Thursday, January 31, 2013

Tumhaari adaa

wo ruthnaa meraa, pyaar se manaanaa tumhaaraa
duur jaate jaate, fir wo paas aanaa tumhaaraa
gusse se meri taraf dekhnaa, kuch badbadaanaa
meri aankhon ko dekh wo muskuraanaa tumhaaraa

kabhi pyaar hadd se zyaadaa badh jaataa agar to
wo apni adaaon se mujhse hi sharmaanaa tumhaaraa
us pal agar tumhaare chehre ki taarif kar dun to
haathon mein apnaa hi chehraa chipaanaa tumhaaraa

Wednesday, January 30, 2013

Din laut aayenge


aaj bhi hum zindagi ke us mod pe akele khade hain
jahaan tumne kahaa thaa, thaharnaa, hum aayenge

lamhe, din, mahine, saal guzar gaye, hum wahin hain
magar ab bhi hai yakeen, ki ye din badal jaayenge

aetbaar tumhaari us baat pe nahi, bas tum pe hai humein
jaante hain hum, ki wo din khushi ke laut aayenge....
Dekhaa hi nahee


baat ye sach nahee ki humein intezaar nahee
aur baat hai ki unhe hum par aetbaar nahee

hum kyaa judaa huye un se kuch pal ke liye
wo samajhte baithe humein unse pyaar nahee

wo dekh nahi paaye humein mudke dekhte huye
aur soch liyaa humne mudke dekhaa hi nahee....
Muskuraa rahe hoge


kal shaam yunhi chhat par baithe baithe
taaron ko dekhte huye ye khayaal aayaa...

shaayad kahin duur, apne chhat pe baithe
un taaron me tum mujhe dekh rahe hoge
dekh meraa chehraa tumhe dekhtaa huwaa
shayad tum wahaan sharmaa rahe hoge...

kabhi chhipaa rahe hoge apnaa chehraa, aur 
kabhi chupke se mujhse nazar milaa rahe hoge 
hogi tadap mujhe seene se lagaane ki, par
tadapte huye bhi tum muskuraa rahe hoge

ye kaisi deewaangi hai, kaisaa nashaa hai
ki duur hoke bhi duur nahi hain ek pal
main tumhe mehsoos kar rahaa hoon yahaan
tum bhi mujhe wahaan mehsoos kar rahe hoge

aisaa pehle nahi hotaa thaa kabhi mujhe
main paagal tha magar itnaa nahi thaa kabhi
jaantaa hoon tumhaari haalat bhi mujh jaisi hai
tum bhi kuch mujh jaise kaam kar rahe hoge

kabhi baatein karte hoge apne ghar ki deewaaron se
kabhi yunhi akele baithe baithe kho jaate hoge
kabhi to khud ko sochte hoge baadalon ke bich tum
kabhi apne ki khwaab me aasmaan me udd rahe hoge

kyaa ye asar mohabbat kaa hai, yaa kuch aur hai
aajkal, tum bhi kuch kuch meri tarhaa sochte hoge
jaantaa hoon ki ye paagalpan hai meraa, ye sochnaa
ki padh ke ise is pal tum muskuraa rahe hoge....

Tuesday, January 29, 2013

Ab wo nahi aate

ab is mehfil me wo nahi aate....
haan ye sach hai, ab wo nahi aate...

jinke liye maine khud me mehfilon me aane ki aadat daali
jinke liye maine khud ko badal ke, khud ko bhulaa diyaa
wo jo kabhi is mehfil ki shaan huwaa karte the
wo jo har kisi ke dil me rehte the, sabki jaan huwaa karte the
jaane kyaa huwaa, is mehfil me ab wo nahi aate.....

shaayad hamaari aankhon me unhone mohabbat ko padh liyaa thaa
yaa shaayad unhone dil hi dil humse mohabbat kar liyaa thaa
kuch to hai jisne unhe yahaan, is mehfil me aane se rokaa huwaa hai
arsaa beet chukaa unko gaye huye yahaan is mehfil se
unse milne hum to aa jaate hain yahaan har roz, magar
wo yun naraaz huye humse ki wo nahi haate
haan ab is mehfil me ab wo nahi aate....

meri aankhen ab bhi yahaan aake bas unhi ko dhundti hain
meri dhadkane, bahut zoron se unhi kaa naam pukaarti hain
magar shaayad wo sun nahi paati ye aawaaz, mere dhadkano ki
tabhi to arse se unki ek jhalak tak naa mili in aankhon ko
shaayad unhone aanaa chhod diyaa hai ab is mehfil me...
shaayad, yahaan ab wo nahi aate....

Friday, January 25, 2013

Pehchaan baaki hai

aajaao, ki ab bhi hum me thodi si jaan baaki hai
tumhaaraa diya huwaa abhi 'hriday' naam baaki hai

ab aajaao, aake khatam karo, ye lamhaa judaai kaa
zindagi chhoti hai, aur bahut se kaam baaki hain

tumko saath leke ab taye karnaa hai safar baaki
zindagi ke, ab bhi bahut se imtehaan baaki hain

baaki hain thodi dhadkanein, thodi si saans hai
lene ko tumhe baahon me ye dil pareshaan baaki hai

abhi to din niklaa hai, yakeen hai ki tum aaoge
chaand to niklaa nahi, abhi poori shaam baaki hai

tumse main duur hoon, magar dil tumhaare paas hai
aashiq kehlaataa hoon, meri yeh pehchaan baaki hai

kab tak tadpaaoge, kab tak mujhe tum yun sataaoge
ye aashiq tumpe karne ko ye jaan qurbaan baaki hai

aake mujhe chhu lo tum aur baahon me bhar lo mujhe
humpe tumhaaraa karne ko, abhi ye ehsaan baaki hai

Thursday, January 24, 2013

Tum aaoge


dekho naa ye bagichein aaj fir khilne lage hain ki tum aaoge
ye panchhi pankh failaaye fir se udne lage hain ki tum aaoge

banjar thi, sukhi thi kabse yeh zameen tumhaare nahi hone se
aaj isme phool khile hain, taazi khushboo si hai ki tum aaoge

intezaar jo barson se thaa aaj wo khatam saa lagne lagaa hai
dil me khushi ki leher si hai aaj, khush hain hum ki tum aaoge

firse hothon pe muskaan saji hai, wajah hogi fir nayi jeene ki
naa dilme koi dard hogaa, muskuraa rahe hain hum, ki tum aaoge

baahen kabhi sooni naa hongi, haathon me tumhaaraa haath hogaa
saath hogaa tumhaaraa umra bhar kaa, jaan gaye hain ki tum aaoge
Dard me hi jal jaaye hain


woh tumhaari mohabbat me fisle they, naa aajtak sambhal paaye hain
naa to thik se jal paayen hain, naa poori tarhaa pighal paaye hain

shaq to humein bhi nahi ki bhulaake khud ko wo mohabbat karte hain
magar, naa to woh khud me rahein, naa kabhi tum me dhal paaye hain

pehle wo thik they, tumse judaa is duniyaa kaa ek aam insaan, magar
jabse tumse mile, jaane kyaa huwaa do kadam tak naa chal paaye hain

kuch to hai tumme ki wo hosh me hote huye bhi hosh me naa reh sake
pi nahi sharaab, par tumhaare nashe se ab tak naa nikal paaye hain

kehte hain tumse hain wo, aur ab bas tum jaisaa bannaa chaahte hain
yeh bas ek koshish hi rahi, ab tak wo kuch bhi naa badal paaye hain

Wednesday, January 23, 2013

Shaayar ke ghazal ko dekh letaa hoon


bheegne ki khwaaish se kabhi to kaale baadal ko dekh letaa hoon
naa ho baadal to, tumhaare aankhon ke kaajal ko dekh letaa hoon

tum mujhme base ho kuch is tarhaa ki jab tumhaari yaad aati hai
aaine me, main tumpe marne waalaa, is paagal ko dekh letaa hoon

kabhi aajaaye ye baat dil mein, ki khush pehle thaa yaa ab main
main bhulaa ke apnaa ateet, main apne aajkal ko dekh letaa hoon

kaash tum kabhi udke aanchal jaise, mere seene se aake lag jaao
khwaab me roz main tumhaare udte huye aanchal ko dekh letaa hoon

tumhaari aankhen, tumhaari zulfein, kyaa kyaa cheez dekhun main
samajhke phool main tumhaare hothon ke kamal ko dekh letaa hoon

kuch bhi kahun tumhaari taarif me, sab kam hi hogaa, meri jaanaa
taarif mein kisi shaayar ke umdaa kisi ghazal ko dekh letaa hoon

sochtaa hoon duniyaa me sabse pyaari kyaa cheez hai, isi soch se
kabhi main tum ko, to kabhi main us taajmahal ko dekh letaa hoon
Karo ek koshish


naa karo yun baatein bas dil behlaane ke liye
karo tum dil se ek koshish, paas aane ke liye

hum to tum se jeete hain, tumpe hi marte hain
uthaao koi kadam meraa saath nibhaane ke liye

kab tak yunhi duur duur se baatein karoge tum
dedo ek maukaa tumhe seene se lagaane ke liye

ye ghum, ye aansun, ye dard judaai kaa kab tak
karo naa faislaa aakhri tum muskuraane ke liye

yaa to aajaao paas mere, aake ban jaao tum mere
yaa fir de do duwaa koi tumhe bhool jaane ke liyee
Hum paagal ho jaate hain


tumhaari baatein soch soch ke hum kho jaate hain
tum aaoge khwaab me yeh soch ke hum so jaate hain

kabhi kabhi dekhte hain apni khidki se jhaank ke
naa paake tumhe kahin, hum chup se ho jaate hain

tadapte rehte hain tumse milne ko subah se shaam
yaadein aansoo banke aankhon ko bhigo jaate hain

jaante hain ki tum aaoge, kuch pal ki deri  hogi
jaan ke bhi hum un palon me paagal ho jaate hain
Aankhon se pilaao mujhe

main thodaa pee loon, tum aakhon se pilaao mujhe
main thodaa jee loon, tum seene se lagaao mujhe

tumse hi meri har khushi hai, tumse hi saanse hain
main kho jaaun, tum apne zulfon me chhipaao mujhe

main pyaasaa hoon mohabbat kaa jaane kab se
bujh jaaye pyaas, tum hothon se chhuu jaao mujhe

pyaar bhi ajeeb cheez hai jo hasaati hai rulaati hai
naa rahun main hosh me, tum is tarhaa achhed jao mujhe

paake tumhe lagtaa hai ab kuch paane ki khwaaish nahi
dil me basaa ke, tum duniyaa se duur kahin lejaao mujhe
Main aankhon se piungaa

tumhaare aankhon se thodaa saa sharaab piungaa
hothon ko chhuu ke main thodaa saa gulaab piungaa

pyaasi hain meri aankhen tumhaare deedaar ke liye
dekh ke tumhe aankhon se cheez laajawaab piungaa

aake baithnaa kuch pal saamne, do baatein karnaa
main tumhaare husn ko nazron se behisaab piungaa

mil jaanaa aake ragon mein behte khoon ki tarhaa
main aaj jee bhar ke tumhaaraa shabaab piungaa

chaahe kehlo nasheri, yaa mujhe sharaabi kehlo
aaj tumhaare aankhon se thodaa sharaab piungaa

Tuesday, January 22, 2013

Tumse chaandni kar loon


jalaa ke chiraag mohabbat kaa, main roshni kar loon
taktaa rahe wo chaand, main tumse chaandni kar loon
Tum mere paas nahi


aaj bhi kabhi kabhi tanhaa baithe sochtaa hoon
ki kitni tezi se guzraa wo lamhaa, wo aakhri mulaquaat apni
tum mujhse miley, main tumse milaa, baatein kiye
aur fir judaa ho gaye, sadiyon ke liye....

wo faasle hamaare darmiyaan, kuch palon se ghante, aur fir saal
kuch is tarhaa faaslon ne hamaare bich faaslon ko badhaayaa
ki duur tum jaate rahe aur main bhi duur hotaa rahaa
naa ab tak tum sambhle ho, naa hi kabhi main sambhal paayaa

kaash, haan ye ek shabd kaash, aaj bhi zeher banke gunjti hai
cheer deti hai mujhe, mere dil ko, shareer ko, meri aatmaa ko
kaash, ek baar, us pal, kuch sochaa hotaa, 
dimaag ko bhulaa ke dil se faislaa kiyaa hotaa....

kaash... to aaj ye din aisaa naa hotaa
to yun hum baatein na karte anjaan ho ke ek duje se, duur baithe
tum shayad yahin kahin mere paas hote, mere dil me hote
na na .. dil me to ho ab bhi... magar wo baat nahi
tumhe rakhaa hai sajaa ke dil me magar tumko ehsaas nahi
main tanhaa akelaa hoon kahin, aur tum... aaj mere paas nahi...
Kaise bataaye tumhe hum


kitnaa aaraam miltaa hai tumhaare seene se lag ke kyaa bataaye tumhe hum
kaise dhadkano ki tezi badhti hai tumhe yaad kar, kyaa bataaye tumhe hum

baarish ki boonden bhi aag jaisaa kuch lagaa ke jalaati hain humein abto
un boondon me aag kahaan se aati hai, tum hi kaho kyaa bataaye tumhe hum

tumhaare honth, jinki taazgi kisi gulaab ke phool se kam nahi hain kabhi
kisi gulaab ko tumhaare paas laake, use chhoo ke kyaa dikhaaye tumhe hum

saawan ki jhadi ho tum, suraj ki mujhe chhooti, wo pehli kiran hi ho tum
magar, ye baat kabhi aake kareeeb tumhaare bhalaa kyaa bataaye tumhe hum

hum to bas isi baat se khush hain ki tumhe hamaari mohabbat pe yakeen hai
tumpe humein kitnaa yakeen hai, tum hi kaho, yeh kaise bataaye tumhe hum