Wednesday, September 29, 2010

Chaand nazar aaya tha

kal subah mujhe khwaab me uska chehra nazar aaya tha,
kal din me pehli baar mujhe ek chaand nazar aaya tha,

wo chaand jo bedaag tha, wo chaand jo ki paak tha,
kal subah mujhe khwaab me wo chaand nazar aaya tha,

hawaa ke jhaunke se udne laga wo dupatta uska,
dupatte ki aad me uska wo chehra nazar aaya tha,

uski har adaa me kal mujhe iqraar nazar aaya tha,
kal subah uski aankh me mujhe pyar nazar aaya tha...
Jab haqeeqat me tera aana hua

na poochho yaaron mujhse mere dil ka tab kya haal hua,
nashili uski aankhon se jab mere aankhon ka milna hua,

bechaini uski aankhon me thi, apna to jal jaana hua,
dekho fir se koi kaise kisi shaama ka parwaana hua,

dekhte the khwaabon me jise, uska kuch aisa aana hua,
aankhon pe mere bas na chala, ye to uska deewana hua,

dekha usko angrai lete, dupatte me khudko chhupaate,
dekh geele hothon ko uske mera to tab mar jaana hua,

hosh hi tha maine khoya jab uska khidki pe aana hua,
khwab me aati thi kal tak, aaj haqeeqat me aana hua,

geet uspe likhna chaaha par shabdon ka gum jaana hua,
kal uske husn ke maikhaane me apna to behek jaana hua...
Tere dard ke saath jeete hain

ye geet hi to hain jo ab teri kami ko poora karte hain,
kal tak tera saath tha aaj tanhaayi me jiya karte hain,

kho jaate hain teri yaadon me hum, tujhko yaad karte hain,
teri yaad ko seene se lagake geet tujh pe likha karte hain,

kabhi tu hua karti thi saath, aaj tere dard k saath jeete hain,
tere dard ko geeton me sajaake hum tera naam likha karte hain,

hum to isliye likhte hain ki apna dard ko kam kar saken,
log mehfil me mere aake mere dard pe wah wah karte hain,

tu hi meri zindagi hai jaana, hum bas tere liye jiya karte hain,
saath tera hum paaa na sake par tujhe geeton me mehsoos karte hain...

Monday, September 27, 2010

Ek Sapna

kal subah use julfen lehraate huye maine dekha tha,
usko kisi ki baat pe khilkhilaate maine dekha tha,

ek parda meri khidki ka, ek parda uske ghar ka tha,
kal maine dono pardon ko ek saath uth_te dekha tha,

uski geeli aankhon me maine pyaar pyaar dekha tha,
uski komal kaaya ko maine bin shringaar dekha tha,

khile gulaab ki tarah kal maine usko khilte dekha tha,
kal kuch is tarha usko kali se phool bante dekha tha,

suraj ki pehli kiran ko kal maine uspe padte dekha tha,
apne rang se use maine suraj ko roshan karte dekha tha,

kal subah maine ek khoobsurat sa aisa sapna dekha tha,
aankhen band karke neend me maine usko apna dekha tha,

kal apne sapne me usko maine julfen lehraate dekha tha,
kal subah maine ek khoobsurat sa aisa sapna dekha tha.
Bas chalte hi jaana hai

kuch paana hai kuch khona hai,
yahi jeewan ka fasaana hai,
mitti se hi aaye the hum,
fir mitti me mil jaana hai,

kuch pal ka hai jeewan apna,
kabhi hasna hai kabhi rona hai,
kuch se duur ho jaate hain to,
kuch k kareeb humein hona hai,

chhota sa hai jeewan ka safar,
kal ko kisne yahaan jaana hai,
thakkar kahin hume rukna hai hai,
bas chalte hi jaana hai...
jaane ye kaisi mohabbat hai, jaane ye kaisa ehsaas hai,
main zindagi hoon kisi ki, aur mera dil kisi k paas hai...
Ghum ke siwa kuch bhi nahi

yaadon ko basa ke rakha tha dil me, bhoolayen nahi hain,
uska chehra aaj bhi hai aankhon me, mitaayen nahi hain,

kabhi sochte hain ki kaash wo hamaari hoti hamesha k liye,
kabhi sochte hain ki wo hume mili na hoti bhulaane k liye,

ye mohabbat bhi ajeeb ehsaas hai dost jo koi samjha nahi,
kisi ko mila haasil to kisi ke naseeb me kuch bhi nahi,

aaj jab dekha use kisi aur ki baahon mein angraaiyaan lete huye,
socha mere dil me jo tha itne saalon se shayad mohabbat hi nahi,

haan mujhe ghum is baat ka nahi hai ki usne bhoola diya mujhko,
ghum to bas is baat ka hai ki aaj tak main usko bhula paaya nahi,

aati hai haqeeqat me nahi par chhed jaati hai raaton ko khayaalon me,
kya rishta hai usse mera jo juda ho ke bhi ab tak juda ho paaya nahi,

kya yahi mohabbat hai ki koi rota hai kahin to koi hasta hai,
kyun uske naseeb me bas khushiyaan hain,
aur mere naseeb me ghum k siwa kuch nahi...

Sunday, September 26, 2010

Ek paagal si wo ladki hai

ek paagal si wo ladki hai,
jaane mujhpe kyun marti hai,
wo har lamha tanha rehti hai,
aur mujhse baatein karti hai,

uske geet hi gaata hoon main,

wo meri awaaz pe marti hai,
kuch aisa asar hai uska ki,
har saaz me jaadu bharti hai,

ek paagal si wo ladki hai,
khwaabon me aaya karti hai,
meri baatein sochti hai wo,
chupke se aahen bharti hai,

main uske pyaar me paagal hoon,
deewana mujhe wo karti hai,
mishri si meethi boli uski,
bas meethi baatein karti hai,

chupke se aake raaton ko,
mujhko wo chheda karti hai,
ek paagal si wo ladki hai,
jo mujhse mohabbat karti hai,

kaano mein aake kuch kehti hai,
mere baalon se khela karti hai,
gaalon ko mere chumti hai wo,
wo khub shararat karti hai,

ek paagal si wo ladki hai,
bas paagalpan hi karti hai,
apni meethi shararat se,
wo mujhko chheda karti hai,

ek paagal si wo ladki hai,
jo meri aawaaz me marti hai,
ek paagal si wo ladki hai,
jo mujhse mohabbat karti hai...
Tumhaare saaanso se mil jaayenge

ek din aake tumse kuch is tarha hum mil jaayenge,
ki baagon me phool gulaab k fir se khil jaayenge,

mehfil k har rang aake tumse is tarha mil jaayenge,
ki dil ke tumhaare armaa fir se machal jaayenge,

itne rang bhar denge hum aake tumhaari zindagi me,
ki tumhaare jeewan ke sab rang satrangi ban jaayenge,

na jaayenge tab ek pal ke liye bhi hum tumse duur,
tab hamaari saanse tumhaare saanso se mil jaayenge,

gaayenge hum har geet tab bas saath ek dusre ke,
aur hamaare har ek shabd tab ghazal ban jaayenge....
Tum aaye ho

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

raahe zindagi mein kai humsafar mile, kai bichhde,
tum zindagi bhar ke liye mera humsafar banke aaye ho,

pehle miley ajnabi ke jaise, mujhse tum anjaan banke,
ab meri is zindagi me tum koi khumaar banke aaye ho,

zindagi thi sooni meri, na dost na koi humdum hi tha,
tum to meri zindagi me meri zindagi hi banke aaye ho,

zindagi mein ghum hi tha, na muskuraane ki koi wajah thi,
tum to meri zindagi mein jaise koi muskaan banke aaye ho,

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

tum to meri zindagi me koi aetbaar banke aaye ho,
tum to meri zindagi me pyaar beshumaar banke aaye ho,

aur ab...

lagta hai aisa har pal mujhe ki tum nahi to kuch nahi,
bheed me bhi lagta hoon tanha, tum nahi to kuch bhi nahi,

phool bhi gulaab ka ye kehta hai mujhse kabhi,
haath me uske na pahuchu to wajood mera bhi nahi,

kaanton se ghira hua hoon, chubhte hain mujhe subha shaam,
saath uska na mila to zindagi to meri zindagi nahi,

kuch is tarha ki kahaani kamal bhi kehta hai mujhse,
kichad me dooba hua hoon, mera koi astitwa nahi,

chhoo le wo agar ek baar, aa jaaye mujhpe bahaar,
kichad ka hoon, kichad me hoon, wo nahi to main kuch nahi,

phoolon ka main kya kahun, kuch kahaani yun meri bhi hai,
tanha hoon main bin tumhaare, tum nahi to main bhi nahi,

khoya rehta hoon main har pal, yaadon mein bas tumhaare,
saath ek pal ka na mile, kho jaata hoon main jaane kahi,

sach....

raahe zindagi mein kai humsafar mile, kai bichhde,
tum zindagi bhar ke liye mera humsafar banke aaye ho,

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho...

Thursday, September 23, 2010

Thaan li hai maine


tujhe chaahne se pehle kuch socha nahi tha maine,
mohabbat karne se pehle kuch samjha nahi tha maine,

ab jab kar hi chuke hain waadaa kaanton pe chalne ka,
hadd se guzar jaane ki dil me thaan li hai maine,

ye na sochna kabhi tu ki ye waade mere khokhle hain,
waqt aane pe jaan tak dene ki kasam khai hai maine,

tune aashiq dekhe honge jo waade karte hain dil rakhne k liye,
par main waisa nahi, khud se jyaada tujhe chaaha hai maine,

ab kya kaanta, kya aag, kya hai sholon pe chalna,
teri mohabbat me ab kuch bhi kar jaane ki thaan li hai maine...

judaai bhagwaan ko bhi manzoor nahi hota,
chahat se badh ke koi suroor nahi hota,
aaj sapna hai jo kal haqiqat bhi hoga,
sach kabhi sapno se duur nahi hota...

Bas tumhe pyaar karenge

tumhaaare hothon pe hum ab muskaan saja denge,
kaaton ko chunke raahon pe phool bichha denge,

jo dekhen the khwaab tumne wo hum poore karenge,
hum tumhaare aansoo ki har ek boond mita denge,

ek chhota sa aashiyaan hoga apna aur hum honge,
us aashiyaane ko ab hum khushiyon se saja denge,

na dard ki awaaz hogi na ghum ka koi saaya hoga,
khud ko tumhaare har dard ki hum dawa bana lenge,

ab har lamha hum ek dusre bas ke saath rahenge,
duniya ko bhula denge hum aur har rasm mita denge,

aangan me tumhaare chaahat ka chiraag jala denge,
chaahat ke mehek se tumhaari zindagi mehka denge,

tumpe hi hum ab apni ye zindagi loota denge,
kuch na karenge hum, bas tumse pyaar karenge...
Koi apna mil hi jaayega

aankhen bichhaaye baithi ho jaane kabse apne piya ke liye,
raahen sooni hai, aur ghadiyaan ruk si gayi hain unke liye,
wo ayenege iska aetbaar shayad tumhe aaj bhi hai magar,
dil kehta hai tumhaara ki chhod gaye hain wo sada ke liye,

jo chhod jaate hain saath kabhi milte nahi dobaara humse,
umra beet jaati hai apne par mil nahi paate hain hum unse,
kya huwa agar unhe tumhaare ehsaason ki kadar nahi hai aaj,
duniya badi hai, kai mil jaayenge jo mohabbat karenge tumse,

kyun kisi aese ke liye apne motiyon jaise aansoo bahaate ho,
kisi paththar dil insaan ke liye kyun bewajah pyaar lutaate ho,
aayega nahi ab laut ke, khush hai wo apne khushiyon ke jahaan me,
kyun aaj bhi tum uske naam ke geet is tarha hothon pe sajaate ho,

duniya bahut badi hai mere dost, koi apna mil ji jaayega tumhe,
jo samjhega tumhaari chahat ko aur khudse badh ke chaahega tumhe,
wo itna pyaar dega tumhe ki tum bhool jaaogi duniya ki har baat,
apne dil me basaake rakhega aur baahon me bharke rakhega tumhe...
Judai ka dard kya hai

bahut fark hota hai vaasna aur chaahat mein,
jaise kisi ki niyat aur kisi ki aadat mein,

jaruri nahi ki jo aankhon se dekha wo sach ho,
jaruri nahi ki jo kaano se suna wo sach ho,

kai baatein hoti hain jo deewaaron ko pata hota hai,
un deewaaron ke qaid me kai baar dil bhi rota hai,

chaah ke bhi kai baar hum apni chaahat ko apna nahi paate hain,
rishton ke bandhan me aur majbooriyon me bandhe reh jaate hain,

kyun lagta hai tumhe aisa ki humne koshish nahi ki hogi,
na ho paayi hamaari koshish safal, koi majboori rahi hogi,

kai mil jaayenge tumhe tum jaise tamaasha dekhne waale,
na samajh paoge kyun hote hain alag kyun rote hain dil waale,

aasaan hai kisi ki tadap pe aag lagaake muskuraa dena,
khud pe kabhi aaye ye ghadi aake tab humse ye kehna,

kya jaano tum kyun tut te hain dil yahaan roz hazaaron me,
tum to bas aate ho yahaan tamashe dekhne roz bazaaron me,

aasaan hota hai kisi gair pe ungli uthaa ke chal dena,
kabhi kuch aisa tumhaare saath bhi ho jaaye to zaraa kehna,

na samajh paoge tum hamaari baat na samjhaa paayenge hum,
suljhaane me tumhaari pareshaani khud ulajh jaayenge hum,

ho sake to kabhi sochna us beti ke baare jisne ye sab kiya hoga,
maa babuji ke mar jaane ki dhamki se jisne darke sab kiya hoga,

pyaar to karti thi wo apne pyaar se khud se badhkar,
par apno ke maut ka karza na utaar paati chahke bhi wo markar,

aasaan hai hasna dusron ke ghumon me bin jaane sach kya hai,
jab beetegi khud pe to samajh paaoge ki judai ka dard kya hai...

Chalti jaati hai zindagi

is jahaan mein pyaar ki koi paribhaasha nahi hoti,
dil se dil ki baat kehne ke liye koi bhaasha nahi hoti,

pyaar do dil ke milan ko bhi kehte hain aur do jismo ke bhi,
kisi kitaab mein likhi pyaar ki sachchi paribhaasha nahi hoti,

pyaar kya hai, ek aakarshan hi to hota hai,
pehle milan, fir dosti, fir pyaar ho jaata hai,

beh jaate hain log bahaaw mein mohabbat ke kai baar,
jismon ke aakarshan ko mohabbat keh dete hain kai baar,

par sach ye bhi nahi ki wo koshish nahi karte ek hone ki,
warna tute na hote aaj tak koi dil aur wajah na hoti rone ki,

ek dusre ki nazdikiyaan aadat me badal jaati hai aksar,
yahi aadat hoti hai jo humein barbaad karti hai aksar,

mohabbat naam ki koi cheez hoti nahi is duniya me,
par aadat ko hi mohabbat kehte hain log jahaan me,

ab aadat to kisi ke chahne se banti na chhoot paati hai,
bas ye aadat hi hai jo humse kai gunah karwaa jaati hai,

chah ke bhi kai baar us mohabbat ya adat ko apna nahi paate hain,
gharwaalo ki marzi ke aage majboor hoke chup hum reh jaate hain,

janm diya jis maa ne, chhote se paal poske badaa kiya jisne humein,
kaise tod paayenge us maa ki mamta ko jisne bas pyaar diya hai humein,

bandh jaate hain aise bandhan me jise todna mumkin nahi ho paata,
tut jaate hain sab sapne aur jeewan aasuon ka dher banke hai reh jaata,

matlab iska to ye nahi ki hum khushiyon ki chaahat hi chhod den,
kyun apne us mohabbat ya aadat ke liye jeene ki chahat chhod den,

kisi ke aane ya chale jaane se tham nahi jaati hai kabhi zindagi,
chalne ka naam hai zindagi, chalti hi jaati hai ye zindagi....