaataa main us naasamajh ko ki meri samajh kya hai,
chalo jaane do, samjhe wo wahi jo uski samajh me aati baat ho,
mumkin nahi samjhaanaa har kisi ko mohabbat kya cheez hoti hai,
kisi ke liye dil behlaane ka zariya to kisi ki zindagi hoti hai,
koi waqt pe samajh jaataa hai to koi waqt jaane pe samajhta hai,
kya kahen, ye to har kisi ki apni apni kismat ki baat hoti hai....