Monday, May 2, 2016

Woh jaane kidhar gaye



hawaa ke jhaunke they jo ab guzar gaye
kaanch ke tukde the, tutke bikhar gaye

kissa dard kaa, sunaayein bhi to kaise
kuch zakhm the puraane jo ab bhar gaye

kuch rishton ko apnaa kahaa thaa kabhi
jinse jodaa thaa woh jaane kidhar gaye

koshish bahut ki chhalak jaane ki magar
dard aankhon tak aakar bas thahar gaye


Monday, April 25, 2016

 
na kaho ki meri khushboo hai tumhaare saanson mein
ragon mein mere bas tum hi to basti ho lahu banke...

Sunday, April 24, 2016

Ek Daastaan ... Ishq ki...



yun to sawaal is dil mein behisaab huwe
aur aap hi mere sawaalon ke jawaab huwe

aap se hi saje aankhon mein khwaab huwe
jitne bhi huwe haseen aur lajawaab huwe

jab kabhi dhadkano mein shor saa badhaa
bas aap hi in dhadkano mein janaab huwe

botal se nashaa to humein huwaa hi nahi
nashaa aapkaa hi thaa, aap sharaab huwe

aapki taarif mein hum kahein bhi to kyaa
ankhien jaisi jheel, honth gulaab huwe

kyaa din, kyaa raat, humein kyaa pataa
hamaare aap hi chaand aur aaftaab huwe

deewaane se huwe aapke ishq mein padkar
aur duniyaa ki nazar mein hum kharaab huwe


Wednesday, March 30, 2016

Zaruri to nahi



bahaut si baaton ko leke pareshaan hoon
har baat kaa koi hal ho, zaruri to nahi

waqt achcha to kabhi bura rehta hi hai
khoobsoorat har pal ho, zaruri to nahi

kab kiyaa manaa koi tohfaa dene se maine
par har kahin tajmahal ho, zaruri to nahi

ehsaas ko lafzon mein pirota hoon main
par haasil-e-ghazal ho, zaruri to nahi

hosh mein reh kar bhi kee jaa sakti hai
mohabbat mein paagal ho, zaruri to nahi


Tuesday, March 1, 2016



naa dikhaane se hogaa, naa jataane se hogaa
pyaar kabhi huwaa to, woh nibhaane se hogaa

afsaano se hogaa, naa meethi baaton se hoga
sukoon to bas use seene se lagaane se hogaa

Friday, December 11, 2015

Har shaqs deewaanaa lagta hai



main deewaanaa hoon, mujhe har shaqs deewaanaa lagtaa hai
jis chehre ko bhi dekhun woh jaanaa pehchaanaa lagtaa hai

yun to kisi se ishq nahi hai magar manaa main kaise karun
hans ke koi baat karle to fir wohi mujhe apnaa lagtaa hai

kyaa garmi, kyaa jaadaa, kyaa basant bahaar ki baat karun
lag jaaye jo rog ishq kaa, har mausam suhaanaa lagtaa hai

chaand saa chehraa kisi kaa, kisi ki zulfein baadal jaisi
baarish ke boondon jaisaa kisikaa khilkhilaanaa lagtaa hai

kisi ke hasee ki baat karun yaa kisi ke meethey baaton ki
kyaa bataaun ishq mein to har andaaz aashiqaana lagtaa hai




Wednesday, December 9, 2015

Kaun ho tum



tum muskuraate ho to muskuraataa hoon main
tumhaare aansoo dekh ro padtaa hoon main
zindagi tham si jaati hai tumhaare bagair
chalti ho tum saath to zindagi chalti hai
humsafar ho tum meri, zindagi ho tum meri
kaise kahun kaun ho tum meri, jaan-e-jaanaa
meri jaanaa jaan lo yeh ki jaan ho tum meri


Friday, November 27, 2015

 
 
tu kareeb hai to yeh jahaan meraa hai
tujhse judaa kuch bhi kahaan meraa hai

tujhse si saansein, tu hi jeewan hai
tere siwaa kaun aur yahaan meraa hai
 

Thursday, November 26, 2015


mere mohabbat ki bas itni si kahaani hai
dil mein dard aur aankhon mein paani hai

do dekh rahe hain aap meri haalat aajkal
ek adhuri mohabbat ki hi to nishaani hai

Monday, November 23, 2015

Mujhe jal jaane do


armaano ko zaraa saa machal jaane do
mere dil ko zaraa tum bahal jaane do

sanson ki garmi, woh hothon ki narmi
naa roko mujhe tum, aaj jal jaane do

kholke baahein tumhe seene mein bharlu
khud ko in baahon mein pighal jaane do

nashe mein abhi tak hoon main jaanaa
nashe mein hi ban koi ghazal jaane do

tum chale bhi jaanaa abhi to aayi ho
zaraa saa mujhe tum sambhal jaane do


Sunday, November 22, 2015


Unkaa Pyaar



unkaa pyaar kuch is tarhaa hamaare kaam aataa rahaa
gunaah woh karte rahe aur humpar ilzaam aataa rahaa

tadapte rahe hain judaa hoke us haseen chehre se hum
aur har aah ke saath sirf unhi kaa naam aataa rahaa



Friday, November 20, 2015

Hamaari zindagi thahar gayi



saikdon ummeedein is dil mein hi toot kar bikhar gayi
ek use paane ki tamannaa mein hamaari saari umar gayi

kal tak humein apne jeene kaa matlab kahaa karti thi
aaj humko anjaana keh ke apne har waade se mukar gayi

hawaa jo kal tak uskaa haal sunaane aayaa karti thi
woh hawaa bhi aaj kisi aur raah se ho kar guzar gayi

muskaan jo hamaare hothon par sajaa karti thi kabhi
kho gayi hai kahin, ab jaane kahaan gayi, kidhar gayi

jaane kaisaa rog lagaa gayi hamaare dil ko woh, bas
uske chale jaane se hamaari zindagi jaise thahar gayi

yaad jo aayi uski aaj yunhi tanhaa baithe kamre mein
is deewaane ko aaj firse thodaa aur deewaanaa kar gayi


Thursday, November 19, 2015

Ho rahaa nashaa hai mujhe



jabse tere ishq kaa rog lagaa hai mujhe
dard bhi lagne lagaa ab dawaa hai mujhe

chhuwaa boondon ne kuch is tarhaa se ab
baarish mein aane lagaa mazaa hai mujhe

behekne lagaa hoon bin piye hi ab to main
kuch ajeeb saa ho rahaa nashaa hai mujhe

apni hi dhun mein jhuum rahaa hoon main
khud kaa naa zamaane kaa ab pataa hai mujhe


Tuesday, November 17, 2015

Yeh kaisi pyaas hai


meethe se dard kaa koi meethaa saa ehsaas hai
bheeg rahe baarish mein, fir bhi ek pyaas hai

mausam kaa jaadu hai, yaa sirf koi khwaab hai
behti hawaaon mein aaj kuch to baat khaas hai

gaa loon khushi mein, yaa fir main jhoom loon
jo duur tha mujhse kal, woh aaj mere paas hai

kehdoon dil ki baat sabse, yaa fir chup rahun
dil mein hai gudgudi, kuch alag hi mithaas hai


Saturday, November 7, 2015

Hum kyaa dekhein



dekh liyaa teri aankhon ko, ab sharaab koi hum kyaa dekhein
dekh liyaa tere hothon ko, ab ghulaab koi hum kyaa dekhein

teraa chehraa hai in aankhon mein, tu hi tu hai har pal mein
hai dekh liyaa tujh ko humne, ab khwaab koi hum kyaa dekhein

teraa chalnaa, teraa hasnaa, har pal teri hi bas baatein hain
tujhse behtar jaan-e-jaan, cheez laajawaab koi hum kyaa dekhein

yeh sach hai, kal tak hamaari aadat thi, padhne ki kitaabon ko
ek padh liyaa jo chehraa teraa, ab kitaab koi hum kyaa dekhein

hamaare andhere is jeewan mein, koi chiraag bankar hai tu aayi
ek tujhse hi ghar roshan hai, ab aaftaab koi hum kyaa dekhein

kyaa ghalat hai, kyaa sahi hai, iskaa humein kuch pataa nahi
hum karne lage mohabbat tujhse, ab hisaab koi hum kyaa dekhein

dekh liyaa teri aankhon ko, ab sharaab koi hum kyaa dekhein
dekh liyaa tere hothon ko, ab ghulaab koi hum kyaa dekhein

Friday, November 6, 2015

mere mohabbat ki bas itni si kahaani hai
dil mein dard aur aankhon mein paani hai

do dekh rahe hain aap meri haalat aajkal
ek adhuri mohabbat ki hi to nishaani hai