Wednesday, March 31, 2010

Tum aa jaate ho

ab to jaane q har chehre me tum nazar aate ho,
saamne ho nahi par khayalo me aa jaate ho,
chahta hoon lakh bhulaana tumhaari yaadon ko,
par har baar tum roop badalke saamne aa jaate ho...

Tuesday, March 30, 2010

Dur Jana Chahta Hoon Tumse

jaane kaisa dar hai tumse,
milna nahi chahta main tumse,
kabhi mere tum kareeb na aana,
bas itna kehna chahta hoon tumse,
kabhi mujhe tum khat nahi likhna,
itna kehna chahta hoon tumse,
kabhi mujhe tum yaad na karna ,
itna kehna chahta hoon tumse,
tumhaari har ek yaad bhulaake,
dur jana chahta hoon tumse,


kal tak mohabbat thi tum meri,
milne jaata tha main tumse,
chhod gayi tum mujhko jabse,
shikayat hone lagi hai tumse,
dost tumhaare hain kuch aise,
jode huye mujhe ab bhi tumse,
kenha chata hoon main unse ,
dur rehne de mujhko tumse,
tumhaari har ek yaad bhulaake,
dur jana chahta hoon tumse,


tumhaari jo tasveer main dekhun,
milne ka mann karta hai tumse,
tumhaare puraane khat jo dekhun,
kehne ka mann karta hai tumse,
jaane q mujhe chhod gayi tum,
kitna pyaar karta tha tumse,
shaayad kami thi mere pyar me,
tabhi to aaj main dur hoon tumse,
tumhaari har ek yaad bhulaake,
dur jana chahta hoon tumse,


samajhta hoon mai dasha tumhaari,
par keh nahi paata hoon tumse,
bin dekhe main samajh leta hoon,
kaise kahun ye baat main tumse,
kabhi kabhi to mann karta hai,
jaake keh du sab kuch tumse,
keh nahi paata hoon main fir bhi,
jaane kyu darta hoon tumse,
tumhaari har ek yaad bhulaake,
dur jana chahta hoon tumse,


kal tak mujhe pyaar tha tumse,
aaj bhi pyaar karta hoon tumse,
chahe mujhse tum pyaar na karo,
dilo jaan se pyar karunga tumse,
pyaar ko bhulana asaan nahi hai,
tabhi to kehta hoon main tumse,
pyar ho meri tum jaan ho meri,
aaj jhoot keh raha hoon tumse,
ki tumhaari har ek yaad bhulaake,
dur jana chahta hoon tumse...

Khamoshi

haan sach hai,shayad na kabhi main tujhse kuch keh paunga,
tere badnaami k dar se na kabhi main izhaar kar paunga,
pyaar bhare armaan apne pyaar bhare dil me dabaake,
khaamoshi se kabhi main teri ye duniya chhod jaunga...

Tamannayen

kabhi kabhi ye tamannayen dil pe is tarah waar kar dete hain,
ki aasun hamare aankhon se rukne ka naam hi nahi lete hain,
log kehte hain ki tamannaon k liye jaise ghar hai hamara dil,
par ye tamannayen hi hamara dil todke humein ghayal kar dete hain...

Pyaas

aankhon k zariye hum dil me utar jaayenge,
aapko ehsaas hi na hoga aisa asar kar jayenge,
tez barsaat ka intezaar kar rahe ho aap,
hum to apne pyaar se aapki pyaas bujha jayenge...!!!

Saturday, March 27, 2010

Kahaan Rehte Hain Wo

kaise bataayen tumhe ki kahaan rehte hain wo,
haqeekat me nahi mere khayalo me rehte hain wo,
meri saanso me aur meri dhadkano me rehte hain wo,
har ghadi har pal mere yaadon me rehte hain wo...

Friday, March 26, 2010

Dil Aur Kalam

dil aur kalam me fark hi kitna hai,
ek me dard rehta hai dusre me syaahi,
dard khatam hone ka naam nahi leta hai,
aur na khatam hoti hai kalam ki syaahi....

Yaad

yaadon me to aate ho tum,
bas hum keh nahi paate hain,
hamaari saanso me samaye ho tum,
bin tere reh nahi paate hain...

Tuesday, March 23, 2010

Jee Karta Hai

na tujhe bhulaane ka ji karta hai,
na tujhse dur jaane ka ji karta hai,
bas teri yaadon me kho jaane ka ji karta hai,
tadap itni aaj is dil me hai,
ki hamesha ke liye so jaane ka ji karta hai...

Zeher Ke Jaam

tere jaane ke baad kuch is tarah ka aalam hai,
ashq nayano se rukne ka naam hi nahi lete hain,
kabhi tere saath ko yaad karte hain kabhi teri ruswaai ko,
tere bin na jaane kaise har roz ek nai zindagi ji lete hain,
humne to socha tha ki tere sang zindagi poori bitayenge,
ab tere naam se zeher ke do char jaam hum roz pi lete hain...

Friday, March 19, 2010

Wo Beete Lamhe

tere shahar jaata tha jab main,
milne tujhse banke deewana,
bhoola nahi hoon aaj bhi wo din,
jab mili thi mujhse pehli baar,
wo teri masoom si nazar,
jaane kaisa asar kar gayi,
mujhko dekh tera muskurana,
aaj bhi wo pal yaad aata hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

chori chori chupke chupke,
milne jab aati thi mujhse,
nazrein churaake har kisi se,
jab tu mila karti thi mujhse,
ghanto tak hum baatein karte,
ghum aur khushiyaan baanta karte,
un palon ki kuch baatein hain,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

pagal banke milta tha tujhse,
hosh na rehta tha ek pal ka,
saath jo hota tha kuch pal ka,
mere liye wo jannat sa tha,
baatein jab karti thi mujhse,
jaane kahaan main kho jaata tha,
shahad si meethi baatein teri,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

sang beeta wo waqt tha aisa,
kam tha lekin tha wo pyara,
kabhi kabhi ye sochta hoon main,
kaash wo waqt wapas laa pata,
kuch palon ki khushiyaan dekar,
jaane kahaan wo aaj kho gayi,
un dino ki kuch yaadein hai,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,

Monday, March 15, 2010

Main Akela

ab mujhe na dard hai,
na yaadon me aati hai koi,
ab mujhe na pyaar hai,
na dil me rehti hai koi,
aaj panchhi hoon main azaad,
na saath mere hai koi,
aasmaan saara hai mera,
na aaj bandhan hai koi...

aaj udta hoon akela,
pankh faila ke gagan me,
aaj gaata hoon akela,
na sang mere gaata hai koi,
hasta bhi hoon main akela,
rota bhi hoon main akela,
aaj main hoon apne dhun me,
na mujhe rokta hai koi...

sochta hoon main kabhi ye,
kaash hoti mere sang tu,
pyaar thi meri hamesha ,
par le gaya tujhko koi,
main akela hoon to kya hai,
hota hai kiska koi,
aaye the is jahaan me akele,
na saath jayega koi...

Tuesday, March 9, 2010

Socha Na Tha

meri har subah ki pehli kiran thi tum,
tanhaayiyon me bas meri ek saathi thi tum,
hum to har kisi se naata tod baithe the,
socha na tha is tarah tanha chhod jaogi tum...

meri har raat me khwaab banke aati thi tum,
khwaabon me aake mera ghar sajati thi tum,
zindagi me mere ek haseen khwaab banke aaye the,
socha na tha is tarah wo khwaab tod jaogi tum...

meri zindagi meri mohabbat ban gaye the tum,
mera dil nahi dil ki dhadkan ban gaye the tum,
hum to ummeedo ka daaman thaame baithe the,
socha na tha is tarah daaman chhod jaogi tum,

toofaano se mujhe ladna sikhati thi tum,
zindagi ko mujhe jeena sikhati thi tum,
sabko bhulake pyaar kiya tha tumse maine,
socha na tha is tarah mera dil tod jaogi tum...

Thursday, March 4, 2010

Dost Teri Dosti

Dost teri dosti ki lakeer hai in haathon me,
Dost teri dosti ki mehek hai tere baaton me,
Jaane kya asar kiya tu ne do char mulaqaton me,
Ki sada ke liye bas gayi tu mere yaadon me...

Dost shayad hum kabhi tere kareeb na aaye,
Dost shayad hum kabhi tumse mil nahi paaye,
Humein hamesha tu yaad rakhna,
Is dosti ko abaad rakhna....

Dost tujhe meri dosti ki kasam hai,
Kabhi mujhe tu bhula na dena,
Apni yaaadon ko mujhse chhinke,
Kabhi mujhe tu rula na dena....

Tuesday, March 2, 2010

Aaj Ka Din

kal ki hi baat hai main milne jaata tha tujhse pagal banke,
kal ki hi baat hai lauta hoon tere shahar se main ghayal banke,
jab tune muskurake mujhse apni sagayi ki baat kahi, socha maine
jaane q bajta raha hoon itne saalo se tere paon ka payal banke...

sikh liya tha jeena maine bhulake tere yaadon ko aur tujhe,
aaj tere yaadon k dard ne aake chheda fir ek baar mujhe,
jane q tere aane ki aahat se bechain ho gaya hoon fir ek baar,
tu aaj meri nahi hai, fir bhi satati hai mujhe q yaadgar banke...

haan aaj hi wo din hai jab tu aane waali hai mere shahar mein,
haan aaj hi wo din hai jis ka intzar kai saalon se tha is dil mein,
par kaise samjhaayen tujhe hum ki na chaha tha tujhe is roop me,
kal tak meri mohabbat thi tu, aaj aai hai kisi aur ki dulhan banke...

Muskaan

Aalam hai ye ki neend nahi aati hain,
Har pal har ghadi yaar ki yaad bahut aati hai,
Din to guzar jaate hain tanhaayi mein,
Par raaton ko uski muskaan jagati hai...

Karz

Aasuon ki keemat teri hum chuka nahi sakte,
Pal bhar ke liye bhi tera dil dukha nahi sakte,
Jhuka sakte hain hum tere aage apna sar,
Par koshish karke bhi hum tere dosti ka karz chuka nahi sakte...

Aap

Hum khushnasib hain ki aap hamare saath hain,
Kal tak anjaan the aaj kitne kareeb hain,
Kal tak aapko dar dar dhunda karte the,
Ehsaan us khuda ka jo aaj aap hamare dil me hain....

Socha Tha

Socha tha use kabhi hum apna banake laayenge,
Socha tha ki uske dil me thodi jagah kabhi paayenge,
Din wo jarur aayega jab poore mere sapne honge,
Pyar ko mere janegi jab duniya chhod ke hum jaayenge...

Hum

Aansu kisi k behte nahi hum hasane ka shauk rakhte hain,
Dil me kisi k dard na ho dil milane ka shauk rakhte hain,
Patjhad , sawan, basant, bahar har mausam achhe lagte hain,
Sabke aansu pochhke hum muskurane ka shauk rakhte hain...

Ittefaq

ittefaq se meri zindagi me aayi thi tu,
ittefaq se pyaar hua tha tujhse mujhe,
jis din se chhod gayi hai saath mera tu,
ittefaq se dar lagne laga hai mujhe...

Haar Aur Jeet

main uski jeet ko apni jeet samajh raha tha,
na samajh paya ki uski jeet me to meri haar thi,
jise main barso se apni zindagi samajh raha tha,
wo kisi aur ki saanse wo kisi aur ka pyar thi...

Tu Hi Tu

tu hi tu hai mere har ghazal me,
mere har khayal pe tera bas tera hi naam hai,
tere hone se meri zindagi poori thi,
tere bina ab adhuri meri har subah har shaam hai...

Monday, March 1, 2010

Waade

kal tak ek duje se kiye kai waade honge,
socha hoga ki jarur wo poore honge,
jhooti na wo hogi, jhoote na waade honge,
jarur kisi majboori me tute wo iraade honge...

Meri Har Khushi Ki Kaaran Thi Tum

khwaab me aati thi mere,kehne bas itni si baat,
ab nahi hoon main tumhaari,maan lo bas tum ye baat,
socha karta tum ho jhooti, khwaab lagte the jhoot,
aankh jab khuli meri, jab khwaab wo gaya tha toot,
tumhaari is khwaab pe muskuraaye the hum,
q ki meri har khushi ki kaaran thi tum...

roz apne sapno ka mahal khada karte the hum,
apne paon se kuchalke chal deti thi tum,
main tumhaari jeet ko apni jeet samajhta,
aur meri haar pe muskuraati thi tum,
tumhaari is muskaan pe muskuraaye the hum,
q ki meri har khushi ki kaaran thi tum...

hum the tumhaare saamne khule kitaab ki tarah,
tumne jo chaha uspe likh diya,
humne chaha tha uspe apni zindagi likhna,
tumne hamare maut ka farmaan likh diya,
tumhaari is farmaan pe muskuraaye the hum,
q ki meri har khushi ki kaaran thi tum...

hum to samajh rahe the ki tumse pyaar kar rahe the hum,
sach ye tha ki apne maut ka saamaan jama kar rahe the hum,
tumhaari yaadon ko seene se lagake khush ho rahe the hum,
samajh na paaye ki jeete ji be maut mar rahe the hum,
tumhaare is katle aam pe muskuraaye the hum,
q ki meri har khushi ki kaaran thi tum...

Kuch Na Keh Paaye

Dost hai meri humdum hai wo, mujhse nahi anjani hai,
Kai saalon se saath hain hum do, bas itni si meri kahani hai,
Dosh na dena usko kabhi tum wo to dil ki rani hai,
Mere dil ko padh na saki wo ye uski nadani hai...

Hum to aashiq kayar hain jo labo se kuch na keh paaye,
Shayad aakhri saans tak ye dil me apne reh jaaye,
Uthegi ek din doli uski mere nazar ke saamne hi,
Ho sakta hai kaanch ka ye dil tab tukdo me bikhar ke reh jaye....

Bewafa Na Samajhna

Bewafa na samajhna tum mujhe,
Chaha maine bhi tha saath chalna,
Dosh na dena tum mujhe,
Majboori ko mere tum samajhna...

Kismat me shayad tum nahi ho,
Na zikra hai tumhaare naam ka,
Darte hain tumhaare pyar se,
Kyunki fikra hai anjaam ka.....

Dard - Ek Ehsaas

dard ek ehsaas hai,
kal tak mujhse dur thi,
aaj mere paas hai,

kal tak dhunda karte the jise,
kaisi lagti hai poocha karte the,
kal tak maloom na tha mujhe jo,
aaj wo mere paas hai,

koi hai jo ise mujhse dur le jaaye,
aaj dard bahut mere paas hai,
dard koi saamaan nahi hai,
ye to bas ek ehsaas hai...

Mohabbat

Kashish hai mohabbat, Junoon hai mohabbat,
Sach poochho to dil ka sukoon hai mohabbat,
Haseen bhi hai , nazneen bhi hai,
Mehekta sama, dilnasheen bhi hai,
Socho mat tum ki kya hai mohabbat,
Hamare shabdo me to bas khuda hai mohabbat...

Dost the tum, saathi the tum,
Sukh dukh k bhaagi the tum,
Gham the bahut aur khushiyaan the kam,
Par saath hote the to bas haste the hum...

Aansu tumhaare rula dete the,
Muskaan tumhaare hasa dete the,
Yaadein tumhaari aati thi jab,
Hum to bas muskura dete the....

Dil me mere khayal aata tha,
Pyar nahi hai ye mujhko pata tha,
Tumse milta baatein karta,
Par baaton me mere ikraar nahi tha...

Gujarte gaye din mahine saal,
Kya kehte tumse apne dil ka haal,
Subah shaam aur raat aur din,
Dil me aata bas tumhaara khayaal...

Dost meri tum sabse pyaari,
Baatein karti sabse nyaari,
Socha karta kabhi kabhi main,
Jaane kaisi hai tumse yaari...

Baatein kare to phool baraste hain,
Saath rahen to hum haste hain,
Jaane kaisa rishta hai tumse,
Baat na ho to hum taraste hain...

Milogi jaana jis din humse,
Ji bharke tumko dekhenge,
Dil me jo bhi baat hai mere,
Sach kehta hoon tumse keh denge,

Pyar k mithe bol bolke,
Tumko main madhosh kar dunga,
Rok saka na khud ko agar main,
Tumko baahon me bhar lunga...

Aitraaz tumhe na hoga uspe,
Mujhko yakeen hai apne pyaar pe,
Gale se lag jaana tum mere,
Agar yakeen ho apne pyaar pe,

Pyaar main dunga, laad main dunga,
Duniya ki saari khushiyaan main dunga,
Madhosh kar dene waale hothon ko,
Ek baar jaroor chumunga,

Yaar ho mere, dildaar ho mere,
Khwaabo me aate ho shaam sawere,
Gar ek baar tum gale laga lo,
Yaadon k sahare tumhaare ji lunga...

Saagar kitna gehra hai,
Usse gehri aakhen tumhaari,
Chaand kitna pyara hai,
Usse pyaari baatein tumhaari,

Koi aake poochhe humse,
Kya karte ho tanhaayi mein,
Yaad karte hain jaan ko apne,
Q ki sabse pyaari yaadein tumhaari...

Besudh Se Hum...

besudh se hum chal rahe the apne humdum ka haath thaame,
khushiyaan to thi nahin par iska ehsaas na tha humein,
kisi k saath ko hum jeewan bhar ka saath samajh baithe the,
thokar khaayenge jeewan safar mein iska ehsaas na tha humein...