Tuesday, February 12, 2013

Kismat aur mohabbat

kismat... haan ye kismat hamaari, jaane kaise kaise khel khel jaati hai
kabhi to khushiyon kaa sailaab laa deti hai, kabhi barbaad kar jaati hai

chhin leti hai sab kuch humse, aur humein humse duur, bahut duur le jati hai
lagta hai jaise zindagi kuch thi hi nahi kabhi apni, maut khoobsurat nazar aati hai

kuch aisaa hi huwaa hamaare saath, humne bhi kiyaa thaa mohabbat kabhi kisi se
sochaa thaa bahut khoobsurat si koi cheez hai, bahut haseen hai, magar

sach ye nahi ... sach kuch aur hi hai... jo shaayad koi bhi dekh paataa nahi
kuch pal kaa saath, kuch apnaa sa lagne lagta hai, jo asal me hotaa apnaa nahi

aksar aisaa hi hotaa hai ki jab ret kaa mahal tut ke bikhar jaataa hai
sirf uske baad hi humein us mahal kaa kamzor buniyaad nazar aataa hai

bas dhokhaa hotaa hai aankhon kaa, ek sapnaa jo kabhi sach ho paataa nahi
tuut jaataa hai dil chaahne waalo kaa, jo jode se bhi kabhi jud paataa nahi...
Mushkil hai

ek bandhan, jo saare bandhano se mazboot hotaa hai
wo bandhan tod paanaa aasaan nahi hai, mushkil hai

ek rishtaa, jisne tumhe sab kuch diyaa jahaan mein
us rishte ko tod paanaa aasaan nahi hai, mushkil hai

kyaa huwaa agar saath meraa nibhaa naa paaye tum aaj
kuch waadon ke liye maa kaa dil todnaa naamumkin hai

wo maa jisne tumhe janam diyaa, tumko tum saa banaayaa
us maa kaa vishwaas tod paanaa aasaan nahi, mushkil hai

ek dil hi to hai meraa, jo paagal hai tumhe paane ke liye
samjhaanaa is dil ko aasaan to nahi, magar ye mumkin hai

main kar lungaa intezaar tumhaare liye ek janam aur sahi
is janam ko guzaarnaa tumhaare binaa aasaan naa hogaa, mushkil hai

kahaa thaa maine tumhe, agar yaad ho tumhe meri wo baat
main samjhaa letaa unhe, maanaa aasaan nahi, magar mumkin hai

tumne hi himmat nahi ki, dete meraa saath kuch pal aur to shaayad jeet jaate hum
is jahaan mein mohabbat mil paanaa mushkil hai, magar tum samjhe namumkin hai

ek baar mujhe milne diyaa hotaa, baat kar ke samhaa letaa unhe main
main tumhaari maa ko apni ma samajh ke samjhaa letaa, unkaa beta ban ke

shikaayat kuch nahi hai mujhe tumse, magar apni kismat pe hai jo kuch bhi hai
main kuch naa kar sakaa tumhaare liye, is dard ko mitaanaa is dil se mushkil hai

Sunday, February 10, 2013

Tum meri baahon me ho naa

dil ki dhadkano me ho, meri saanson me ho naa
mere dil ki sab hasratein, unn hasraton me ho naa

mere saanson ki garmi, tere hothon ki woh narmi
mehsoos kar rahaa hoon, tum meri baahon me ho naa

tumko hi chaahtaa hoon, tumko hi maangtaa hoon
banke haseen khwaab koi, meri aankhon me ho naa

dhundne ko jaaun kahaan, tum abhi mere paas ho
chaltaa hoon main jahaan, unn raahon me ho naa

udd rahi hai titliyaan, phoolon me nayaa rang hai
mehek jo ye aa rahi hai tum in hawaaon me ho naa

baarish jo aaj ho rahi hai, tum ho ye bataa rahi hai
tum aasmaan me faile huye ghani ghataaon me ho naa

ragon me behte ho tum, mere dil me to rehte ho tum
dekhun jis taraf bhi main, sab dishaaon me ho naa

chaahtaa hoon main jise wo shaqs mere saath hai
har lamhaa har ghadi tum meri mohabbaton me ho naa

Waqt ko thahar jaane do

nashaa saa chhaane lagaa hai mohabbat kaa
zaraa waqt ko aaj yahaan thahar jaane do

dooriyaan itni kam ho jaayen darmiyaan aaj
saanson ko saanson se hoke guzar jaane do

bheege lab tumhaare mere labon ko chhuulen
usi meethe zeher se aaj mujhe mar jaane do

haathon ki ungliyaan kare sharaarat thodi
pyaar ke sparsh se khudko nikhar jaane do

na rahe koi baat baaki dil me humhaare ab
dil ki hasratein saari poori kar jaane do

khuli baahen meri, tumhe bulaa rahi hain
aake inme khud ko tut ke bikhar jaane do
Main thahar saktaa hoon

main jaantaa hoon, samajhtaa hoon, mehsoos bhi kar saktaa hoon
kehtaa hoon mohabbat hai, magar tumhaari haalat bhi dekh saktaa hoon

yeh rishte, yeh bandhan, ye majbooriyaan kab tak rokenge humein
tum kaho rukne ko to main umra bhar ke liye bhi thahar saktaa hoon

kyaa huwaa jo waade kuch hamaare mohabbat ke adhure reh gaye
tumhe paane ki khwaaish me intzaar ek aur janam kaa kar saktaa hoon

shaayad tum bhool gayi magar mujhe ab bhi yaad hai tumhaari wo baat
mere pyaar ko sweekaar karte huye jo kahaa thaa tumhe bataa saktaa hoon

us din hi tumne kahaa thaa mujhse ki mohabbat ka anjaam shaadi zaruri nahi
tumhaare us baat ko main ek kyaa kai janmon tak bhi yaad rakh saktaa hoon

karne ko kar saktaa hoon main har kaam, seh lun har dard agar tum keh do
tumhaare liye lad loon apne khwaabon se aur main tut ke bikhar saktaa hoon
Kyun aisaa hotaa hai

kyun aisaa hotaa hai is jahaan mein mohabbat mein
hum jise chaahte hain woh kisi aur ko chaahtaa hai

aankhein band kar khwaab mein kisi ko dekhte hain
woh apne khwaabon me kisi aur se milne jaataa hai

sajaate hain apne sapne khushiyon ke jiske saath
woh thaam ke kisi aur kaa haath muskuraataa hai

tadapte rehte hain hum, duwaayein karte hain hum
par kyun har baar hamaaraa khwaab tut jaataa hai

kyaa kami hum me hai, yaa woh hi dekh paataa nahi
ye deewaanaa use har kisi se badh ke chaahtaa hai

Mujhe shikaayat nahi

duur zaroor hoon, magar, kaise kahun ki mujhe mohabbat nahi
yun naa do dosh khud ko tum, mujhe tumse koi shikaayat nahi

jaantaa hoon haalat tumhaari, ab kyaa hai majboori tumhaari
tumhe farz alag koi nibhaanaa hai, isliye koi shikaayat nahi

ek paththar hi hai, jo maine apne seene pe rakhaa huwaa hai
naa samajhnaa tumhaaraa kasur hai, mujhe koi shikaayat nahi

dil hi to hai, samjhaa lungaa use ki mumkin nahi hai anjaam
haste haste har dard seh lungaa par karungaa shikaayat nahi

shikaayat to hogi, magar mujhe shikaayat bas apne kismat se
mujhe is jahaan se, yaa jahaan waalon se koi shikaayat nahi
Woh humein bewafaa bataate rahe

kuch khaas thaa unme ki hum baar baar doobne ko unke paas jaate rahe
aur woh, saahil dikhaake har baar hamaari kashti ko hi doobaate rahe

humein aadat thi hum unki wafaa ke kisse jahaan bhar me sunaate rahe
unki mohabbat thi woh zaalim mehfilon me humko hi bewafaa bataate rahe

dekhaa hai humne kaise har shaqs se woh hans hans ke baat karte hain
aur hamaaraa paagalpan ki hum unko hastaa huwaa dekh muskuraate rahe

ab kehte hain humse ki hum qatraate hain unhe dekhke, unse milne se
kaise bataayein unhe ki judaa unse kaise hum ek ek din bitaate rahe

unkaa jahaan se guzarnaa hotaa, wahaan phool bichhaayaa thaa humne
unkaa ehsaan hi thaa ki woh phoolon ki sej ko naasoor bataate rahe

khud ko unki mohabbat samajh padhte rahe unke likhe geet mohabbat pe
naam kisi aur kaa thaa, wo naam hamaaraa hai hum khudko samjhaate rahe

kuch aisaa rishtaa judaa unse hamaaraa ki ab tak naa bhool paaye hain
hum unke jitne kareeb aate rahe, woh humse utni duriyaan badhaate rahe

Yeh gawaahi hai

hawaaon me yeh kaisi mehek hai aaj kuch alag si
shayaad mere mehboob ke aane ki yeh gawaahi hai

phoolon me bhi taazgi kuch nayi nayi si hai aaj
shaayad tumse milke aaye honge, yeh gawaahi hai

gagan ke aaj baadal dekho, shaayad baarish hogi
tumhaari aankhon me doobne ki to yeh gawaahi hai

har cheez is duniyaa ki tumhe chhuu ke sajti hai
unki khoobsurti itni badhti hui, yeh gawaahi hai

saboot maango agar mere mohabbat ki, kahun main
tumhe dekhke muskuraanaa meraa, yeh gawaahi hai
Khoobsurat saa ehsaas hogaa

dhundoge jo mohabbat bazaaron mein to kuch naa paas hogaa
tutenge bas khwaab, zindagi mein kuch bhi naa khaas hogaa

dhundoge jahaan bhar mein mile koi sachcha chaahne waalaa
naa milegaa kahin woh, bas tutaa huwaa saa vishwaas hogaa

mohabbat wo jaadu hai jo hawaaon mein ghull ke chalti hai
band kar ke aankhein dekhnaa, khoobsurat saa ehsaas hogaa

hone ko ho jaaye mohabbat yahaan har kisi se, har kisi ko
socho aisaa ho jaane se is jahaan me kitnaa mithaas hogaa

naa kisi ko dard hogaa, naa koi kabhi dard me doobaa hogaa
har kisi kaa chaahne waalaa, har lamhaa usi ke paas hogaa

Friday, February 8, 2013

Aao kahaani likh den

aao milke hum apne zindagi ki nayi kahaani likh den
hum ek dusre ke naam apni apni yeh jawaani likh den

do shabd tum likho, do shabd main likhun aaj yahaan
is tarhaa se hum apne mohabbat ki nishaani likh den

chaar din ki zindagi hai fir to maut aani hai sabko
kyun naa hum zindagi ko behtaa huwaa paani likh den

band kar ke aankhen doob jayen ek duje me is tarhaa
khud ko deewaanaa aur tum ko apni deewaani likh den

Wednesday, February 6, 2013

Tumse hasi koi khwaab nahi

pyaar kitnaa karte hain tumse, iskaa koi hisaab nahi
aur pyaar kyun karte hain tumse, iskaa koi jawaab nahi

yun to duniyaa saji hai khoobsurat phoolon se, magar
tumsaa khoobsurat aaj tak dekhaa maine koi gulaab nahi

chadtaa hai nashaa peene ke baad har kisi ko, magar
jo nashaa tumhaari aankhon me hai, aisi koi sharaab nahi

kyun aaj tak kisi ne pehchaanaa nahi mujhe tum se pehle
main bhi to ek insaan hoon, main cheez koi kharaab nahi

ab baaki kyaa rahaa kehne ko, meri baaton se samajh jaao
aankhon me saje hain bahut, magar tumse hasi koi khwaab nahi
Subah se shaam

tum kehte raho, main suntaa rahun
aur bas yunhi waqt guzar jaaye
kho jaaun main tumhaari awaaz me
aur subah se shaam ho jaaye...
Guzraa zamaanaa yaad nahi

hum kaise dhundenge tumhe, woh pataa puraanaa yaad nahi
hum to aise guum huye, humein apnaa thikaanaa yaad nahi

peene jaate the jahaan, humein woh maikhaanaa yaad nahi
hasi aankhon se pitey rahe, koi aur paimaanaa yaad nahi

bhoolen hain khud ko hum, tum ko bhoolaa hum paaye nahi
tumhe to sab kuch yaad hogaa, pyaar nibhaanaa yaad nahi

jaate jaate yeh to bataate, humse bhalaa kyaa bhool hui
tum pe hi marte the hum, kyaa tumhe deewaanaa yaad nahi

tumko paake, tumko chaahaa, tumse hi thaa sabkuch apnaa
tumse pehle kyaa the hum, woh guzraa zamaanaa yaad nahi

tum gaye to bhool gaye sab, kuch bhi ab naa baaki rahaa
sab ko apnaa dard sunaate, ab dard chhipaanaa yaad nahi

tumne kahaa thaa haste rehnaa, aansuon se dur hi rehnaa
dard me kaise haste hain, humein woh bahaanaa yaad nahi

tum hi suur, tum they sargam, tumse hi har geet hamaare
jabse tumse duur huye hain, koi geet puraanaa yaad nahi

ghum se humne rishtaa jodaa, aansuon ke saath rahe hum
honth hamaare kehte humse, humein muskuraanaa yaad nahi

Friday, February 1, 2013

Main saaraa zamaanaa bhool gayaa

dekhaa tumhaari aankhon ko, main apne ghar kaa thikaanaa bhool gayaa
doobaa kuch is qadar aankhon me ki main saaraa zamaanaa bhool gayaa

tumhaare kareeb aayaa thaa main kisi bahaane se yeh yaad hai, magar
tumne pyaar se chehre pe haath feraa, main woh bahaanaa bhool gayaa

apni zulfon ko khol ke jab mere chehre ko chhipaayaa thaa tumne kal
main bas tumhaaraa ban gayaa aur sab kuch main puraanaa bhool gayaa

mujhe seene se apne lagaa ke jab tumne ye kahaa main tumhaaraa hoon
haaye, kyaa kahun kaise, khud ko tumhaaraa ye deewaanaa bhool gayaa

tumhaare shabnami honth, tumhaari sharbati aankhen, kyaa kahun main
jab se tum ko dekhaa hai maine, yeh aashiq aashiqaanaa bhool gayaa

subah se shaam, shaam se raat, aur fir subah tak khoyaa rehtaa hoon
madhosh huwaa kuch is tarhaa mohabbat me ki hosh me aanaa bhool gayaa

Kyaa bataayein tumhe


kaise aaj kal hawaayein chhed jaati hain humein, kyaa bataayein tumhe
chuute hi hawaaon ke hum kaise mehek jaate hain, kyaa bataayein tumhe

kabhi tanhaayi me, apne kamre me, aankh band kar len to tum dikhti ho
baatein karte hain tumse kyaa kyaa us waqt hum, kyaa bataayein tumhe

sab kuch tumhaaraa kiyaa huwaa hai, tum hi ho hamaare haalat ke kaaran
ab hamaare haalaat kaise badle hain tumse milke, kyaa bataayein tumhe

pehle dar lagtaa thaa humein tanhaayi se, ab lagtaa hai ki tanhaa rahe
tum milti ho humse hamaari tanhaayi mein, ye baat kyaa bataayein tumhe

samundar samajhte hain, doob jaate hain hum tumhaari aankhon me jaanam
koshish karke bhi laakh hum nikal nahi paate, yeh kyaa bataayein tumhe

bheegte hain bin baadal ke aise baarish me hum jo mohabbat hai shaayad
jeewant moorat ho mohabbat ki, mohabbat kyaa hai, kyaa bataayein tumhe

kabhi jalte hain, kabhi bujhte hain, toofaan me kisi chiraag ki tarhaa
naa to jee paate hain naa hum mar paate hain, yeh kyaa bataayein tumhe

kuch karo aisaa tum, yaa to saansen laut aayen, yaa fir mar jaayen hum
ab sahi nahi jaati humse tadap apne dhadkano ki, kyaa bataayein tumhe

milte hain tumse, baatein karte hain, kuch pal me judaa ho jaate hain
paanaa chaahte hain tumhe umra bhar ke liye, hum kyaa bataayein tumhe

sab to jaanti ho tum, hamaari aadat ban chuki ho jabse mili ho hum se
yeh aadat badalnaa mushkil hai, ye sach hai, hum kyaa bataayein tumhe

paagal hain hum, ye zamaanaa kahaa kartaa thaa humse, magar aaj jaanaa
paagal to hain magar tumhaari mohabbat me, hum ye kyaa bataayein tumhe