Thursday, February 23, 2012

Usi ki chaahatein hongi

andhere kisi kone be bas kuch aahatein hongi,
sooni hongi baahein aur khamosh raatein hongi,

dil ke kisi kamre me bas usi ka chehra hoga,
saath koi ho na ho bas usi ki yaadein hongi,

dil me arma hoga na aankhon me neenden hongi,
tanha har raat me bas usi ki chaahatein hongi...
Dil khone lagta hai

naa chhedo wo baat ki kuch hone lagta hai,
haste haste ye dil achanak rone lagta hai,
badi mushkil se sambhala tha humne khudko,
wo yaad humein aansuon me bhigone lagta hai,

kya kahen us kaatil raat ke baare me hum tumhe,
jise yaad kar ye dil zoro se dhadakne lagta hai,
safar me zindagi ke kaise tanha reh gaye hum,
bas soch ke wo baat dil andhero me khone lagta hai...

Wednesday, February 22, 2012

Na jaa paaoge

baandh lenge tumhe ki na jaa paaoge chhod ke,
aasaan na hoga jaana pyaar ka bandhan tod ke,
kaho to hum bagawat kar le saare jahaan se,
par na jaana tum kabhi humse muh mod ke.....
Pyaar ka sangam hoga

ab na koi rok na koi bandhan hoga,
is jahan me ab hamara milan hoga,
aajaao baahen failaaye baithe hain,
pyaar se ab pyaar ka sangam hoga...
Yaadon ke geet

jab jahaan me tanha akele reh jaaoge,
unhi yaadon ko apne sang tum paaoge,
ek waqt pe saaya bhi saath chhod jaayega,
us pal bas yaadon ke hi geet gungunaoge....
Duur hone nahi deti

ye yaadein humein ab sone nahi deti,
teri wo kasam humein rone nahi deti,
samjhaayen bhi to kaise hum is dil ko,
teri tasveer hume duur hone nahi deti...
Unhe hi maanga karte hain

unki yaad me hum raaton ko jaaga karte hain,
aankhen band ho to unhe hi dekha karte hain,
koi poochhe ki kya khwaaish hai hamaari,
kahenge, duwaaon me bas unhe hi maanga karte hain....
Muskuraata hoon main

unhi yaadon ke dum pe muskuraata hoon main,
unhe geeton me sajaake gungunata hoon main,
raat ke andheron me kabhi kho jaaun agar,
unhi yaadon ke saaye me khud ko paata hoon main...
Wo sadaa muskuraaye

main nahi chaahta ki wo kabhi aansoo bahaaye,
jo gunaah kiya nahi kabhi uske liye pachhtaaye,
har ek saans ke saath uski khushi hi maangi hai,
chaahunga ghum mujhe mile aur wo sadaa muskuraaye....
Pyaar nibhana nahi aata

rote huye ko mujhe hasaana nahi aata,
chaahke kisiko use bhulana nahi aata,
sikh gaya hoon har rishte nibhaana,
par kyun mujhe pyaar nibhana nahi aata...
Ghazal likhenge

tere bulaane se hi tere kareeb aaye hain,
khushiyon se sajaake tera har pal likhenge,
saath tera ta umra nibhaane aaye hain,
tujhpar ab hum apni har ghazal likhenge...
Yaad aaj bhi hain

wo baatein humein yaad aaj bhi hain,
wo raatein humein yaad aaj bhi hain,
kuch kasme tuti, kuch waade tute,
tere aansoo humein yaad aaj bhi hain...

Tuesday, February 21, 2012


Main koi nahi tha

shayar bhi tha, aashiq bhi tha,
ab koi nahi, tab koi nahi tha,

main hasta bhi tha, gaata bhi tha,
har dhun ko gungunaata bhi tha,
har rahi se main baatein karta,
main apne ghazal sunaata bhi tha,

pyaar hi pooja, pyaar hi sab kuch,
sabko ye samjhaata bhi tha,
jab dil toota to samajh gaya,
main koi nahi, main kuch bhi nahi tha,

shayar bhi tha, aashiq bhi tha,
ab koi nahi, tab koi nahi tha...
Ab bhi tadpega

paagal dil ye mera na tab samjha tha na ab samjhega,
kisi ki mohabbat me tab bhi tadpa tha aaj bhi tadpega...
Na bichdenge kabhi

ab jo mile hain to milan poora hoga abhi,
na honge aansoo na denge tujhe ghum kabhi,
kismat ne juda karke fir se milaya hai,
hogi khushiyaan aur na bichdenge hum kabhi...

Monday, February 20, 2012

Tum agar saath do mera

ye honth fir se gaayenge tum agar saath do mera,
ye kalam fir se chalegi tum agar saath do mera,
main to bhatak gaya tha waqt ke andheron mein,
zindagi roshan fir se hogi tum agar saath do mera...

Friday, February 17, 2012


aaj tu nahi hai paas mere, na yakeen hai tere aane ka mujhe,
par sukhe gulab ki pankhudiyon me teri mehek talaashta hoon main,

teri yaadon ko geeton me sajaake aaj bhi gungunata hoon main,
teri tasveer ko seene se lagaake aaj bhi aansoo bahaata hoon main...

Thursday, February 16, 2012


Main Tumhe Yaad Aaunga

haan ye sach hai ki mujhe tumse mohabbat nahi,
na hi kabhi main tumhaare kareeb aaunga,
na dhund paaogi mujhe tum chaah ke bhi is jahaan me,
main tumse itna dur chala jaaunga,

par jab bhi koi thande hawa ka jhaunka
tumhaare baalon ko sehlaayega,
main tumhe yaad aaunga,
jab bhi koi tumhaara apna tumhe
pyaar se paas bulaayega,
main tumhe bahut yaad aaunga...

Tuesday, February 14, 2012


Hum Ishq Kar Gaye

hum zindagi ki raah pe kuch is kadar guzar gaye,
na rok paaye khudko aur hum kai gunaah kar gaye,

socha tha tujhe sikhaayenge zindagi kya hoti hai,
par hum khud hi na jee sake aur bemaut mar gaye,

chalna tha tere saath humein banke tera humsafar,
aaj hum apni hi parchhai se dekho kaise dar gaye,

ishq karna jurm tha par jurm hum to kar gaye,
ishq ko khuda samajh hum ishq pe hi mar gaye....

Thursday, February 9, 2012

Mujhe Yaad Hai

teri aankhon ka wo jaadu, aaj bhi mujhe yaad hai,
tere julfon ki wo khushboo, aaj bhi mujhe yaad hai,

sang tere beeta huwa har lamha mujhko yaad hai,
tere hothon ka muskuraana aaj bhi mujhe yaad hai,

bhoola nahi kuch bhi kabhi, har baat mujhko yaad hai,
yaad hai teri mohabbat, teri wafaa mujhe yaad hai,

bhoola nahi tujhko kabhi teri yaad har pal mere saath hai,
mujhe tu miley, tera saath ho, ab bas yahi fariyaad hai....
Hui Mohabbat Kam Nahi

kaise kahen tumse ki ab to ye mumkin nahi,
aaj hum hum nahi aur pyaar ka wo mausam nahi,

aankhon me aansoo nahi par dard humko kam nahi,
muskuraate hain aaj hum jaise ki koi ghum nahi,

chaahte hain likhe kuch par pehle jaise hum nahi,
dard hai likhne ko par ab chalta ye kalam nahi,

dil to hai seene me par usme koi dhadkan nahi,
door hain tumse magar hui mohabbat ye kam nahi...