Wednesday, February 11, 2015

Mohabbat bayaaan hotaa hai




koi chaand le aaye tod kar aasmaan se, aisaa kahaan hotaa hai
bas do dilon ki dhadkane mil jaaye, mohabbat wahaan hotaa hai


kissa mohabbat kaa bas likhe geeton mein bayaan hotaa hai
yeh woh husn hai jo aashiqon ke dil mein jawaan hotaa hai

parwaanaa jal jaataa hai kyun shamaa ke kareeb aa kar ke
wajah to bas ishq hi hai, jo parwaanaa qurbaan hotaa hai

kisi ko mohabbat hai, magar kehne se agar woh dartaa hai
dekhle koi gaur se, yeh uski aankhon se bayaan hotaa hai

log sach hi kehte hain mohabbat ke baare mein yeh shaayad
thodi mohabbat mil jaaye to uskaa jawaab kahaan hotaa hai

yun to upar waale ne haathon mein lakeerein banaa di hain
lakeerein milti wahin hain, sachchaa ishq jahaan hotaa hai

do ghoont sharaab peekar behek jaate hain log aksar, magar
hai nashaa mohabbat mein aisaa, kahin aur kahaan hotaa hai



Saturday, February 7, 2015

Mohabbat karke dekh lijiye

dil ki baaton ko zaraa hothon tak aajaane dijiye
kahin band kamre mein ehsaas, dum naa tod de



jo kehnaa hai aaj dil ko, aap use keh jaane dijiye
ehsaas paani jaisaa hi to hai, use beh jaane dijiye

saari tod dijiye bandishein ki pankh failaa lijiye
saari dil ki band deewaarein aap dheh jaane dijiye

zaraa dekhiye nikalkar kitnaa haseen samaa bhi hai
hawaa ke aaj sangh sangh, khud ko beh jaane dijiye

jaante hain hum bhi, aap band hain khud mein kahin
ab pichhe rokti zanzeeron ko apne reh jaane dijiye

ji zaraa karke dekh lijiye mohabbat kisise aap bhi
mohabbat ke samundar mein khud ko beh jaane dijiye

Wednesday, February 4, 2015

Baadal ban jaataa hai

 
mohabbat bepanaah ho to sunaa hai taajmahal ban jaataa hai
aur adhuri hi reh jaaye to guzraa huwaa kal ban jaataa hai

kuch badnaseeb hote hain jinke kismat mein bas hai andheraa
andheraa hi unke sanam ki aankhon kaa kaajal ban jaataa hai

taras jaate hain log sachchi mohabbat ke liye jahaan mein
jo mil gayaa thodaa kabhi to haseen saa pal ban jaataa hai

behti aankhon se apne aksar aasmaan ko dekh lete hain hum
log kehte hain aankh kaa paani jaake baadal ban jaataa hai

dil ke tootne par sochaa shaayar ban jaayenge, sunaa thaa ki
toot_ta hai dil kisi kaa to haasil-e-ghazal ban jaataa hai



Tuesday, February 3, 2015

Khwaahishein

 
hazaar baatein dil ki hain, hain hazaar khwaahishein
kuch karnaa chaahe dil agar to rokti hain bandishein

hai dil kaa hi sab khel bhi aur toot_ta bhi dil hi hai
is khel mein, har jeet ke, hain dil ki hi sab saazishein

yeh dil to aakhir dil hi hai, kare bhi to kyaa kare
toot_taa hai khwaab bhi aur toot_ti hai hain khwaahishein...


Ek aakhri mulaaquaat
 kahaani hamaare mohabbat ki
poori hote hote adhuri reh gayi
shaayad kuch tumhaari kami rahi
shaayad kuch hamaari reh gayi...

yaad hai woh aakhri mulaaquaat hamaari
sab kuch kitnaa sahi thaa hamaare bich
tum meri baaton ko samajh lete they
aur main tumhaari baaton ko bhi...

magar kuch ajeeb saa huwaa
us aakhri mulaaquaat mein
yaad hai naa tumhe bhi
woh aakhri mulaaquaat hamaari....

kuch tum kehnaa chaahte they
jo main samajh nahi paayaa
kuch main kehnaa chaahtaa thaa
jo tum samajh nahi paaye...

shaayad tumhe kuch kehnaa thaa
jo tum keh nahi paaye
shaayad mujhe kuch kehnaa thaa
jo main keh nahi paayaa...

bas yunhi kehne sunne mein hi
sab khatam ho gayaa hamaare bich
aur kahaani hamaare mohabbat ki
bas adhuri hi reh gayi...

Saturday, January 31, 2015

Bhooli Mohabbat


woh dekhkar humein har baar nazar churaa lete hain
aur hum apni bebasi par har baar muskuraa lete hain



waadaa kiyaa thaa naa milne kaa umra bhar to saamne aate kyun hain
aur jab aa hi jaate hain saamne fir humse nazar churaate kyun hain

jab dil se khel gaye hamaare aap khilaunaa samajhkar tab kuch nahi
ab jab toot gayaa hai khilaunaa to use dekhkar ghabraate kyun hain

hum to koshish mein hain ki bhulaaden har baat aapki, har yaad aapki
fir har baar saamne aake hamaare zakhmon par namak lagaate kyun hain

chhod dijiye naa tanhaa humein ki jeelen hum kuch pal chain se ab to
jaante hain naa dard hotaa hai, fir bhi chont pahuchaate kyun hain

humne to bahut pehle hi tod diyaa thaa har rishtaa aap se hamaaraa
fir kyaa haq hai aapkaa, aap raat mere khwaabon mein aate kyun hain

aadat nahi rahi hamaari ab dard sehne ki, bahut seh chuke hain hum
kyaa miltaa hai aapko humein chhed kar, aap humein sataate kyun hain

jaante hain naa aap, 'Hriday' ko kisi se bhi ab mohabbat ho nahi sakti
dil todaa thaa aapke haseen chehre ne, yaad humein dilaate kyun hain

Thursday, January 29, 2015

Bas yunhi


yeh kaisaa rishtaa hai meraa tum se
kuch keh bhi nahi paate
aur kahe binaa reh bhi nahi paate....

chehre par koi muskaan
kabhi aate aate theher jaati hai
ungliyaan machal jaati hain
kuch likhne ke liye
fir bas kuch dekhkar
yaa kuch sochkar
khud hi ruk jaati hain.....

kaagaz par naam aate aate
aksar theher jaataa hai
aur koi kissaa meraa apnaa saa
pooraa hote hote har baar
adhuraa hi reh jaataa hai...

haan koi kissaa mohabbat kaa
adhuraa hi reh jaataa hai...

Wednesday, January 28, 2015


unki nazron mein hamaare gunaah hazaar rahe
unki bewafaai ke liye bhi hum gunehgaar rahe

Saturday, January 24, 2015

Mujhe Mohabbat hai

 
naa hi basant se, naa hi bahaar se, naa hi kisi bhi tyohaar se
khushi milti hai hamaare is dil ko, to bas tumhaare hi pyaar se

tumhaari aankhein, tumhaari baatein, aur tumhaaraa chehraa hai
sukuun miltaa hai is paagal dil ko, bas tumhaare hi deedaar se

tumse hi meri saansein hain, aur tumse hi meri har dhadkan bhi
mujhe tum jo mili to lagtaa hai ki, huwe sapne mere saakaar se

mohabbat hai, haan mohabbat hai, bas itnaa hi main kehtaa hoon
tum mili, mujhe sab mil gayaa, ab aur kyaa lenaa is sansaar se

jab nikal rahi ho jaan hamaari, woh nikle tumhaari baahon mein
bas itni si sifaarish hai is dil ki, haseen hamaare sarkaar se
 
 


Friday, January 23, 2015

naa kabhi kam huwaa hai, naa kabhi ho paayegaa,
yeh to mohabbat hai, jo bas badhtaa hi jaayegaa...

Wednesday, January 21, 2015

Naa mujhe mohabbat nahi hai


main chhip chhip ke tumhe dekhtaa hoon
tumhaare muskuraane se main muskuraataa hoon
achchaa lagtaa hai sunte rehnaa tumhaari aawaaz
iskaa matlab yeh to nahi ki mujhe mohabbat hai...

naa dekhun tumhe to chain nahi miltaa
tumhaare naa hone se tumhe dhundte rehnaa
tumhaare baare mein bas sochte hi rehnaa
iskaa matlab yeh to nahi ki mujhe mohabbat hai...

kuch likhun to usme tumhaaraa naam aaye
koi khwaab dekhun to tumhaaraa chehraa aaye
har chehre mein bas tum hi tum nazar aanaa
iskaa matlab yeh to nahi ki mujhe mohabbat hai...

yeh to bas mere dil ka paagalpan hai tumko sochnaa
sochkar tumhaari baatein ladkhadaate rehnaa
kho jaanaa tumhaari nashili aankhon mein har baar
iskaa matlab yeh to nahi ki mujhe mohabbat hai...

Tuesday, January 20, 2015

Haseen anjaam dijiye






meri kahaani ko bas apnaa naam dijiye
meri mohabbat ko haseen anjaam dijiye

berang kahaani hai ab tak zindagi meri
mohabbat bharaa aap koi paighaam dijiye

bahut jee chukaa hoon tanhaa akele mein
ab to mere liye haseen koi shaam dijiye

mere hisse ki khushiyaan sab aapko dedun
mujhe aapke hisse ke ghum tamaam dijiye

aapko chaahun main, aapo hi pujun main
mere liye to bas itnaa saa kaam dijiye

Sunday, January 18, 2015

Kwaab toot jaate hain





khwaab aankhon mein hi kyun aksar dum tod dete hain
kuch pal saath nibhaa ke kyun saath chhod dete hain
aisaa kyun hotaa hai yahaan koi bataade humein bhi
jinko apnaa samjhte hain kyun woh muh mod lete hain

kyaa rishte isliye hote hain ki bas waqt guzar jaaye
do palon kaa bas saath ho, aur bas do pal muskuraaye
jinke saath zindagi guzaarne ke khwaab dekhte hain
kyun woh jaane anjaane hi saare khwaab tod dete hain

hum to musaafir hain, chalnaa hi hamaaraa kaam hai
guzaarte hain kahin subah, kahin aur hi shaam hai
log kuch hi pal mein kyun apne se lagne lagte hain
kyun apnaa banke fir apno kaa saath chhod dete hain

khwaab aankhon mein hi kyun aksar dum tod dete hain
kuch pal saath nibhaa ke kyun saath chhod dete hain

Friday, January 16, 2015

mishri si mithi aawaaz apni, mere kaano mein ghol dijiye
hai mohabbat sirf humse aapko, zaraa ek baar bol dijiye

Monday, January 12, 2015

Yaad baaki hai


thode aur kijiye sitam humpar ki
honaa hamaaraa barbaad baaki hai

aake dekh lijiye kabhi fursat se
shahar hamaaraa aabaad baaki hai

hum nahi bhoole hain aapko ab tak
aapki ab bhi thodi yaad baaki hai

kuch hai hamaare dil mein ab bhi
jo aapke jaane ke baad baaki hai

deedaar ho kabhi aapse kahin fir
ab to bas yeh fariyaad baaki hai






Thursday, December 18, 2014


Dil ko samjhaaun kaise


dil hi to hai meraa, main isko manaaun kaise
nasamajh hai yeh, main isko samjhaaun kaise

khud ki hi suntaa hai, yeh khud ki hi kartaa hai
apni pasand ke hisaab se, main isko chalaaun kaise

kabhi deewaano saa lagtaa hai, kabhi paagal saa
kehnaa chaahtaa hoon kuch, main isko bataaun kaise

aashiqui karne mein to sabse aage chalaa thaa yeh
magar kyaa hai aashiqui, main isko samjhaaun kaise

khud ke deewaanepan se ab tak sambhal paayaa nahi main
behoshi ke mausam mein hosh mein main isko laaun kaise

ho asar aisaa mere dard ke aalam mein, ki dil dekh le
bheeg naa jaaye aansuon mein, main isko chhipaaun kaise

mohabbat to 'Hriday' ne bhi kiyaa thaa kisi haseen se
daastaan apne tute mohabbat ki, main isko sunaaun kaise