Thursday, May 23, 2013

Mujhe tumse mohabbat hai


tumhe dekh loon ek baar to tumhe hi dekhtaa rehtaa hoon
dil mein hai ek baat mere, main aaj tumse kehtaa hoon

khudse baatein kartaa hoon, akele main hastaa rehtaa hoon
dost mere hain bahut magar main tanhaa tanhaa rehtaa hoon

ek tumhaaraa chehraa hai jo paagal mujh ko banaataa hai
main paagalpan mein apne hi jaane kyaa kyaa kehtaa hoon

kabhi tumhaari aankhon se, to kabhi tumhaari baaton se
gum saa main ho jaataa hoon, khudko dhundtaa rehtaa hoon

tasveer tumhaari dekhun agar main hosh mein reh paataa nahi
behoshi ki haalat mein main bas tumhaaraa naam kehtaa hoon

khwaabon mein tum aati ho, kabhi aake mujhe chhuu jaati ho
tumhaare hothon ke sparsh ko main mehsoos karta rehtaa hoon

ab tak jo naa keh paayaa, main aaj woh kehnaa chaahtaa hoon
jaanaa! mujhe tumse mohabbat hai, yeh baat tumse kehtaa hoon

Saturday, May 18, 2013

Main use bhulaaun kaise

ek dil hai meraa chaahne waalaa, main use samjhaaun kaise
usne to bhulaa diyaa hai mujh ko, main use bhulaaun kaise

har shaam koshish mein rehtaa hoon ki us ko yaad naa karun
par uski un mohabbat bhari yaadon se main duur jaaun kaise

koshish bahut ki maine mitaa dun har nishaani uski, magar
jo naam us kaa dil mein hai, us naam ko ab mitaaun kaise

koi paagal kehtaa hai mujhe, koi deewaana ab bulaataa hai
main to bas ek aashiq hoon, main aahsiqui bhul paaun kaise

usse pehle na chaahaa kisi ko, na baad hi chaah paayaa hoon
log kehte hain mohabbat karle, main dobaaraa kar paaun kaise

seene mein mere saansen uski hain, hothon pe hai naam usi kaa
jinke hone se zindaa rehtaa hoon, unse bandhan tod paaun kaise

meri zindagi woh, meri mohabbat wo, uske binaa main kuch nahi
wo hi nahi saath mere to main tanhaa zindagi guzaar paaun kaise

Saturday, May 11, 2013

Tumse mohabbat nahi hai

naa... mujhe tumse mohabbat nahi hai
koi apnaa saa rishtaa nahi hai
bas ek sapnaa thaa jo tut gayaa
iske siwaa kuch bhi nahi hai....

kuch pal zindagi ke.. khoobsurat se..
jo tumne diye the mujhe kabhi...
bas.. un palon ki thodi si yaadein hain
aur iske siwaa kuch bhi nahi hai...

main ab tumhe yaad nahi kartaa...
nahi sochtaa main tumhaare baare mein..
yunhi kabhi chalte firte
koi chehraa tumsa dikh jaataa hai to
thodi si yaad tumhaari aa jaati hai...

kho jaataa hoon main kuch pal un yaadon me
achchaa lagtaa hai tumhe yaad kar
bas kuch pal muskuraa letaa hoon akele mein
bas itnaa hai.. aur kuch bhi nahi hai...

koi bandhan nahi hai tumse meraa...
tumse kuch bhi nahi hai meraa...
haan main sach kehtaa hoon...
mujhe tumse mohabbat nahi hai...

Saturday, April 27, 2013

Ek waqt thaa

dil ki har ek baat hum tumse keh jaate the
ek waqt thaa jab hum tumhe chaahte the

tum samajhte the, humein mohabbat nahi
hum chhip chhipke mohabbat nibhaate the

tumko dekh sab kuch bhool jaate the hum
dekh dekh tumhe hum bas muskuraate the

na poochhaa tumne, na humne bataayaa ki
tumse kyun hum rozz rozz milne aate the

ek waqt thaa hum bhi mohabbat karte the
woh tum hi the jis par hum jaan lutaate the

Tuesday, April 9, 2013

Mujhe sataayaa naa karo


yun har baar paas aate aate duur jaayaa naa karo
duur duur reh ke mujhse tum muskuraayaa naa karo

paagal hai dil meraa kuch samajhtaa nahi tum bin
tum yun dilko ghadi ghadi bas tadpaayaa naa karo

tumhaare khilkhilaane ki aawaaz jaaduu karti hai
tum mujhpe yun jaadu saa kuch chalaayaa naa karo

band karun aankhen aur tum aa ke chhoo lo mujhe
bas khwaabon mein aa ke mujhe sataayaa naa karo

Sunday, April 7, 2013

Tumhaari aankhen

tumhaari aankhon ko dekhtaa hoon to
kuch hone lagta hai mujhe... mohabbat saa...
badh jaati hain dhadkano ki tezi ..
aur badh jaati hai chaahat tumhe baahon mein bharne ki...

tumhaari aankhon ko dekhtaa hoon
to lagtaa hai kuch keh rahi hain mujhse
bulaa rahi ho mujhe apne kareeb...
machalti hain jaise tumhaari aankhen
meri baahon mein aa ke pighal jaane ko...

tumhaari aankhon kaa paani... haaye kyaa kahun main...
zindagi bhar ki pyaas ko duur kar deti hain...
koi pyaasaa jo mar rahaa ho pyaas ke maare
bas tumhaari ek jhalak unke jaan me jaan le aaye...

tumhaari aankhon ko dekhtaa hoon
to har baar kuch nayaa saa lagtaa hai....
lagtaa hai abhi abhi mili ho tum mujhse
abhi to milnaa baaki hai, kuch baat baaki hai
jee bhar ke dekh lun tumhe main....
dekh lun tumhaari nashili aankhon ko....

uuuufffff... kyaa naam dun main tumhare in aankhon ko
kabhi samundar kahun main, kabhi koi jaam kahun
kabhi sharaab ki botal kahun, kabhi main inhe shaam kahun
kyaa kyaa taarif karun main inki, sab kam hain....

tumhaari aankhon ko dekhtaa hoon main
to lagtaa hai ki main hoon hi nahi is duniyaa mein
duur kahin... bahut duur... main doobaa hoon kahin...
jahaan bas dekhne ko tumhaari aankhen hain... aur kuch nahi...

tumhaari aankhon ko dekhtaa hoon main
to mann kartaa hai ki bas dekhtaa hi rahun...
bas tumhaari aankhon ko..
bas dekhtaa rahun....

Thursday, April 4, 2013

Unki yaad dilaa do


meri jang lagi kalam se aaj kuch to likhwaa do
jinko bhul chuke hain unki thodi yaad dilaa do

ek waqt thaa jab hum bas unko yaad kar likhte the
zaraa aaj fir mere dilko unki dhadkano se milaa do

bahut sannaataa hai yahaan, bilkul shamshaan saa
is andhere mein laake unhein ek chiraag jalaa do

Wednesday, March 27, 2013

Aankhon mein sajaataa hoon

khwaab banaa ke tumhe main aakhon mein sajaataa hoon
geet banaa ke tumhe apne honthon se gungunaataa hoon
jab zikra hotaa hai kabhi mohabbat kaa yaaron mein
main misaal ke taur pe tumhaare kisse sunaataa hoon

Apnaa thikaanaa dhundtaa hoon

main apni hi galiyon mein apnaa thikaanaa dhundtaa hoon
kitaab ke panno mein zindagi kaa fasaanaa dhundtaa hoon

koi paagal kehtaa hai, koi deewaanaa kehtaa hai mujh ko
jab khaali botal mein nashaa woh puraanaa dhundtaa hoon

log kehte hain mujh se ki main bhi kabhi muskuraataa thaa
ab apne hothon kaa khoyaa huwaa muskuraanaa dhundtaa hoon

kadam kadam pe thokrein hain, ghum hi ghum hain har taraf
jahaan bas khushiyaan ho ek aisaa aashiyaanaa dhundtaa hoon

maine koshish to bahut ki mujhe fir se mohabbat ho, magar
ab main apne hi andar chhipaa woh deewaanaa dhundtaa hoon

haaraa huwaa ek khilaadi hoon, himmat bhi main haar chukaa
thak gayaa hoon itnaa ki ab marne kaa bahaanaa dhundtaa hoon

kuch baat thi uske hone se, jo ab nahi uske chale jaane se
main apne aaj mein woh guzraa huwaa zamaanaa dhundtaa hoon
Mausam ke badal jaane tak

chaahte rahenge tumhe hum, tumhaare pighal jaane tak
naa haar maanenge hum, apne jaan ke nikal jaane tak

bahut kuch khoyaa humne, khoke sab tumhe maangaa hai
himmat baandhe rakhenge hum, khud ke fisal jaane tak

abhi to shuruwaat hai, bahut duur tak abhi chalnaa hai
angaaron par bhi chal lenge, pairon ke jal jaane tak

kab tak yun tum roothoge, kab tak yun humein sataaoge
kar lenge intzaar tumhaaraa, mausam ke badal jaane tak

Tuesday, March 26, 2013

Judaa kar diyaa


khwaab banke sajna thaa tumhaari aankhon mein
tumhe aansoo banaa ke aankh se judaa kar diyaa

baithe the tumhaare dil mein dhadkan ki tarhaa
tum ne dil se judaa kar ke gumshudaa kar diyaa
Dil meraa machaltaa kyun hai

hai nahi mohabbat unse to dil meraa machaltaa kyun hai
milne ko betaab ho ke yeh dil meraa fir jalta kyun hai

hai pyaas mere dil mein bahut, seene mein lagi aag hai
samundar mein doob ke bhi lahoo meraa ubaltaa kyun hai

kuch to un mein baat hai, kuch to un mein khaas hai
uss hasi ko dhoondne dil raahon mein nikaltaa kyun hai

geeli un ki aankhen hain do, bheege un ke honth hain
barsaat mein bhi bheeg ke jism yeh pighaltaa kyun hai

chhoo lun unko ek baar, main baahon mein bhar loon unhe
pyaar unhein karne ko meraa dil yeh ab machaltaa kyun hai

sharaab ki botal hain woh, nashaa un mein khoob hai
nashe mein doob ke bhi 'Hriday' aaj sambhaltaa kyun hai

kadmon ko apne roktaa hoon, aage badhne se toktaa hoon
suntaa nahi baat meri, khud-ba-khud yeh chaltaa kyun hai
Jaanam

dost ban ke aaye meri zindagi mein
ab kyaa se kyaa ban gaye ho jaanam

dard mein doobaa thaa yeh dil meraa
meri har khushi ban gaye ho jaanam

aankhon ke raste dil me samaa ke
meri mohabbat ban gaye ho jaanam

kaise bewafaa naam de dun main tumhe
mere liye bhagwaan ban gaye ho jaanam

tum bin ab kuch bhaataa nahi mujhe
tum meri zindagi ban gaye ho jaanam....

Monday, March 25, 2013

Tum meri jaan ban jaao


sajaa lun tumhe hothon pe, tum meri muskaan ban jaao
ho jaaun gum is tarhaa ki tum meri pehchaan ban jaao

khwaabon mein tum hi aate ho, aake unhein sajaate ho
dhadkano mein ho hi, mere dil ke har armaan ban jaao

khwaaish hai dil ki main chhuu loon chaand taaron ko
pankh failaa loon udne ko, tum mere aasmaan ban jaao

har lamhe mein tumhaaraa saath ho, tum bin ho kuch nahi
tum hi bano ateet mere, tum hi mere vartamaan ban jaao

rab ko kabhi dekhaa nahi, kaun hai woh jaantaa nahi
tum bano khudaa mere, tum hi mere bhagwaan ban jaao

saanson mein tum ho, mere khoon ki rawaani mein tum ho
ab kehne ki zarurat hai kyaa ki tum meri jaan ban jaao
Buraa to naa maanoge


main tumse kuch baat kahun
tum buraa to naa maanoge
kahun main, tumse mohabbat hai
tum buraa to naa maanoge

kab se yeh baat main
dil mein dabaaye baithaa hoon
kehnaa chaahtaa hoon 
magar keh nahi paata ahoon
aaj keh dun sab kuch tumse
to tum buraa to naa maanoge...

Saturday, March 23, 2013

Baatein achchi lagti hain

humein to tumhaari baatein achchi lagti hain
tumse hamaari mulaaquaatein achchi lagti hain

raat andhere mein tumhaari yaad jab aati hai
humein tumse saji woh raatein achchi lagti hain

mann kartaa hai bheeg jaayein mohabbat mein
shayad isiliye humein barsaatein achchi lagti hain

tumhein yaad kar jab saansein paagal si hoti hain
hamaari rukti chalti woh saansein achchi lagti hain