Sunday, October 31, 2010

Burai to nahi na

achcha lagta hai humein unke saath rehna,
achcha lagne me koi buraai to nahi na,
kya hua agar wo kisi aur ki hain to,
use apna samajhne me koi buraai to nahi na...

Tujhko jo paaya to lagta hai aise

Tujhko jo paaya to hai lagta aise
Bhatakti naav ko saahil mil gaya ho jaise
Paa li hai maine har khushi aise
Zindagi ab zindagi lagne lagi ho jaise

Har khwaab ab tumse sajne laga hai aise
Har khwaab hakikat ka rang leke samne aaya ho jaise
Har hakikat ab aankhon me bas gai hai aise
Ankhon me rang indradhanushi chhaye hon jaise

Sapne hamare ab satrangi hain aise
Muskurane ki ab humko wajah mil gai ho jaise
Dard mere ab sab mit gaye hain aise
Har dard ki dawa hume mil gai jo jaise

Dard khafa ab humse ho gaya hai aise
Tere sath har dard pyara lagta ho ajise
Tera pyaar mujhpe marta hai kuch aise
Main bina kisi shart tujhe chahungi sanam jaise

Main tumhari baahon me rahunga kuch aise
Seene me chhupke dil rehta hai jaise
Tumhari dhadkan ban main rahunga kuch aise
Meri Saanson me teri mahek basti hai jaise

Baagon me laal gulab khile hain aise
Meri zindagi me tum khil rahe ho jaise
Tumse milke mujhe har khushi mil gai hai aise
Ab kisi aur chiz ki aas na rahi ho jaise

Tumhe paake saara jahaan paa liya hai aise
Jo kami thi jeewan me wo puri ho gai ho jaise
Jo bikhre shabd wo aaj gazal ban gaye hain aise
Ye Milan kai nai gazal likhwayega mujhse jaise

Meri har gazal me ab tumhara naam hoga aise
Kehti hamare pyaar ki dastaan ho wo jaise
Wo pyaar jiska koi naam na hota hai aise
Bina naam ka anbujh sa rishta ho jaise

Kuch rishta mera bhi jud gaya hai tumse aise
Ye rishta rahega mere dil me umra bhar hi jaise
Han maine bhi ye nibhane ki kasam khai hai aise
Har mushkil me sath ek duje k rahenge hum jaise

Samudra k sang lehrein rehti hain aise
Seep me sachche moti baste hain jaise
Main teri ragon me bas jaunga kuch aise
Tu tu nahin bas mera hi wajood ho jaise

Tere shabd meri gazal ban gaye hain aise
Teri gazal meri zindagi ban gai hai jaise…!!!
Jee karta hai

aaj jaane kyun teri baaton pe yakeen karne ka jee karta hai,
tujhe apne kareeb laake baahon me bharne ka jee karta hai,

kabse ye baahen taras rahi hain kisi apne ko gale lagaane ko,
tujhe baahon me bharke jee bharke pyaar karne ka jee karta hai,

maaloom hai mujhe ki kitna saha hai tune mujhe paane k liye,
tere har dard ko tujhse chhinke apna bana lene ka jee karta hai,

kya kya khoya hai tune mujhe paane ke liye iska ehsaas hai mujhe,
ab tujhe wo sab kuch fir se lautaane ka mera jee karta hai,

jaane kyun aaj na chaahte huye bhi tujhe chaahne ka jee karta hai,
tere pyaar me doobkar tujhpe ek baar aetbaar karne ka jee karta hai....
Aao aaj tumse thoda pyaar kar le

aao bhulaake hum apne ateet ko ek dusre pe aetbaar kar le,
bhoolke saare dard hum ek dusre se tut kar pyaar kar le,

kya pata kal kya ho to kyun na aaj ko jee bhar ke jee le,
thodi der saath reh len hum aur khushiyon ko mehsoos kar le,

kai log aaye hamaare zindagi me aur kai ake chale bhi gayi,
zaraa tumse milke tumhe kuch palon ke liye baahon me bhar le,

aao tumhaari julfon me kho ke aaj zaraa ka hum shringaar kar le,
chhooke hothon ko tumhaare hothon se apne khud ko shaant kar le...
Na jaao ab

is jahaan me pyaari jurm hai kya,
log kyun ise chori chhupe karte hain,
kehne to kehte hain tum mere sab kuch ho,
fir bhala zamaane se kyun wo darte hain,

kuch palon ki jhoote saath ke liye,
jaane kitne dil tute honge yahaan,
kuch logon ke niji swaarth ke liye,
jaane kitne ghar barbaad huye,

main ye nahi kehta ki pyaar na karo,
par karo to nibhaane ki koshish to karo,
chhod jaate ho bich raah pe aise,
ki na ji paata hai na mar paata hai koi,

tum to khush ho kisi ko paake apne liye,
pra kya kabhi socha hai uska kya hoga,
jisne chaaha hai tumhe saare jahaan se badhke,
is tanhaayi me haal uska kya hoga,

jaana tha to bhala aaye hi kyun tum,
ab aaye ho to na jao dur ab,
jee nahi paayenge tumhaare bina,
tumhi to meri saansen ho ab..
Kya bataaye hum

kya batayen tujhe tune apne pyaar me kya kya sapne dikhaaye hain,
bhoolaake khud ko hum ek baar fir tujhse pyaar karne aaye hain,

kiye honge kuch punya jarur pichhle janam me aisa lagta hai,
tabhi upar waale se kismat me tera naam likhwa ke laaye hain,

kya hua jo kai baar tuta hai ye dil apna jhooti mohabbat me,
soch ke khush hain ki mohabbat ke naam pe tujhe paaye hain,

laa denge teri zindagi me inti khushi ki khil uthegi tu,
bhool jayegi tu bhi wo umra jo tu ne gum me gawaaye hain,

asaan nahi hota pyaar itna ki nibhaayi jaye umra bhar,
par tere hothon pe muskan sajaake rakhne ki kasam hum khaaye hain....
Isme mera kasoor kya hai

ek baar nazar uthaake ke dekh main hoon tere liye,
maloom hai tu mujhe nahi chaahti par isme mera kasoor kya hai,

maine to jo bhi sapne dekhe hain wo hain bas tere liye,
mere sapno ko sach karne me teri khushi nahi to mera kasoor kya hai,

maine to bas chaahna sikha hai aur tujhe chahta hi rahunga,
par tujhe mere pyaar ka ehsaas nahi to isme bhala mera kasoor kya hai,

ek din bhool ke apne ateet ko aa jaayegi tu meri baahon me,
aaj meri baahen sooni hai tere bagair to isme mera kasoor kya hai,

dunga itna pyaar tujhe ki tujhe bhi mujhse mohabbat ho jaayegi,
ek din tu meri hogi, aaj nahi to isme bhalaa mera kasoor kya hai...

Ek tera naam ek mera naam

jeewan me do naam hi to hain,
ek tera naam, ek mera naam,
tere geeton me main hoon agar,
to mere geeton me hai tera naam,

ye naam hai hmaare pyaar ka,
is naam ko tu bhi pehchaan,
bhoole se agar bhool jaaye tu,
yaadon me aaunga main har shaam,
ek tera naam, ek mera naam,
jeewan me hain bas do hi naam...
Hum apna dard kam kar lete hain

ghum bhulaane ke bahaane se hi gum ko yaad karte hain hum,
kisi ko batake hi apne dil ka dard mita lete hain hum,

chaahte hain kisiko is qadar ki uski judaai seh nahi paate,
uski jadai ke kisse hi apne doston ko sunaate hain hum,

sochte hain ki shayad koi ho jo samjhe hamaari baat ko,
saahnubhuti ki talaash me hi apne dil ka haal batate hain hum,

par kaun yahaan hota hai kisi ka apna ki sunle aapki baat,
na paake koi sujhaaw fir khud ko hi fir koste hain hum,

kuch hote hain apne jo samajhte hain humko humse zyaada,
hum apna dard unhe bataake ki apne dard ko kam kar lete hain hum...

Thursday, October 28, 2010

Dard ke daayron me ghira hoon main

dard ke daayron me yun ghira hua hoon main,
ki ja nahi sakta baahar in daayron se main,

chaah ke tujhe kabhi maanga tha bas apne liye,
ab apne hi chaahat ko har pal kosta hoon main,

khata isme teri nahi ki tu ho nahi sakti meri,
kasoor kismat ka hai kismat ko kosta hoon main,

chaahta hoon bhulaana tujhe main hamesha ke liye,
par yaadon ko seene se laga k bas rota hoon main,

ghum teri judaai ka kahun ya kahun teri bewafai ka,
tu jo dur hai uski har pal wajah dhundta hoon main,

na samajh paaya aaj tak ki kya gunaah kiya maine,
har lamha har pal apni bebasi ko kosta hoon main,

naseeb me kya likha hai ye kisko hai pata, magar
jo chaaha wo na mila, bas isi liye tadapta hoon main,

kasak si uth_ti hai mere dil me tere pyaar ki,
mil nahi sakti tu 'Hriday' ko samjhaata hoon main,

tanha akele apne dard ke daayron me rehta hoon main,
dard ko geeton me sajaake har pal gungunaata hoon main...
Haal-e-dil

bas teri awaaz ka hi jaadu hai ki tere itne kareeb aa gaye hain hum,
likhte the khud ke liye kabhi ab tere gulaam ho gaye hain hum,

har geet meri ab tere naam se hi banti hai ye sach hai,
aur tere hi geeton ko apne hothon se gungunaate hain hum,

jaane tu kaisi dikhti hogi, jaane tu kaisi lagti hogi,
tere isi khayaal me khoke kabhi sote to kabhi jaagte hain hum,

ye anjaana sa jo ehsaas hai tere mere bich me o mere sanam,
isi ehsaas ko seene me chhupaake akele mein khush ho jaate hain hum,

intezaar hai tere aane ka, kisi mod pe zindagi ke tujhse milne ka,
isi intzaar me is 'Hriday' ko har lamha samjhaaye rakhte hain hum....
Himmat na rahi

aadat nahi rahi ab girke sambhalne ki meri,
bahut saha hai, aadat nahi rahi sehne ki meri,
har baar tuta hoon main, tut ke juda bhi hoon,
bikhar chuka hoon itna ki judne ki taqat na rahi meri,

ek junoon sa tha kabhi dil me mere mohabbat ke liye,
ek tadap si thi dil me mere kisi ko paane ke liye,
kho chuka hoon use main, paa nahi sakta ye malum bhi hai,
ab fir kisi ko paake khone ki taaqat nahi rahi meri,

chalte chalte raah pe aajkal thokar lag jati hai mujhe,
dikhta nahi hain kuch bhi aankhon ke saamne mujhe,
aisa nahi hota tha pehle ki koi sambhaale mujhko,
ladkhadaaya hoon itna ki ab sambhalne ki taaqat na rahi meri,

kyun hota hai aisa mohabbat me ki hum khud ko bhool jaate hain,
pehle to aise na the jaisa mohabbat karne ke baad ho jaate hain,
thaama tha kisi ka haath kabhi khud se zyaada aetbaar karke,
khaai hai thokar aisi ki ab fir haath pakadne ki himmat na rahi....
Tu nahi aati hai

dekha hai jabse tujhe humne haal kuch aisa hi hai apna,
raaton ko neend nahi aati aur din me teri yaad satati hai,

chaahte hain tujhe baahon me bharna hum par kya karen,
teri yaadein to aa jaati hai par tu saamne nahi aati hai,

dhadkane dhadakti hain aaj bhi tere naam se ye sach hai,
tere kareeb aane ki soch hi humein paagal kar jaati hai,

tadapte hain hum har lamha tere deedaar ke liye o sanam,
teri yadein to aa jaati hain par tu haqiqat me nahi aati hai...
Ab mujhe pyaar nahi hota

kai saalon se main dekh raha hoon raah tumhaare aane ki,
ruka hoon bahut par ab mujhse aur intezaar nahi hota,

khaayen hain chot maine kai kai baar mohabbat mein,
shayad yahi wajah hai ki ab kisi pe aetbaar nahi hota,

reh reh ke utha_ta hai is dil me dard judaai ka,
shayad yahi wajah hai ki ab mera ikhtiyaar nahi hota,

bharosa uth chuka hai mera is jahaan me waado se,
ab achche to lagte hain log par kisi se pyar nahi hota...
Bas tera banke rahunga

na kar aisi baatein main tera hoon tera hi rahunga,
banaya hai tujhe maine apna main tera apna hi rahunga,
na hoga kabhi ki main jaaun tujhse duur ek pal ke liye,
jana bhi pada agar to main jald hi laut ke aaunga,
o sanam, main tera hoon, bas tera hi banke rahunga....

pyaar mera jhoota nahi ki bas naam ke liye saath hoon main,
tujhe maana hai apna umra bhar ke liye tere saath hoon main,
tera sajna sawanra mere naam se hai ye maaloom hai mujhe,
tujhe sajaake hamesha rakhne ke liye tere sath rahunga,
o sanam, main tera hoon, bas tera hi banke rahunga....

kyun sochti bhi hai ki tujhpe zamane ki nazar padegi,
tu meri hain hamesha mere dil me chhupke rahegi,
main tujhpe nazar na padne dunga kabhi kisi bala ki,
main tujhe hamesha apne dil me chhupaake rakhunga,
o sanam, main tera hoon, bas tera hi banke rahunga....
Bas usse pyaar karunga

main apne ansuon ko chhupaake use hasaane ki koshish karunga,
main sari duniyaa ko bhulaake use bepanah mohabbat karunga,

kya hua agar chot khai thi maine kabhi mohabbat me,
usko main kabhi us chot ka ehsaas na hone dunga,

main usko itna pyar dunga ki wo sochegi bas mere baare me,
ab main apni saari khushiyaan bas usi ke naam kar dunga,

aasan nahi hoga mujhse kisi aur ko chaahna bhoolaake kisiko,
par main mitaake puaarne har nishaani ko bas usse pyar karunga...
Ye baatein

ye baatein hi to hain jo humein jina sikhaati hain,
bhulaake apne har ek gum ko ye hasna sikhaati hain,

khaamoshi se bayaan ho jaati hain ye pyaar ki baatein,
ye baatein humein pyaar se pyaar karta sikhaati hain,

kho jaate hain kabhi kabhi in baaton me is tarha se,
ye baatein bheed me bhi gum ho jaana sikhaati hain,

agar andheri hai raat to roshan sawera hai ye baatein,
ye baatein humein khud ko samajhna sikhaati hain,

bhool jaate hain hum ki kya hain hum, kya wajood hai apna,
ye baatein humein hamaare kareeb aana sikhaati hain...
Kal ki umeed

aaj raat andheri hai to kya roshan sawera ho hi jaayega,
aaj tumse waqt naraaz hai to kya kal meherbaan ho hi jaayega,

aaj suni har raah hai to kya hua kal koi humsafar mil hi jaayega,
aaj aankhon me aansoo hai to kya hua kal dard khatam ho hi jaayega,

aaj koi sapna adhura hai to kya hua kal har khwab poora ho hi jaayega,
aaj tumhaare labz khaamosh hain to kya hua kal inme koi gazal saj hi jaayega,

dhundti hai aaj ye aankhen kisiko, kal uska deedar ho hi jaayega,
tadap hai usse milne ki seene me to kya hua kal usse mulaquat ho hi jaayega,

aaj har geet me dard hai to kya hua kal kisi "Hriday" ko pyaar aa hi jaayega,
aaj ki dhalti shaam andheri hai to kya hua kal sawere suraj aasmaan me aa hi jaayega...
Ek badlaaw

kabhi tum meri zindagi hua karti thi,
aaj jeene ke liye tumko hi bhoolana hai,
kabhi tumhaare kareeb aane ko tadapte the hum,
aaj khud se humein ladke tumse duur jaana hai,

sambhaala tha khud se jyaada tumhaare har cheez ko,
aaj mujhe tumhaari har nishaani ko mitaana hai,
likhe the kai geet tumhaare naam se kabhi,
aaj har geet se tumhaara naam mitaana hai,

tamanna hai meri ki mujhe ek baar fir se jeena hai,
tumhaari yaadon ko mitaa ke naya jahaan basaana hai,
kisi ki mohabbat me ek baar fir se behek jaana hai,
kisi ko apna banaake uski khushi pe muskuraana hai,

ab nahi chaahta main rehna bandhke tumhaare yaado se,
mujhe kisi bhi tarha khud ko azaad karaana hai,
bhoolaake tumhaare saath beete har lamhe ko,
mujhe ek naye sire se apne jeewan ko sajaana hai,

haan ab mujhe mere kisi apne ka saath nibhaana hai,
kisi ki sachchi mohabbat me ab mujhe mit jaana hai,
nahi seh sakta main ab dard bewafaai ka o sanam,
mujhe ab fir se sirf apne liye muskuraana hai,

haan mujhe ab firse is zindagi ko jeena hai,
kisi ka ban ke apna uski mohabbat me lut jana hai....

Sunday, October 24, 2010

Kabhi to aayegi tu

taanhaayi me koi aisa ehsaas ho
koi duur hoke bhi jaise paas ho
dil me dard ki jhalak to ho par
jaise kisi khushi ka ehsaah ho

koi ho jiski yaad aaye raaton me
koi ho jiski baatein ho baaton me
thaamke koi chale tumhaara haath
jab tanha raho tum suni raahon me

ek bon aansoo ka kabhi aankh se
chupke se beh jaaye gaalon pe
leke us aansoo ko apne haathon me
lagaa le koi use apne hothon pe

han koi shaks ho aisa tere paas bhi
jo karta ho bas pyaar tujhe har ghadi
na mil paaye koi aisa tujhe agar
mudke dekhna milenge tujhe paas hum hi

intehaan hai ye mere ishq ki
ki aayegi kabhi mere paas tu
umar beet jaaye chaahe aise hi
par ehsaas hai ki kabhi aayegi tu...
Main aajaunga milne tujhse

jaana main chaahta nahi tujhse duur
pad kya karun jaana pad raha hai mujhe
dur chaahe rahun main tujhse par
teri hi yaadein yad aayengi mujhe

haan tujhe in deewaaron ke saath
aj chhod ke jaa raha hoon main
isme meri khushboo to hai na
tere saath unhe chhod raha hoon main

maaloom hai mujhe ki tadap kya hoti hai judaai ki
par kya karun mujhe jaana hoga aaj tujhe dur
kuch bandishein hain jinhe main toda nahi sakta
un me baandhne khud ko jaa raha hoon tujhse dur

duur chaahe rahun jitna bhi tujhse
duur na ja paayegi kabhi tu mujhse
yaad banke har lamha tere saath rahunga main
aur yahi yaadein tujhe jode rakhengi mujhse

aaunga main laut ke tere paas ek din
din wo bahut duur nahi hai aaj se
kaat le kuch din judaai ke tu yahaan
intezaar ki ghadiya meri bhi shuru hain aaj se

main aaunga fir roz roz ladne tujhse
main aaunga tujhe bahon me bharne firse
ye meethe jhagde ye pyaar bhari ladaayi
in me tujhe uljhaane main aaunga firse

tu intezaar karna mera marte dum tak
aaunga ye mera waada hai tujhse
duur na reh paaunga main tujhse
dauda chala aaunga milne tujhse
haan main aajaunga milne tujhse
Mujhe achcha lagaa

aaj fir ek arse ke baad raat ko jaagna achcha laga,
neend thi aankhon me par fir bhi jaagna achcha laga,

koi to hai jisne kaha ki kuch der aur ruk jaao tum,
uski baat sunke uske saath ruk jaana achcha laga,

kuch kehna tha use mujhse, kuch khaas hi tha shayad,
kehti rahi wo bahut kuch aur mujhe sunna achcha laga,

uski wo baatein, uski wo boli, uski wo pyaari awaaz,
kuch der theher ke mujhe usko samajhna achcha laga,

haan shaayad arse ke baad aisa hua ki kisi ne roka,
mujhe us pal us ehsaas ke saath ruk jaana achcha laga,

mujhe aaj ek baar fir raat ko der tak jaagna achcha laga,
kisi se baatein karna aur kisi ko sunte rehna achcha laga...
Jade ki wo dhoop pichhle saal ki

yaad aane lagi hai humein bhi jaade ki wo dhup pichhle saal ki,
haathon me liye kisi ka haath jab kuch kadam chale the hum,

wo kuch lamhe zindagi ke jaate jaate bhi jaa nahi paate hain,
kisi na kisi bahaane se wo yaadein fir se laut ke aate hain,

tha koi aisa jise badi shaan se hum apna kaha karte the,
aaj uske baare me sochte hi aankhon me aansoo aa jaate hain,

kyun kiya tha humne mohabbat usse, kyun maana tha usko apna,
kuch inhi khayalon se aaj humein ye dard raaton ko jagaate hain,

na to bhool paate hain use, na kisi aur ko hi chaah paate hain hum,
aaj bhi uski yaadon ko seene se lagaake hum bas aansoo bahaate hain....
har dua qubool ho teri bas itni si tamanna hai meri,
hothon pe tere muskaan rahe bas ye chaahat hai meri,

teri khushiyon ke khaatir hi to main sabse ladta hoon,
teri aankhon me aansoo na aaye bas ye koshish hai meri...
Yun na bura maano meri aashiqui ka

yun na bura maano tum hamaari aashiqui ka,
ye to uska dil rakhne ko dil lagaate hain hum,
chaahta to tumhe hi saari duniya se badhke,
duur jaake bhi to tumhaare paas laut aate hain hum,

taarif me uske agar koi geet likh bhi du main to kya,
tumhaare hain tumhe hi yaad karke likhte hain hum,
yun na jalaa karo tum jalan ki jwaala me o sanam,
is'Hriday' ko bas tumhaare liye hi rakhenge hum,

haqeeqat me chaahe koi bhi h mere har pal me,
par har khwaab me bas tumhe dekha karte hain hum,
ye to bhoole se bhi mumkin nahi ki tumhe bhool jaun,
chalti har ek saans ke saath tumhe yaad karte hain hum,

kahaan bhaagne ki koshish bhi hum karte hain tumse dur,
hum chhaila hain aur bas tumse se pyaar karte hain hum,
kasak jo uth_ti hai 'Hriday' mein wo tumhaare liye hi hai,
chaahe tumse duur bhi rahen par sirf tumse hi pyaar karte hain hum...
Har geet poori hogi

paaya hai tujhe aaj to na khone dunga kabhi,
baahon me bharke tujhe apna bana lunga abhi,

saanson se teri saanson ko baandh lunga main,
is saanson se duur hoke na jaane dunga kabhi,

tu mujhe chaahti hai, mai tujhe chaahta hoon,
paane ki ek duje ko kaunsi kadi bachi hai abhi,

har geet ko 'Hriday' me basa ke rakhunga,
teri koi geet na adhuri reh paayegi kabhi....

Har mod pe main milunga

tumhaari har ek raah me tumhe main milunga,
jab kadam ladkhayenge tumhe main milunga,

khushiyon se bhar jaaye ye jeewan tumhaara,
tumhe har gum se dur rakhne ko main milunga,

tanha raho agar kabhi tum deewaaron ke bich,
deewaaron pe tasveer banke tumhe main milunga,

lehron ke sang behti raho tum kashti banke,
saahil banke tumhe thaamne ko main milunga,

pankh failaake panchhi banke udna chaaho to,
udne ke liye aasmaan banke tumhe main milunga,

thak jaao kabhi araam banke tumhe main milunga,
jeewaan safar ke har mod pe tumko main milunga....
Pyaar ki kashish

aajaao meri baahon me aake khud ko aaj bikhar jaane do,
chaahat me meri doobke khud ko thoda aur nikhar jaane do,

mere jism ki khushboo se khud ko aaj zaraa sa mehek jaane do,
baahon me mere aake khud ko aaj zaraa sa behek jaane do,

khol do tum julfon ko apne, unhe chehre pe mere faila do,
aaj tumhaare julfon me mujhko ek baar to ulajh jaane do,

hoth tumhaare madira ke pyaale, aaj zaraa unhe chakh lene do,
aankh tumhaare jheel ke jaise, mujhe unme tum doob jaane do,

pyaar tumhaara ban ke main aaya, mujhko hadd se guzar jaane do,
bhool jaao duniya ko aaj tum, mujhko pyaar me tum mar jaane do,

jhoom utho yun pyaar me mere ki aaj na khud ko sambhal paane do,
aag laga dun tan man me tumhare aur khud ko tum pighal jaane do...
Ek pyaari si wo ladki hai

hum pyaar ke nagme gaatein hain,
hum pyaar kisi se karte hain,
wo samjhe na meri mohabbat ko,
par hum pyaar usi se karte hain,

hum chalte hain un sadko pe,
jinpe wo aaya karte hain,
dekh ke unko raahon pe hum,
bas thandi aahen bharte hain,

hum deewane hain us ladki ke,
hum pyaar usi se karte hain,
tirchhi tirchhi nazron se hum,
bas usko dekha karte hain,

sochte hain kabhi keh de usse,
par kehne se hum darte hain,
aaj tak usse na keh paaye,
ki hum pyaar usi se karte hain,

panghat pe paani bharti hai wo,
hum chhat se dekha karte hain,
dur se usko dekh ke hum,
kabhi jeete hain, kabhi marte hain,

ek pyaari si wo ladki hai,
hum khwaabon me dekha karte hain,
aankh meri jab khulti hai,
hum usko dhunda karte hain....

Ishq asaan nahi

ishq itna aasaan nahi jitna hum samajhte hain use,
aansuon ka samundar hota hai, kaaton ki raah hoti hai,

ishq usi khushnasib ka poora ho paata hai is jahaan mein,
jise khud pe khud se badh ke aetbaar aur jeet ki chaah hoti hai,

pukaarne ke liye naam mehboob ka awaaz ki jarurat nahi hoti,
ye awaaz to khamoshi se pahuchti hai bas sunne ki chaah hoti hai,

maangte raho khuda se apne mehboob ko har baar, wo sunega jarur,
poori der se karta hai wo duwaayein par har pal humpe nigaah hoti hai....
Nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hai

aadat thi meri kisi ke ankhon me doob jaane ki,
aadat thi meri kisi ki baaton me kho jane ki,
kuch is tarah se kharab ki thi maine apni aadatein,
ki kehne lage log ki kahin tujhe pyaar to nahi,
na ji na, sach kehta hoon, ab main pyaar nahi karta,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai,

khoya khoya rehta tha har pal kisi ki yaadon me,
tanhaayi me kabhi khud se baatein kiya karta tha main,
poochha karte the mujhe ki bata na kya hua tujhe,
aur tab bas kuch bahaane bana liya karta tha main,
nahi samajhta tha main ki wo kya ho raha tha mujhe,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai,

kisi se na milo to kuch khaane ka mann nahi karta tha,
chehra na dekho kisi ka to aankhon me neend nahi aati thi,
takra jaata tha sadak pe chalte chalte logon se,
kehte the log ki kahin tu paagal to nahi hai,
na ji na, ye mujhe maaloom na tha ki aisa kyun hota hai,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai,

aadaat thi meri ki dosti ko main pyaar samajhta tha,
kisi se milke use main hamesha ke liye apna maan chuka tha,
maloom na tha ki jise aap chaho jaruri nahi wo bhi chaahe aapko,
main kisi ko apna jeewaan bhar ka saathi bana baitha tha,
par ab samajh aaya ki wo pyaar nahi kuch aur tha,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai,

ab koi hai mere kareeb, mere bahut kareeb hai wo,
mujhe apni zindagi apna sab kuch samajhti hai wo,
kaise maan lun ki jo ab hai use mujhse wo pyaar hai,
main jisa karta tha kisi se kuch kuch waisa karti hai wo,
na ji na, sach kehta hoon, ab main pyaar nahi karta,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai...
Laut aao tum

tumhaari aadaon ke to hum deewaane hain,
tumhaari aankhon ke aaashiq puraane hain,
ye to ek bahaana hai tumhe kareeb laane ka,
warna hum to tumhaare liye koi anjaane hain,

jab tak kareeb the tum jaan na paaye humko,
hum kal bhi tumhaare they aur aaj bhi tumhaare hain,
laut aao tum ek baad daud ke meri baahon me,
kabse bichhaayein aankhen hum raahon pe tumhaare hain...

Hamaari tadap

pyaar itna karte hain tumse ki tumhe
kisi aur ke sang dekh hum reh nahi paate,
kehna to chaahte hain tumhe ki aag kitni lagti hai
par tumhaare baare me sochkar tumse keh nahi paate,

kaise kehte tumse hum ye baat ki
humne tumhe kisi aur ki baahon me dekha tha,
kaise keh paate hum tumse ye sach ki
humne tumhe kisi aur ke saath khilkhilaate dekha tha,

tut ke reh gaye the hum us din tumko dekh kar
na seh paye hum wo chot jab tumhe dekha tha maine
us din se tumhaara wo chehra mujhe yaad aata hai
jab kisi gair ki baahon me tumhe dekha tha maine,

logon ki baatein na maine kal suni na hi aaj sunta hoon,
main apne dil ka maalik hoon bas apne dil ki sunta hoon,
shayad ye dil hi mujhe ye dhokha de gaya tha pyaar ka,
tumhaare jaane ke baad usse tumhaare bewafai ke kisse sunta hoon....
Aao na , aa jaao na

aao na, meri jaana, aa jaao na,
aake mere seene se lag jaao na...

kab se tadap rahi hain ye baahen meri,
aake tum mere baahon me simat jaao na,

kab se sooni padi hain ye raahen hamaari,
in raahon pe apni ek jhalak dikhla jaao na,

gunjti thi kabhi tunhaari hasi in vaadiyon me,
ek baar aake tumhaari wo hasi sunaa jaao na,

aao na, meri jaana, aa jaao na...

deewaane the hum tumhaari awaaz ke jaane kab se,
apni awaaz sunake is khaamoshi ko mita jaao na,

aahsiq the hum kabhi tumhaare pyaar ke geeton ke,
aake aaj mere kaano me koi geet gungunaa jaao na,

bheed me bhi khud ko akela paata hoon main ab to,
aake apne saath se meri tanhaayi ko mita jaao na,

aao na, meri jaana, aa jaao na...

kyun tadpaati ho tum apne pyaar ko duur rehkar,
agar pyaar nahi hai mujhse to mujhe bata jaao na,

ye achchi nahi aadat tumhaari mera dil dukhaane ki,
ek baar aake mere dard-e-dil pe haath fer jaao na,

ek tamanna hai dil me tumhaare haathon se marne ki,
aake mere kareeb tum ek bar mera qatl kar jaao na,

aao na, meri jaana, aa jaao na...

Ek aur saawan beet gaya

kahaa tha usne jaate jaate mere kaano me ki aayegi wo,
vaadaa kiya tha mujhse kabhi in veerano me ki aayegi wo,
kya hua agar sadiyon se uska intezar kar raha hoon main,
par aetbaar hai uspe mujhe ki ek din laut ke aayegi wo,
jeewan ke kuch pal beet gaye ek taraf ke pyaar mein,
kya hua jo ek aur saawan beet gaya uske intezaar mein,

raat ko sone se pehle uski chhavi aankhon me hoti hai,
subah ki pehli kiran se saath wo mere saamne hoti hai,
main ye nahi kehta ki wo basi hai mere har pal mein,
wo to meri dhadkano mein meri saanson mein hoti hai,
yakeen hai mujhe main dhokha na khaunga uske aetbaar mein,
kya hua jo ek aur saawan beet gaya uske intezaar mein,

tasveer uski har lamha seene se lagaaye rakhta hoon main,
muskaan uski apne hothon pe har pal sajaaye rakhta hoon main,
kya hua to aaj wo mere kareeb nahi, mere baahon me nahi,
uski yaadon ko apne geeton me sajaaye rakhta hoon main,
kya hua jo ek aur geet adhuri hi rahi uske intezaar mein,
kya hua jo ek aur saawan beet gaya uske intezaar mein....

Sunday, October 17, 2010

Aate aate tera naam ruk sa jaata hai

aate aate tera naam in hothon pe ruk jaata hai,
jab tera pyaar mujhe tere aur paas bulaata hai,

paas to waise bhi hum hain ek dusre ke dil ke,
par fir bhi tera chehra aake mujhe tadpaata hai,

dar jaata hoon main tera naam lene se mehfil me,
ab to tera naam mere hothon pe aake ruk jaata hai,

dar hai zamaane ka mujhe ki koi badnaam na kar de,
is dar se mera ye dil tujhse dur rehna chaahta hai,

rok nahi paata main khud ko call kar leta hoon tujhe,
par kuch dar hai tabhi ye "Hriday" chup ho jaata hai,

kehna chaahta hoon tujhse dheron baatein par fir bhi,
mera ye paagal dil tujhse kuch bhi keh nahi paata hai,

koi hai jiske khone ka darr hai mujhe bahut jyaada,
aur usi dar se mera ye dil khaamosh sa ho jaata hai,

maangna to hai bhagwaan se kuch par kya maangu usse,
ulajh ke apni soch me ye dil kuch maang nahi paata hai,

tera chehra jab bhi kabhi is dil ko nazar aata hai,
wo lamha mere "Hriday" ko bahut zyaada tadpaata hai,

aate aate tera naam in hothon pe ruk jaata hai,
jab tera pyaar mujhe tere aur paas bulaata hai...
Main mar ke bhi pyaar nibhaunga

na to dur ja paaya hoon na dur ja paunga,
tumhaari ek awaaz pe khincha chala aaunga,

chaaha hai tumhe duniya me har rishte se badhke,
main kaise tumhaara pyaar bhara dil tod paunga,

pyaar maine kiya nahi tha tumse wo to khud ba khud ho gaya tha,
ab main apne pyaar bhare dil ko tumse kaise juda kar paunga,

dur hoon tumse kuch pal ke liye par main laut aaunga,
kaise main tumse kiye huye waadon ko tod paunga,

na bahao tum apne aankhon se moti jaise aansoo,
main tumhaari chaahat ko apni chaahat se nibhaunga,

kaun kehta hai tumse ki tum mar jaao mohabbat me,
tumhare aisa kehne se main bhi to mar ji jaaunga,

tumhe aetbaar tha mujhpe kabhi to aaj kyun nahi hai,
kar lo aetbaar fir se ki main laut ke jarur aaunga,

soch bhi nahi sakta kisi aur k baare me tumnhaare siwa,
aisa karna pade agar kabhi to main ye duniya chhod jaunga,

yakeen karo tum mujhe main bas tumhaare geet gungunaunga,
kehta hai ye "Hriday" mera main marke bhi pyaar nibhaunga.....

Thursday, October 14, 2010

tum hamaare dil me rehna, hum dil se baat kar lenge,
tum hamaari aankhon me rehna, tumhe mehsoos kar lenge...
Main pehchaan lunga tumhe

baat ye sach hai ki baaton se kisi ko samjhaaya nahi jaata,
jhoote kasmon aur vaadon se pyaar kabhi nibhaaya nahi jaata,
agar yakeen hain tumhe meri mohabbat pe to maan lo ye baat,
tumhaare "Hriday" se har kisi pe apna dil lutaaya nahi jaata,

kai haseen chehre aaye hain meri zindagi me aur chale gaye,
kisi ne khela mere dil se to koi mere paison ko uda gaye,
jab na raha ye "Hriday" unka kisi bhi kaam ka unke liye,
wo sangdil badi bedardi se mujhse apna daaman chhuda gaye,

na socho ki main badal gaya hoon zamaane ki thokrein khaake,
koshish karunga ek baar fir dil-o-jaan se mohabbat nibhaake,
na ho aetbaar agar tumhe meri mohabbat pe, mere vaadon me,
chhod jaana tum bhi mujhe mere haathon se apna haath chhudake,

ek tadap si uth_ti rahegi "Hriday" me har dhadkan ke saath,
ki kyun na mil paaya humein pyaar aur kisi humdum ka saath,
har baar chot hi khaai hai maine bepanaah mohabbat kar ke bhi,
kyun chhod jaata hai har koi nibhaake kuch lamhon ka saath,

ye na socho ki main bhool jaunga tumhe tumhaari baaton ko,
dil me chhupaaake rakhunga ta_umra main tumhaari yaadon ko,
kya hua agar tumhaari aawaaz badal gayi, chehra badal gaya,
tumhe pehchaan lunga duur se mehsoos karke tumhaare saanson ko...
Kaise akele jaa paaoge tum

khaai hai kasam to duur kabhi na jaana humse tum,
meri dhadkan banke mere dil me hamesha rehna tum,
paaya hai tumhe kho ke maine ye saara jahaan aaj,
mere liye to hamesha mera jahaan banke rehna tum,

na keh sako zubaan se to aankhon se keh lena tum,
khud ko sabse chhupaake mere dil me reh lena tum,
jeete jee juda kar paayenge nahi tum ko khud se,
mar bhi main jaun agar to yaad banke reh lena tum,

isme koi shaq nahi hai ki bahut bahut bure ho tum,
par mere liye to is jahaan me sabse pyaare ho tum,
mumkin na hoga jeena mera tumse judaa hoke yahaan,
meri ragon me lahoo banke har lamha behte ho tum,

na to paas ho hamaare na hi duur humse ja paaoge tum,
humein har saans ke saath baar baar yaad aaoge tum,
baat karti ho tum is tarha apni arthi sajaane ki,
aise kaise ye duniya chhodeke akele jaa paaoge tum...
Hum hairaan bahut hain

tere har shaayari ke hum deewaane bahut hain,
padh ke teri har ghazal hum jhoomte bahut hain,

kuch to ek saa hai hamaari aadaton me, baaton me,
ki humein lagte hain ye ehsaas puraane bahut hain,

tu hi hai jo meri awaaz ko dil se mehssos karti hai,
warna hamaari awaaz ke jhoote deewaane bahut hain,

tere baare me sochta hoon, tujhpe hi main likhta hoon,
bin mie hi pyaar hai, soch ke hum hairaan bahut hain...
Kuch tadap si uth_ti hai tumhaare liye

kuch kuch asar tumhaari mohabbat ka meri aankhon me hai,
kuch kuch asar tumhaari chahat ka tumhaari baaton me hai,
tumse duur rehte hain par doobe yaadon me hote hain hum,
kuch kuch asar tumhaare ehsaason ka hamaari yaadon ka hai,
kuch paagal sa ho jaata hai 'Hriday' mera tumhaare liye,
kuch tadap si uth_ti hai 'Hriday' me mere tumhaare liye,

na samajh paaoge tum ki kitna tadapta hoon main aaj bhi,
na samajh paaoge tum ki kitna tanha hoon tum bin aaj bhi,
aati ho aur ek jhalak dikha ke waapas chali jaati ho,
tumse huye aadhe adhure mulaaqaaton se jalta hoon aaj bhi,
kuch paagal sa ho jaata hoon main tumse milke tumhaare liye,
kuch tadap si uth_ti hai 'Hriday' me mere tumhaare liye,

sochta main bhi hoon kabhi kabhi aane waale kal k liye,
na hoge tum paas mere bas yaadein hongi rulaane k liye,
na to tumse duur jaa paayenge na hi paas aa paayenge tab,
bas tab meri tanhaayi saath hogi mera gum bhulaane k liye,
kuch tadap uth_ta hoon main aaj bhi soch k us kal k liye,
kuch tadap si uth_ti hai 'Hriday' me mere tumhaare liye,

tumhaari aawaaz me main is tarha kho jaata hoon kabhi kabhi,
bhulake khud ko tumhaare baahon me so jaata hoon kabhi kabhi,
hoti nahi ho tum paas par main tumhe mesoos kar leta hoon,
kho ke tumhaari aashiqui me madhosh ho jata hoon kabhi kabhi,
kuch deewaana sa ho jaata hoon main aaj bhi tumhaare liye,
kuch tadap si uth_ti hai 'Hriday' me mere tumhaare liye,

na hogi tum kareeb kabhi to tumhe yaad kar lenge hum,
tumhaari yaadon me kho ke kuch pal tab muskura lenge hum,
jaroori nahi ki pyaar ke liye mehboob ka saath mil jaaye,
tumse duur rehke bhi tumhe apne paas mehsoos kar lenge hum,
soch ke tumhaare baare me muskuraa leta hoon tumhaare liye,
kuch tadap si uth_ti hai 'Hriday' me mere tumhaare liye,

na bhoola paaunga kabhi tumhe ye 'Hriday' kehta hai mera,
Kuch aisi tadap si uth_ti hai 'Hriday' me tumhaare liye...
Khaamoshi me tumhaari awaaz sun lenge

tumse rishta mera aankhon ka nahi dil ka hai,
aankhen band kar tumhe hum mehsoos kar lenge,
kya hua agar kabhi tumhaara chehra badal gaya,
tumhe hum tumhaari baaton se pehchaan lenge,

na kabhi poochha na tumhaara naam jaante hain,
hum to tumhe tumhaari aahat se pehchaan lenge,
khone nahi denge tumhe is bheed me duniya ke,
hum tumhe apne dil ki dhadkano me chhupa lenge,

kya hua agar hum ulajh gaye apni zindagi me,
tumhaare liye sapno me hum waqt nikaal lenge,
yaad agar aa gayi kabhi tumhaari tanhaayi me,
to hum aankhen band kar tumse baat kar lenge,

chaahte hain tumhe tab se jab tumhe dekha na tha,
apni chaahat ko hum chaahat se pehchaan lenge,
Kasak tumhaari hamaare Hriday me is qadar hai ki,
khaamoshi me bhi tumhaari awaaz ko hum sun lenge...
Wo tumhaare paas laut aayega

wo tumse juda hoke juda na reh paayega,
kuch duur chalke wo waapas laut aayega,

na karo khud ko aansuon se tum geela,
wo tumhaara hai tumse dur na jaa paayega,

wo rutha nahi hai tumse bas pareshaan hai,
waqt ke rehte hi wo sambhal jaayega,

khuda pe aetbaar karo tum mere dost,
khuda ka karam tumhe nazar aa jaayega,

na hongi kabhi aankhen nam na koi dard hoga,
tumhaara mehboob bas kuch pal me muskuraayega,

wo tumhe chaahta hai, tumhe chaahta jaayega,
kuch duur chalke tumhare paas laut aayega....
Bas tere geet gungunaunga

ye duuri kuch pal ki hai main laut aaunga,
tujhse bichhad ke main ab kahaan jaunga,
tujhse hi to jodi hai zindagi ki har kadi,
kuch duur chalke main tere liye thahar jaunga,

na ho udaas ki main tujhe chhod ke jaunga,
tujhse duur ho ke bhi main tujhe yaad aaunga,
nazar na aaye agar mera chehra kahin to,
aankhen band karna, main tujhe nazar aa jaunga,

main tera hoon bas tera hi banke reh jaunga,
jaana agar pade tujhse dur to duniya chhod jaunga,
chaaha hai tujhe maine chaahta jaaunga,
main hamesha bas tere hi geet gungunaunga....

Tuesday, October 12, 2010

Kuch to hain inme khaas

kuch to hai aaj hawaon me khaas,
ki har roz aisa nahi hota inme,
paagal si jhoom rahi hain ye hawaayen,
aur sang inke madhosh ho raha hoon main,

kuch to hai aaj har awaaz me,
ki har roz aisa nahi hota inme,
jaane kiske dhun gunguna rahi hain ye,
aur sang inke khota chala ja raha hoon main,

besudh si ye hawaayen kuch yun beh rahi hain,
asar inka kuch jaadu sa kar rahi hai,
ki har roz aisa nahi hota inme,
kuch to hai aaj inme khaas.,

kya ye kisi ke kareeb aane ka ehsaas hai,
ya kisi ko bhool jaane ka,
kya ye pyaar me kho jaane ka ehsaas hai ,
ya ki khud ko samajh jaane ka,

aaj har disha me kuch khaas sa hai,
ki har roz aisa nahi hota inme,
dekho jidhar bhi sab apna sa lag raha hai,
ya sach khun to main hi paagal ho raha hoon,

haan sach, kuch to hai aaj inme khaas,
ki har roz aisa nahi hota inme,
han kuch to hai aisa khaas,
ki har roz aisa nahi hota inme....

kuch khoya khoya sa hoon main aaj,
kuch soya soya sa hoon main aaj,
ki kuch to hai aaj khaas mujhme,
ki har roz aisa nahi hota mujhme,

sukhe me bhi baarish mehsoos kar raha hoon,
dhoop me bhi chhaon mehsooss kar raha hoon,
ki mausam bhi sach me kuch badla badla sa hai,
ki har roz aisa nahi hota inme,

ji chaahta hai kho jaun main is mausam me aaj,
ki kisi ke khoobsurat khayalon me kho jaaun,
ki aisa nahi sochta main har roz,
kuch to hai khas aaaj fizaon me,

haan sach, kuch to hai aaj inme khaas,
ki har roz aisa nahi hota inme,
han kuch to hai aisa khaas,
ki har roz aisa nahi hota inme....
Bas tumko yaad karta hoon jaana

ye pyaar nahi paagalpan hai jaana,
ye tumse milke aaj hai maine jaana,
tanha khud se baatein karta hoon main,
aur akele hi muskuraata hoon jaana,

hoti nahi ho tum paas mere par,
paas tumhe mehsoos karta hoon jaana,
khoke tumhaari aashiqui me main,
bas tumko yaad karta hoon jaana...
Main koshish kar raha hoon

aaj main tum me khone ki koshish kar raha hoon,
pyaar me tumhaara hone ki koshish kar raha hoon,

main aaj khud ko badalne ki koshish kar raha hoon,
jaisa main tha waise hone ki koshish kar raha hoon,

aaj mai fir se kisi ko chaahne ki koshish kar raha hoon,
kisi ko mohabbat se apna banaane ki koshish kar raha hoon,

maaloom hai mujhe ki main galat hoon par sach hai ye bhi,
apne har galti ko chhod tumhe paane ki koshish kar raha hoon,

main tumhaare aankhon me gum ho jaane ki koshish kar raha hoon,
tumhaara hoke main ab duniya bhulaane ki koshish kar raha hoon,

haan sach, aaj main fir se insaan banne ki koshish kar raha hoon,
main jaisa tha kabhi waisa banne ki fir ek koshish kar raha hoon....
Behek jaayen hum

kuch nasha sa hai teri aankhon me,
ki bin piye hi behek jaayen hum,
dekh len tera chehra hum ek baar,
to bas wahin pe theher jaayen hum,

hothon ki laali ka kya kehna tere,
ki usi rang me aaj rang jaayen hum,
chamakte hothon me kuch narmi si hai,
ki un hothon ko aaj chhoo jaayen hum,

julfon ke baadal se paani basra se,
usi baarish me aaj bheeg jaayen hum,
kho ke aaj teri aashiqui mein o jana,
ishq ke samundar me doob jaayen hum...
Aaj fir pyaar aaya mujhe

uffff kisi se aaj yun pyaar se bulaya mujhe,
ki mera wo pehla pyaar fir yaad aaya mujhe,
wo aankhon ki shaitaaniyaan kya batayen hum,
kisi ki aankhon ne ek baar fir tadpaaya mujhe,

kyun kisi ke chehre me koi aur nazar aata hai,
kyun kisi ke dur chale jaane se wo yaad aata hai,
mohabbat zanzeer nahi jo baandh ke rakh de kisi ko,
aaj us chehre ko dekh ye sach samajh aaya mujhe,

wo aankhen mujhe apne paas bula rahi hain firse,
ye honth un geeton ko gunguna rahi hai aaj firse,
sach is mohabbat ka ehsaas bhi ajeeb sa hota hai,
dekho na kyun kisi ajnabi pe pyaar aaya hai mujhe,

dekha uska chehra wo aankhon me bas gaya hai jaise,
kuch pal jo thehra to ye waqt tham gaya hai jaise,
na aage badh paaya hoon na hi peechhe hat paaya hoon,
ufff kisi ki nashili aankhon ne hai aaj behkaaya mujhe,

mohabbt kya hai, kyun hota hai, na samajh aaya mujhe,
kisi se duur hoke bhi wo kyun paas nazar aaya mujhe,
kisi ne apne sharbati aankhon se yun bulaaya mujhe,
kyun un aankhon pe ek baar fir pyaar aaya mujhe....
Wo mujhe bhulaata raha

main dil-o-jaan se jise chaahta raha,
wo har ghadi mujhe bas bhulaata raha,

subah shaam jisko main bulaata raha,
wo mere dil se bahut dur jaata raha,

main uske geeton ko gungunata raha,
wo mere har ehsaas ko mitaata raha...
Wo mohabbat karti hai mujhse

na wo dur ho paai hai mujhse, na duur jaa paegi mujhse,
baahon me kisi ke rahegi tab bhi mohabbat karegi mujhse,

aaj kisi aur ki duniya saja rahi hogi apni mohabbat se,
par bhooli nahi hogi kabhi mohabbat karti thi mujhse,

asaan nahi hota kisi ki yaad ko mita dena zindagi se,
haqeeqat me nahi par khwaabon me baatein karti hai mujhse,

"dur hoon par tumhaare baahon ki garmi mehsoos karti hoon",
aake har raat mere khwaabon me wo ye kehti hai mujhse,

kya hua jo zamaane k bandishon ke kaaran meri na ho saki,
duur hai meelon par aaj bhi wo mohabbat karti hai mujhse...
Hum apne hothon se gaa lenge

tum khud ko aag kahoge to hum usse khud ko jalaa lenge,
tum khud ko paani kahoge to hum apni pyaas bujha lenge,

tum khud ko saagar kahoge to hum usme lehren utha denge,
tum khud ko hawa kahoge to hum koi tofaan hi laa denge,

tum khud ko khwaab kahoge to hum soke raat guzaarenge,
tum khud ko neend kahoge to tumhe aankhon me chhupa lenge,

tum khud ko phool kahoge to tumse khushboo hi le lenge,
tum khud ko raahi kahoge to kuch dur saath chal lenge,

tum khud ko shabd kahoge to tumse hum ghazal bana lenge,
tum khud ko geet kahoge to hum apne hothon se gaa lenge....
Wo mohabbat nahi

mohabbat wo ehsaas hai jiske liye milna jaruri nahi,
wo chahti hai mujhe is baat ki gawaahi jaruri nahi,

chahte ho kisi ko chaaho use is kadar mere dost,
dekhe zamaana bhi to kahe ki aisi mohabbat dekhi nahi,

wo khoobsurat sa ehsaas har lumha mujhe jeena sikhaata hai,
ye to rishta rooh ka hai iske liye paas aana jaruri nahi,

ye na kaho zamaane waalo ki usne koi zulm kiya hai mujhpe,
ye to uski koi majboori thi warna kehlaati wo bewafaa nahi,

chaaha tha maine us har khoobsurat cheez se badhke is jahaan me,
main usko na samajh paaya to jo tha mere dil me wo mohabbat nahi...
Mera paagalpan

aadat hai humein fisal jaane ki,
haseeno ko dekh ladkhadaane ki,
tumko dekha to dekhte hi reh gaye,
aadat pad gayi tumhe dekhte jaane ki,

husn ka jaadoo hi aisa hota hai,
ki usme har dil behek jaata hai,
tumhaare aankhon k baare me kya kahun,
dekhte hi hamara dil dhadak jaata hai,

dil to paagal hai na sambhal paayega,
dekh ke har baar tumhe machal jaayega,
yun na tadpaao mere is dil to tum,
ye paagalpan me jaane kya kar jaayega,

kho jaogi tum mere pyaar me ye maloom na tha,
basa loge apne dil me mujhe maloom na tha,
chaand se to mohabbat har koi karta hai,
par mera chaand ban jaoge me maloom na tha...
Kuch log yun mil jaate hain

kuch log is safar me zindagi ke yun mil jaate hain,
na samajh paate hain hum wo itne kareeb aa jaate hain,
na duuri ka pata chalta hai, na waqt ka kuch khayaal,
jinke khayaal se hi hothon pe muskaan saj jaate hain,

thode se waqt me hi wo apne se lagne lag jaate hain,
us rishte ka naam nahi hota na kisi ko bata paate hain,
kehne ko to dost hain par usse badhke samajh aate hain,
kuch log zindagi ke safar me bas yunhi mil jaate hain....
Bas uska naam gungunaunga

mohabbat ko apne dil se kaise dur kar paunga,
main insaan se paththar kaise ban paaunga,

kisi bachche ko rota dekh mere aansoo nikal aate hain,
main apne is kamzor dil ko kaise sambhaal paaunga,

aadat nahi hai mujhe har baar tut ke jud jaane ki,
ab in kaanch ke tukdon ko main kaise jod paaunga,

aaj meri mohabbat meri nahi hai mere dost,
par ek din main uske dil me bas jaaunga,

apni mohabbat se main use mohabbat karna sikhaunga,
aur na kar saka to bas mohabbat me bikhar jaunga,

ek roz tadap ke main ye duniya chhod chala jaunga,
mere dost jaate huye bhi bas uska naam gungunaunga....
Tujhe zindagi banana chahta hoon

maloom hai mujhe tu mujhse mohabbat karti hai,
par main tere hothon se ye sunna chahta hoon,

chaand ko tu ne aankhon me chhupa rakha hai,
chaandni se main apna ghar sajana chahta hoon,

har gulaab se mehek tere chaahat ki aati hai,
us mehek se apni zindagi mehkaana chahta hoon,

tujhe apne khayalon me barson se saja rakha hai,
main ab bas tujhe haqeeqat me paana chahta hoon,

dil ki dhadkan me to tujhe kabse basaa rakha hai,
ab to main tujhe apni zindagi banaana chahta hoon,

maang teri bharke tujhe dulhan banana chaahta hoon,
is duniya se churaake tujhe apna banaana chahta hoon...
Kal kisi ka chehra yaad aaya

kal shaam raah pe chalte chalte mujhe ek khayaal aaya,
kisi ko kareeb se guzarte dekh kisi ka chehra yaad aaya,

jinke har khayaal ko hum mita chuke the apne dil se,
fir se ek baar mujhe wo masoom sa chehra nazar aaya,

wo chehra jisse mujhe mohabbat thi, jo meri zindagi thi,
us chehre ko dekh dil me mohabbat ka sailaab umad aaya,

jiski har nishaani mita chuke the hum bhulaake uski yaad,
shaam us chehre ko dekh yaadon ka toofaan mere ghar aaya,

ye chehra wo chehra nahi tha jo kabhi meri hua karti thi,
jaane kyun us ko dekh mujhe mere sanam ka chehra nazar aaya,

shaam raah pe chalte huye kisi ka chehra kahin nazar aaya,
kyun mujhe aisa laga ki mera mehboob fir se laut kar aaya.....
Maine har lamhe ko sajaaya hai

tere hi naam ko maine hothon pe sajaaya hai,
tere hi geeton ko maine apna samajh gaaya hai,

tujhse ji bandhi hai jeewan ki har dor meri,
apne dil ki dhadkan ko bas tujhse hi lagaya hai,

haqeeqat me tu milti nahi tujhe khwaabon me sajaaya hai,
takiye ko tera roop samajh maine seene se lagaaya hai,

paake tujhe lagta hai ki sab kuch maine paaya hai,
tere hi ehsaason se maine har lamhe ko sajaaya hai...
Kasam maine khai hai

tujhe tujhse chura le jaane ki kasam maine khai hai,
duniya ko khushiyon se sajaane ki kasam maine khai hai,

meri duniya tujhse hi shuru, tujhpe hi khatam hai pyaari,
teri duniya ko pyaar se sajaane ki kasam maine khai hai,

wo chaand agar upar hai to tu chaand ki parchhai hai,
tujhe apna bana lene ki har kasam maine khai hai,

tu jeet hai, umeed hai, kaano me bajti shehnaai hai,
tujhe dulhan bana ke laane ki kasam maine khai hai...
adhure se milan ka ek adhura sa ehsaas tha wo,
khwaab me aata tha jo lagta bahut khaas tha wo,

pehle pehle pyaar ka pehla pehla ehsaas tha wo,
milon dur hote huye bhi lagta bahut paas tha wo...
Tujhe apna bana jayenge

din wo dur nahi jab wo paas aa jaayenge,
tere kareeb aake tujhe apna bana jaayenge,

chaandni raat hogi, sitaaron ki mehfil hogi,
jis roz aaake wo tujhe apne gale lagaayenge,

zindagi ki kashti ko tere saahil ha intezaar hai,
wo bahut jald aake teri kashti ko paar lagaayenge,

na ho naummeed tu is zindagi ke sangraam me,
jeet teri hi hogi jab wo kareeb aa jaayenge,

teri mohabbat ko ek din wo apni mohabbat banaayenge,
teri is dard bhari zindagi ko khushiyo se sajaayenge...
Ek baar meri tafar to dekho

dil tuta hai kai baar tumhaara ye maine maana,
par ek baar pyaar se meri taraf to dekho jaana,

thokrein khai hain tumne har baar ye maine maana,
par ek baar pyaar se meri taraf to dekho jaana,

chahunga tumhe main khud se badh ke o meri jaana,
par ek baar pyaar se meri taraf to dekho jaana,

na hoga koi dard tumhe na hogi koi shikayat kabhi,
thaamunga haath jo tumhaara na main chhodunga kabhi,

kya shikayat hai tumko mujhse ki rooth jaati ho har baar,
kya khata hui hai mujhse jo duur mujhse jaati ho har baar,

aa jaao paas mere aaj tum o meri jaana,
ek baar pyaar se meri taraf to dekho jaana,

chahunga tumhe main khud se badh ke o meri jaana,
par ek baar pyaar se meri taraf to dekho jaana...

Friday, October 8, 2010

Paagalpan

pagalpan me aaj kuch ho na jaaye,
dil mera kahin aaj kho na jaaye,
yun na saj ke aaya karo tum,
ye dil mera tumpe mar naa jaaye,

ankhon pe kaale kaale kaajal,
dil bhi mera kuch hai paagal,
aaj hawaon me udd rahaa hai,
tumhaare pyaar ka wo aanchal,

phool, khushboo, chaand, taare,
behke behke se hain nazaare,
dekh tumko main ladkhadaayaa,
lag rahe ho tum itne pyaare,

kaale kaale tere mast naina,
lag rahe hain jaise raina,
dhadkanon ko mere tez karke,
dil ka mere loote hai chaina,

shaam ho tum, subah tum ho,
din me tum ho, ho nisha me,
tum ho mere dil ki dhadkan,
tum hi tum ho har disha me,

hothon ko tumhaare hum chum jaayen,
khushiyon me aaj hum jhoom jaayen,
saanson me mehek hai pyaar ki aaj,
aur us mehek se hum mehek jaayen,

baahon me bhar ke tumhe pyaar kar le,
mohabbat ka hum izhaar kar le,
tum ho meri , hoon main tumhaara,
ek duje ko hum sweekaar kar le,

chaaha tumhe hai khud se zyaada,
pooja tumhe hai rab se zyaada,
maanga nahi hai kuch bhi maine,
maanga tumhe hai sabse zyaada,

main hoon paagal, tum ho paagal,
aur ye samaa hai paagal,
aao tumhe baahon me bharke,
kar dun tumhe thoda aur paagal...
Pyaar me tum humein mar jaane do

humein tumhaare aankhon ke samundar me doob jaane do,
baahon me hamaare aake khud ko tum bikhar jaane do,

dekhke hamaare pyaar ki kashish chaand ko sharmaane do,
apne husn ki chaandni se tum hume aaj chamak jaane do,

julfon ko is tarha kholo ki din me raat ho jaane do,
apne julfon ke baadal me tum humein aaj bheeg jaane do,

kankanpaate hothon ki narmi humein mehsoos karne do,
gulaabi hothon ki mehek se humein mehek jaane do,

jism ki narmi tumhaare, baahon ki garme tumhaare,
aaj ki raat humein tum mohabbat me behek jaane do,

ji bharke tum humein pyaar karke aaj jal jaane do,
aake baahon me hamaare khud ko aaj pighal jaane do,

ji len zindagi aaj ki raat, kya pata kal ho na ho,
aaj ki raat pyaar me tum humein bas mar jaane do...
Khud ko rok liya

chaaha bahut tha humne ki mudke dekhe tumhe hum,
kisi anjaane se darr ke kaaran khud ko rok liya,

laut ke aanaa chaahte the tumhaare paas us din hum,
par tumhaare baare me sochke khud ko rok liya,

mushkil to humein bhi hui thi dur jaane me tumse,
par tumhaare khushiyon ka sochke khud ko rok liya,

tumhaari khaamoshi ko bhi mehsoos kar lete hain hum,
jaanke bhi tumhaari haalat us din khud ko rok liya,

mumkin nahi hai hamaara milan ye jaante hain hum,
us anjaam me baare me sochke khud ko rok liya,

ye na kaho ki humne tumhe jeete ji maut diya hai,
humne to tumhaari zindagi ki khaatir khud ko rok liya...
Us din

baithe the mandir ki sidhi pe hum us din,
thama tha haath tumhaaara maine jis din,

leke tumhaara haath apne haathon me jaana,
maine chuma tha tumhaara wo haath jis din,

yun jhatke se chhin liya tha apna haath tumne,
fir sharmaake dekha tha apne haath ko tumne,

sharm se aankhen jhukaaye jab baithi thi tum,
aakhon me khoob saara pyaar dekha us din...



Wednesday, October 6, 2010

Ye aashiq tera

na yun na tadpao khud ki dard mujhe hota hai,
tumhaari har tadap pe ye dil mera hi rota hai,

jaanta hoon main tumhaara koi kasoor na tha,
jo hua hai wo to bas khuda ko hi manzoor tha,

aake itne kareeb mere ho gayi thi dur mujhse,
isme kya khata meri jo ki thi mohabbat tujhse,

chaaha tere dil ko maine, tujhse mujhe pyaar tha,
ban jaayegi ek din tu meri ye mujhko aetbaar tha,

ho na paai tu meri na koi khwaab poora ho saka,
reh gaya tanha akela chaah ke bhi na main ro saka,

dekh mere aansoo kahin tadap na uthe dil tera,
isiliye muskuraata hai har ghum me ye aashiq tera...

Ehsaas pehli mulaquaat ka

wo ehsaaas hi kuch alag tha pehli mohabbat ka,
wo ehsaas hi kuch alag tha pehli mulaaqaat ka,

chhoone ko bas haath tha, hothon se main duur tha,
par nazron se tumko cheda par kuch to majboor tha,

geele gulaabi hothon se chaha tha kuch kehna mujhe,
par kho ke meri aankhon me bas tum dekhti rahi mujhe,

wo pehli mulaaqaat apni, wo pehli pehli baat apni,
chaand ki chaandni se roshan wo pehli pehli raat apni,

zamaane ka humein darr bhi tha, pyaar ka awsar bhi tha,
rok liya khud ko tumne, main bhi kuch to majboor tha,

haath me tere wo gulaab deke, chhua tha tere haath ko,
aaj bhi khush hota hoon main soch us pehli mulaqaat ko,

aankhen teri jhukin si thi, saansen teri ruki si thi,
pehle pehle pyaar ki kuch bheeni bheeni mehek si thi,

sochta hoon main aaj bhi apne us pehli mulaaquat ko,
yaad karke khush hota hoon haathon me tere us haath ko...
Kuch to bhi

rokna chaahta hoon main in kadmo ko
par main inhe rok nahi paata hoon,

koshish karke bhi bahut main ab,
inse bas haar ke reh jaata hoon,

waqt ka khel tha wo jisne humein milaaya tha,
waqt ka hi khel hai ki ab tanhaayi me rota hoon,

chaahta nahi hoon khona tumhe, umra bhar tum saath raho,
kuch aise khayaalon me khoke bahut gumsum main hota hoon,

tum ho meri, main tumhaara, saath ye lagta hai pyaara,
par apni judaai ke bojh ko apne seene me main dhota hoon,

rok tumhe lunga main par zamaane se darta bhi hoon main,
kyun aise bandhan hai yahaan jinhe soch ke pareshaan hota hoon...
Jaadu mohabbat ka

kehna to bahut hai magar keh nahi paate hain,
tujhse juda ho ke ek pal reh nahi paate hain,

kho ke teri aashiqui me bhool sab hum jaate hain,
kho ke teri aankhon me bas doob hi hum jaate hain,

pagal se dil ko hum har roz ye samjhaate hain,
paana tujhe hai mushkil ye usko batlaate hain,

kuch jaadu tere husn ka hai,
kuch jaadu teri baaton ka hai,

khwaabon me tujhe dekhne ko chupchaap hum so jaate hain,
meri jaana teri mohabbat me hum madhosh se ho jaate hain...
Dil kyun lagaaya humne

kitna mushkil hota hai ye dard apno se dur jaane ka,
kuch palon ke liye tujhse dur rehke hai jaana humne,

paake kisi ki bepanaah mohabbat gar khona pade usko,
aaj us jaanlewa dard ke ehsaas ko hai pehchaana humne,

maaloom hai tu meri nahi thi, na meri ho paayegi kabhi,
jaanke bhi is sach ko kabhi chaaha na samajhna humne,

jab aayi ghadi judaai ki to tadap rahe hain dono k dil,
keh na sake kisi se na kisi ko sunaya ye fasaana humne,

kuch dino ka saath hai bus fir dur bahut jaana hai tumse,
tumhi kaho jaanke sab ek duje se dil kyun lagaaya humne...????
Tujhe chaahta rahunga

teri har mushkil me yunhi main tere saath rahunga,
tujhe na dikhe manzil agar to main raah dikhaunga,

andheri ho agar koi raah agar na dikhe koi ummeed agar,
teri har chaahat ko main mohabbat se poora kar dunga,

dil se tere dhadkanon ke saath main har pal rahunga,
karta hoon tujhse mohabbat ye main har baar kahunga,

tujhse hi judi meri saanse hain tujhse hi mera sab kuch,
na mil paaya agar saath tera to main khud ko hi mita dunga,

chaaha hai tujhe maine tujhe har pal chaahta rahunga,
tu hi meri zindagi hai main ye sabse kahunga,.....
Pyaar hum tumse hi karte hain

meri jaana, na karo khud pe tum zulm itna,
hum tumhe chot pahuchaane se darte hain,

tumhaare itne kareeb aa chuke hain hum ab,
tumse duur jaane ke khayaal se bhi darte hain,

maloom hai humein hai mumkin nahi hamaara saath,
tumhaara ye saath chhoot jaane se darte hain,

kehna chaahte hai tumse kuch khaas magar,
tumhaara dil toot jaane se darte hain,

ye jaane kaisa ehsaas hai ki itne kareeb hai hum,
yakeen tum na karo par pyaar hum tumse hi karte hain...
Zindagi se pyaar karte hain

hum to aashiq hain tumhaare, aashiqi jeene ke liye karte hain,
tumhaare liye pagal hain hum aur tumhaari adaaon pe marte hain,

na mile tumse kuch pal ke liye to hum to aahen bharte hain,
hum wo pyaase hain jo tumhaari aankhon se pyaar karte hain,

chhooke tumhaare hothon ko hum kamal ke jaise khil jaate hain,
kaali ghani julfon se tumhaare hum subha shaam khela karte hain,

aake kareeb tumhaare tumhe hum apne seene se lagaaya karte hain,
ishaaron ishaaron me tumse dil ki har baat bataaya karte hain,

kabhi lipat ke chunri me tumhaare hum yun madhosh hua karte hain,
ki khoke mohabbat me tumhaare kabhi hum khaamosh hua karte hain,

na karo marne ki baat tum, hum to maut se saanse churaaya karte hain,
jeete hain har lamha hum muskuraake aur zindagi se pyaar karte hain....
Kaise bhool paunga tujhe

kaise bhool sakta hoon main tujhe,
tujhe maine apne dil me basaaya hai,

thama hai tera haath maine aaj,
tujhe apne seene se lagaaya hai,

tujhe koi madira ka pyaala samajh,
maine apne hothon se lagaaya hai,

dulhan banaa ke laaya hoon main tujhe,
zindagi tujhe apna maine banaaya hai...
Chaahat si ban gayi hai

tumhaari baatein mere jeene ki wajah ban gayi hai,
tumhaari mohabbat hi ab meri zindagi ban gayi hai,

andhere jeewan me mere ab tumhaara saath hai,
tumhaara ehsaas jaise roshni si ban gayi hai,

socha na tha itni dur tak saath de paogi mera,
ab tumhaari jeet hi meri manzil ban gayi hai,

dekha kabhi ek khwaab tha ki tum ho meri baahon me,
us khwaab ke poora hone ki chaahat si ban gayi hai,

jaane kaisa dikhta hoon, jaane kaisa lagta hoon,
khud ko aaine me dekhne ki aadat si ban gayi hai,

subah se lekar shaam tak hoon tumhe main yaad karta,
ab tumhe chaahne ki hamaari ek chaahat si ban gayi hai...
Sukha gulaab

haan aksar ye hota hai
kitaab ke panno me
ek sukha gulaab milta hai
aur dil kisi ki yaad me
tab machalta hai

wo gulaab jo nishaani thi
kisi ke pyaar ki
wo gulaab jo kahaani thi
kisi ke aetbaar ki
ab tanha un panno me
aahen bhara karta hai

aansoo ke do boond tab
aankhon se nikal aate hain
un dino ko yaad karke
wo aansoo beh jaate hain
wo gulaab aksar meri tanhaai me
mujhse hi baatein karta hai

kabhi kabhi us gulaab ko dekh
chehra mera khil jaata hai
hasi lamho ko yaad karke
dil mera machal jaaata hai
baarish ki har boon ke sang
usko ye dil yaad karta hai

har shaam uski yaad me
wo gulaab tadapta hai
kal tak jo mehekta tha
aaj kitaab ke panno me
sukha chup sa rehta hai...
Kahaani ek ladki ki

ye kahaani na meri hai na mere kisi apne ki hai,
ye to kisi ka fasaana hai jo suni uski zubaani hai,
ye kahaani us ladki ki hai jo papa ki rani hai,
ye kahaani us ladki se suni uski zindagaani hai,

wo ladki jiske paida hote hi kahaa gaya ye lakshmi hai,
wo ladki jise itna laad diya gaya ki wo kho gayi usme,
wo ladki jise pyaar to mila par maa papa ka nahi,
baai ne, aaya ne itna pyaar diya ki wo kho gayi usme,

vyast rahe hamesha uske maa papa kaam me, paise me,
to bhala kaise wo pyaar mehsoos kar paati aise me,
usko to laga ki baai hi sab kuch hai, uski zindagi hai,
aur dheere dheere kho diya ma baap ne beti ko paise me,

roti hai wo beti aaj bhi paane ko maa papa ka pyaar,
par khush hai wo sasuraal me paake naye ghar ka pyaar,
ek ma hai uski, ek papa hai uske, ek ghar hai apna sa,
na mil paaya jo apno se ab mil paya hai use waisa pyaar,

kya betiyaan isliye hoti hai ki unhe ladko se alag samjha jaaye,
kya betiyaan isiliye hoti hai ki unhe paise ke liye chhoda jaaye,
wo bhi usi maa ke sharir ka hi hissa hai, jisse wo aayi hai,
kya sahi hai is tarha apne hi sharir ke tukre ko chhoda jaaye?????????
Kya ye sach me mohabbat hai

tumhaare hone se hi jeene ki ek aas jagi hai,
fir se mujhe zindagi khoobsurat lagne lagi hai,

doob chuki thi zindagi meri ghum ke samundar me,
fir mujhe khushiyon ki kashti nazar aane lagi hai,

tumhaare saath guzaare ye kuch din zindagi ke,
fir se khud ko chaahne ki aadat padne lagi hai,

aaine me khud ko dekh muskuraata rehta hoon akele,
jaane kyun fir se dil me ek ummeed jagne lagi hai,

kaise mumkin hai ki chot khaake bhi na badle koi,
kyun fir se mohabbat karne ki aarzoo jagne lagi hai,

jaane kya jaadu hai tumhaari aawaaz me, baaton me,
ki sunte hi tumhe dhadkano me tezi aane lagi hai,

socho kitne duur hain hum tumse fir bhi kitne paas hain,
ye kaisa ehsaas hai jo humein itne kareeb laane lagi hai,

kya ye sach me mohabbat hai, ya doobti kashti ka sahaara,
jo humein sahaara de ke toofaan se bachaane lagi hai...
Jab bhi tum paas aate ho

haan ye sach hai,
kuch aisa ho jaata hai,
dil kahin kho jaata hai,
hosh kahin kho jaata hai,
jab bhi tum paas aate ho,

dil tadap ke reh jaata hai,
aur paas tumhe bulaata hai,
tum me dooba chalaa jata hai,
jab bhi tum paas aate ho,

dil ye gudgudaata hai,
honth gungunaata hai,
dil machal sa jata hai,
jab bhi tum paas aate ho,

dil humein samjhaata hai,
pyaar se bulaata hai,
tum hamesha meri ho,
ye humein bataata hai,
jab bhi tum paas aate ho,

haan jab bhi tum paas aate ho,
humein humse churaake le jaate ho....
Muskuraane ki koshish karo

yaadein kabhi bhulaane ke liye nahi hoti,
hamaari yaad rulaane ke liye nahi hoti,

yaad karte ho hamaare saath beete lamho ko,
to un palon ki khushiyon ko mehsoos karo,
kyun un palon k baare me sochte ho jo gum de,
jo khushnuma yaadein hain bas unhe yaad karo,

wo pehli mulaquaat, wo pehli barsaat,
tumse hui wo pehli baat yaad karo,
wo maasoom se ehsaas mohabbat ke aur,
sitaaron se bhari wo raat yaad karo,

kya paoge apni aankhon ko dariyaa banaake,
jo tumhe achchi lage un baaton ko yaad karo,
jab saath reh ke hum muskuraate the,
tum sirf un mulaquaton ko yaad karo,

mumkin nahi ki haasil har kisi ki kismat me ho,
tumhe jo mil paai hain un khushiyon ko yaad karo,
kho ke mujhe paaya hai tumne kitna kuch,
tum bhagwaan ke diye un tohfo ko yaad karo,

sun lo meri ye baat aur tum aisa kaam karo,
has pal har lamha muskuraane ki koshish karo,
jo hain tumhaare apne aaj unse pyaar karo,
milunga agle janam me tumhe, kismat pe aetbaar karo....
Wo pehle sparsh ka ehsaas

aaj wo pehle sparsh ka ehsaas mujhe yaad aa raha hai,
jab pehli baar sharmaake mere haathon ko chhua tha,

us gulaab ke baag me mujhse wo gulaab tumne liya tha,
aur us gulaab ko lete huye mere haathon ko chhua tha,

wo sparsh jisne kai raaton ke liye meri neend uda di,
kaise main tumhe bataun kis tarha tumne mujhe chhua tha,

aankhon me hayaa ki laali, dil ki dhadkan me wo tezi,
jab kanpkapaate apne haathon se us gulaab ko chhua tha,

chhoote hi mere haathon ko maine kaske use thaama tha,
jab pehli baar us baag me tumhaare haathon ko chhua tha,

khol na paai tum sharm se apni aankhen kuch palon tak,
jane kya asar tha wo jis ehsaas k saath tumne chhua tha,

mere kehne pe jab tumne badi mushkil apni aankhen kholi,
tab maine pyaar se tumhaare un aankhon ko chhua tha,

chhuute hi tumhaare aankhon ko tum yun machal uthi us din,
kaske tumne pakad liya mera haath jab maine tumhe chhua tha,

aaj wo pehle sparsh ka ehsaas mujhe yaad aa raha hai,
jab pehli baar maine tumhare haathon ko chhua tha...

Monday, October 4, 2010

Saari duniya bhula du

apne hothon ki muskaan tere hothn pe saja du,
tu kahe to tere liye chaand ki chaandni la du,

sochta hoon kya milega is chand ko us chaandni se,
main to teri chaandi se apna ghar ka chirag jala du,

ek hi tamanna hai is dil me ki tu khush rahe hamesha,
teri khushi ke khaatir tu kahe to khud ko hi mita du,

baag ke har gulaab ko teri muskaan ka intzaar rehta hai,
tu kahe to unhe main aaj teri raahon pe bichha du,

teri ek nazar ke khaatir main aasmaan ko zameen se mila du,
tu jo mil jaaye mujhe main teri khaatir saari duniya bhula du...

Mohabbat si ho gayi hai

haan sach me kuch is tarha ki aadat si ho gayi hai,
ki ab humein khud se jaise mohabbat si ho gayi hai,

haathon ko apne baar baar dekhta hoon main ab,
unhe tumhaara samajh chumne ki aadat si ho gayi hai,

hothon pe apne ungliyaan kuch is tarha ferta hoon,
unme tumhaare hothon ki narmi
mehsoos karne ki aadat si ho gayi hai,

baahen failaa ke hawaa se baatein karta hoon main,
hawaon me tumhe mehsoos karne ki aadat si ho gayi hai,

aaine me roz apni aankhon ko dekhta hoon main,
apni aankhon me tumhe dekhne ki aadat si ho gayi hai,

tum se milke kuch is tarha ki aadat si ho gayi hai,
ki ab humein khud se jaise mohabbat si ho gayi hai...


Mohabbat aisi ek cheez hai

kya koi mujhe batayega ki mohabbat kya cheez hai,
kya koi ye samjhaayega ki mohabbat kaise hoti hai,

kuch palon ka saath, kuch ehsaason ka mil jaana,
kisi ka dard seene me leke kisi apne ko bataana,

kuch meethi pyaari baatein, kuch ek jaisi aadatein,
kuch milne ka intezaar aur kuch haseen mulaquatein,

kuch saanson ki tezi, kuch dhadkan ki khamoshi,
kuch aankhon ka paani, kuch pal ki madhoshi,

kya mohabbat is tarha ki jaati hai,
kya mohabbat aisi ek cheez hai....

Aadat ho gayi hai

mujhe bhi ab un gulaab ke pankhudiyon ko,
apne hothon se chhune ki aadat ho gayi hai,

tumhaare julfon ke ghane chaaon me jaake,
unme gum ho jaane ki aadat si ho gayi hai,

haath jab rakhta hoon apne sharir pe main,
tumhe mehsoos karne ki aadat si ho gayi hai,

maano aaj khamoshi bhi kuch kehti ho mujhse,
tumhaare geet gaane ki chaahat si ho gayi hai,

ye aadat buri hai iska ilm hai mujhe magar,
khudko kharaab karne ki aadat ho gayi hai...
Mil jaunga agle mod pe

aaj jis mod pe haath thaama hai maine tumhaara,
thaama hai ye haath maine duniya chhod kar,

bandha huwa tha main samaaj ke bandhano mein,
aaya hoon tumhare paas wo saare bandhan tod kar,

aaj tak kuch maanga nahi tha maine bhagwaan se,
ab maangi hai tumhaari muskaan usse haath jod kar,

kar lo aetbaar tum meri mohabbat pe kuch is tarha,
ki na jaa paayega ye deewaana kahin tumhe chhod kar,

chhut bhi jaaye kahin saath mera is safar me jeewan ke,
naam mera pukaar lena, mil jaunga tumhe agle mod par...
Har cheez khoobsurat lagne lagi

is safar me zindagi ke hum kuch is tarha mile,
ki humein fir mohabbat karne ki chahat hone lagi,

khoya tumne apne pyaar ko aur khoya maine bhi,
par ab ye kahani fir se wahi puraani lagne lagi,

mere chehre me tum kisi ka chehra dhunda karti,
aur mujhe tumhaari awaaz kisi ki yaad dilaane lagi,

par ab yun aadat padi hai humein ek dusre ki,
mujhe tum me tum aur tumhe mujhme meri jhalak dikhne lagi,

achcha lagta hai main ghanto tumhari awaaz sunta rahu,
aur tumhe bhi mere geeton ki kuch aadat padne lagi,

tadap uth_ti ho tum agar kuch palon ke liye dur rahu,
ab tumhaare dil me fir se mohabbat ki pyaas jagne lagi,

ye khoobsurat sa eksaas tumhaare saath ka rahe umra bhar,
ab tumhaare hone se jahaan ki har cheez khoobsurat lagne lagi....
Dil tanha akele rota hai

ye mohabbat bhi ajeeb ehsaas hai
na to jeene deta hai
na hi marne deta hai
bas tanhaayi me aake tadpata hai

main bhi aksar khoya rehta hoon
aankhen khol ke soya rehta hoon
dard nahi hota hai fir bhi
jaise har pal roya rehta hoon

wo aansoo jo mere dil se behte hain
aksar mujhse yahi kehte hain
ki kyun khud ko tu jalata hai
par ye aansoo behte rehte hain

wo meri hoke bhi meri na ho saki
mujhse dur jaake bhi khush na reh saki
socha karti hai aaj bhi mere baare me
wo meri mohabbat ko bhula na saki

kyun aisa hota hai ki khushi do pal ki
aur dard zindagi bhar ke liye milte hain
kyun dil dard me dooba rehta hai aur
muskuraane k liye wajah nahi milte hain

aasaan hai kisi ko bhi chaah lena
par kyun kisi ko bhulaana mushkil hota hai
bas inhi khayaalon me mera dil khoya rehta hai
aur un yaadon me kho ke tanha akele rota hai.....
Tum kyun pehle nahi mile

tum na milo to kuch kuch adhura sa lagta hai,
tumhaari ek jhalak pe sab poora sa lagta hai,

aadat hai tumhe apne baahon me sulaane ki,
tumhaare bina har khwaab adhura sa lagta hai,

subah tumhaare awaaz ke liye tadapta hoon main,
tum ek baar sweetu keh do to sukoon sa lagta hai,

jab se mehsoos ki hai tumhaare saanson ki mehek maine,
tumhe seene se na laga lu to kuch adhura sa lagta hai,

paana hai tumhe hal haal me, har keemat me,
tumse hi ab har ehsaas poora sa lagta hai,

jab kehti ho tum "kyun pehle nahi mile tum mujhe pyaaru",
kaise bataun tumhe jo mila tha pehle wo adhura sa lagta hai...
Tumko maanga karta hoon

tumhaara hi lahoon banke main tumhaare ragon me hoon,
mehsoos kar ke dekho to main tumhaare saanson me hoon,

jaane ye kaise rishta hai tumse jaane ye kaisa nata hai,
duur tumse hoon main itna par tab bhi lagta kareeb hoon,

jismon ki ye doori hai, par aatma se hum ek hain,
aankhen band karke dekho tumhaara hi sharir hoon,

tumhaari ek hasi ke khaatir kai gunaaah mai karta hoon,
dekh aansoo aankhon me tumhaare ghut ghut k main marta hoon,

tumko hi chaaha hai maine, tumko hi to pooja hai,
apni har duwa me ab to main tumko maanga karta hoon....
Kya tum khud samajh paate ho

samjhaate ho mujhko par kya tum khud samajh paate ho,
kyun aaj bhi tum un khayaalon me kho ke reh jaate ho,

aasaan nahi hota kisi ko chaah ke bhula dena yahaan,
yahi wajah hai ki tum bhi har pal aansoo bahaate ho,

tadapte ho akele tum, dard ko seene me dabaake apne,
chaahte ho mujhe aur mujhse hi har baat chhupate ho,

dekh sakta hoon main tumhaare aansoo tumse dur rehkar,
par har baar tum mujhse bahaane banaake muskuraate ho,

tumhaari har sisak, har ghaaw ka ehsaas hai mujhe,
par tum akele me unhi zakhmon pe namak lagaate ho,

kya milega tumhe khud ko itna tadpaake batao zaraa,
kyun apni chaar din ki zindagi ko yun gawaate ho,

mumkin nahi har khushi mile humein ya haasil apna ho,
kyun nahi sach ko sweekaar kar tum sambhal jaate ho,

samjhaate ho mujhko par kyun nahi khud samajh paate ho,
yunhi har baar un yaadon me kho ke jeete ji mar jaate ho...
Har wo ehsaas hoon

dil ki tere dhadkan banke main tere dil me hoon,
hawa me main khusboo banke tere saanson me hoon,

tanha teri raaton me khwaab ban main aata hoon,
tere kamre me aake tere paas main so jaata hoon,

dur tujhse hoon nahi main tere hi main paas hoon,
mehsus jise karti hai tu main har wo ehsaas hoon...
Usko main manaun kaise

rutha hai mera sanam, usko main manaun kaise,
muskaan uske chehre pe wapas main laun kaise,

har lamha uski yaad me ab rota hai dil mera,
apne is dard-e-dil ko ab main samjhaun kaise,

aankhen uski band hain, dekhna kuch chaahti nahi,
aankhon se behta ye pani usko main dikhaun kaise,

mujhse bahut dur hai wo, sunna kuch chahti nahi,
tute dil ka haal apne usko ab main sunaun kaise,

uspe hi har geet mere, uspe hi hae gazal meri,
uske un geeton ko tanha ab main gungunaun kaise,

kehte hain sab dost mere, aayegi na laut ke wo,
kehta hoon unse bas itna ki usko bhool jaun kaise,

rootha hai wo pyaar mera, usko main manaun kaise,
chahta hoon usko kitna ab usko main bataun kaise...
Parivartan jaruri hai

jeene ke liye parivartan jaruri hai,
tanhaayi me kisi ka saath jaruri hai,
mushkil hota hai dard ko akele sehna,
haathon me kisi ka haath jaruri hai,

poori nahi hoti maangi har duwa apni,
jeene ke liye bas ek aas jaruri hai,
aaj kaale baadal hain to kal suraj hoga,
khushnuma sa bas ek ehsaas jaruri hai,

aansuon se zindagi nahi ji jaati,
jeene k liye muskuraana jaruri hai,
ek khoobsurat geet hai zindagi,
use har pal gungunana jaruri hai...
Koi mil hi jaata hai

kisi ke chale jaane se dukh bahut hota hai,
par uske jaane se saanse nahi tham jaati ye sach hai,

haathon ki lakeeron me hi apni kismat hoti hai,
par bina haath waalon k bhi kismat hoti hai ye sach hai,

kisi ke chale jaane se tanha ho jaate hain hum,
par tanhaayiyon me saaya saath hota hai ye sach hai,

zakham ke chhalon pe jalan to bahut hoti hai,
par wo chhalen jald bhar jaate hain ye sach hai,

ashkon se hum apni duniya sajaa lete hain,
un ashkon ko mitaane waale mil jaate hain ye sach hai,

jaruri nahi ki har duwa maaangte hi poori ho jaaye,
duwa qubool hote hain par unke roop badal jaate hain, ye sach hai,

kisi ka saath chhoot jane se jeene ki ummeed nahi chhoda karte,
zindagi me saath nibhaane ke liye koi mil hi jaata hai, ye sach hai...