Tuesday, June 30, 2015

Meraa sab kuch tumhaare liye hai


kyaa hai meraa, tum se judaa, tum se alag
tum se hi to meri subah, meri har shaam hai
tumhaaraa chehraa nazar ke saamne hameshaa
dil mein tum, hothon par ek tumhaaraa naam hai

jaantaa hoon main har baat tumhaari
ki main nahi hoon pyaar tumhaaraa
magar kaise bataaun main tumhe yeh
ki tum bin kuch nahi hai meraa apnaa

meri saansein tumhaare liye hain
meri har dhadkan tumhaare liye hai
kyaa hai mere paas aisaa jo tumhaaraa nahi
ragon mein behtaa lahoo tumhaare liye hai

nahi maangtaa main ki tum pyaar karo mujhse
nahi maangtaa main ki jagah do dil mein mujhe
deewaane dil par mere bas itnaa saa ehsaan karnaa
jab tak rahun zindaa bas yunhi kareeb rehne denaa mujhe






Monday, June 29, 2015

 
 
main auron kaa dard to baad mein baant lungaa
pehle mujhe khud to muskuraanaa seekh lene do

desh to main kabhi bhi chalaa saktaa hoon par
pehle dhangse ghar chalaanaa to seekh lene do

Sunday, June 28, 2015

Har lamhaa andheraa huwaa



hamaari zindagi mein kuch is tarhaa andheraa huwaa
naa niklaa kabhi suraj aur naa kabhi saweraa huwaa

roshni ki ummeed mein chiraag jalaa to liyaa magar
chiraag ke niche hi to har lamhaa andheraa huwaa

doobne se bachne ke liye kinaare ki taraf bhaage
jahaan kashti pahunchi, wahin paani gehraa huwaa

bhalaa kaise sunaate kisi ko dard ki kahaani apni
hamaare apno ne hi thaa jab humse muh feraa huwaa

toofaan mein pedon ke patte jab jhhad gaye saare
wahaan parindon kaa kahaan kabhi fir baseraa huwaa

likhne jo baithe ghazal to haalat yun rahi hamaari
alfaaz mile bandhe se aur har ehsaas thehraa huwaa

hum maangte rahe duwaa jis se haath uthaa kar woh
thaa bhi nahi meraa aur naa hi kabhi meraa huwaa



Saturday, June 27, 2015

Manaanaa aasaan nahi hotaa



gulaab kahin koi khil kahaan paayaa murjhaane ke baad
kashti kabhi koi nikal kahaan paai doob jaane ke baad

haqeeqat aaine ki to har koi jaantaa hai ki kyaa hai
aainaa kabhi jud kahaan paayaa hai toot jaane ke baad

kab tak rok paayenge aansuon ko aankhon mein hum apne
chhalak jaataa hai jaam paimaane se bhar jaane ke baad

nibhaanaa aasaan kahaan hai rishton ko is zamaane mein
manaanaa aasaan nahi hotaa kisi ko rooth jaane ke baad

is zindagi ki kahaani bhi kuch aisi hi hai mere yaaraa
koi apnaa kabhi laut kahaan paayaa chale jaane ke baad


Wednesday, June 24, 2015

Bewafaa naam milaa


naa sazaa mili, naa hi inaam milaa
kuch is tarhaa kaa mujhe kaam milaa

wafaa nibhaataa rahaa umra bhar
magar bas bewafaa hi ek naam milaa


Tanhaai bolti hai


tanhaa jab rehte hain tanhaai bolti hai
humse to bas hamaari parchhaai bolti hai

kitnaa rote hain hum use yaad kar kar ke
hamaari kahaani hamaari rajaai bolti hai

vaid ko dikhaayen yaa hakeem ko bulaayen
laa-ilaaj hai ishq, har dawaai bolti hai

kyun bhooke pet so jaate hain hum aksar
sachchaai to bas yeh mehengaai bolti hai

ghar kiskaa basaa aur kiskaa ujdaa hai
haqeeqat to sirf woh shehnaai bolti hai




Humein intezaar milaa


naa pyaar milaa, naa hi aetbaar milaa
humko zindagi mein bas intezaar milaa

zindagi kuch yun uljhi hi rahi hamaari
naa kahin chain naa kahin qaraar milaa

Saturday, June 20, 2015

Ab woh shahar hamaaraa nahi lagtaa



kuch to hai baat jo ab woh shahar hamaaraa nahi lagtaa
rehte hain hum wahaan par woh ghar hamaaraa nahi lagtaa

hum chalen hain unhi raaston par se jaane kitni ki baar
pehchaanaa lagtaa hai raastaa magar hamaaraa nahi lagtaa

kitne tanhaa huwe hain is zamaane mein hum kyaa bataayein
jo pichhe chaltaa hai woh aks aksar hamaaraa nahi lagtaa

manzil tak pahuchne ke liye saath chale the hum unke kabhi
unke duur chale jaane se ab woh safar hamaaraa nahi lagtaa

log kehte hain hamaari muskaan par hi mar mit_te hain sab
ek baar dil toot jaane se ab woh hunar hamaaraa nahi lagtaa

rishton se bhari duniyaa mein koi kami nahi hai rishton ki
sab hain paas hamaare, koi bhi magar hamaaraa nahi lagtaa


Friday, June 19, 2015

Thode aur dard bhar gaye



raah-e-zindagi ke aise moud par aake thahar gaye
saare rishte kaanch ki tarhaa tootke bikhar gaye

bhool ke apnaa pataa gali gali bhatakte rahe hum
le chali hawaa jidhar humein, hum bas udhar gaye

woh jo kal tak saraankhon par bithaate the humein
hum unki hi nazron se kuch is tarhaa se utar gaye

raat ke andhere mein hazaar waade kiye the jisne
subah hote hi woh apne saare waadon se mukar gaye

woh kuch khaas log jinhe dost kahaa karte the hum
zarurat padne pe woh saare dost jaane kidhar gaye

kharaab mausam ke kaaran woh saath they shaayad
mausam ke theek hote hi woh saare apne ghar gaye

inaam aisaa diyaa hamaari wafaa kaa unhone humein
dard ke samundar mein woh thode aur dard bhar gaye



Thursday, June 18, 2015

Waqt ko thahar jaane de





jheel si teri aankhon mein mujhko utar jaane de
jo hai aaj dil mein mere woh mujhe kar jaane de

resham si zulfon ko khol de mere chehre par aaj
karde shaam unhi se aur waqt ko thahar jaane de

naram baahein teri, garam garam saansein ho bas
khud ko baahon mein mere tut ke bikhar jaane de

geele labon pe tere apne labon se ghazal likhdu
naa rok mujhe, aaj mujhe hadd se guzar jaane de




Main sazaa dhundtaa rahaa

jo tum huwe judaa to main
apnaa gunaah dhundtaa rahaa
tum to nikal liye saath chhod
main sazaa dhundtaa rahaa

tum sirf mere the hameshaa se
tum hi yeh samajh nahi paaye
main tumhaari aankhon mein bas
wafaa hi wafaa dhundtaa rahaa


Wednesday, June 17, 2015

Kahin qaraar kahaan


paagal is dil ko mere ab kahin qaraar kahaan
kisi ki aankhon par ab humein aetbaar kahaan

aadat si ho chuki hai humein aansuon ki aisi
kisi bhi khushi kaa ab humein intezaar kahaan

andheraa bahut hai sooni zindagi mein hamaare
roshani ke liye koi chiraag mere yaar kahaan

badalte mausam ke saath baarish to aayi magar
sukhey ghulaab mein kabhi aayi bahaar kahaan

haathon ki lakeerein yeh bataati hain humein
hai hamaari kismat mein kisi kaa pyaar kahaan






Tuesday, June 16, 2015

Main jaltaa jaa rahaa hoon


kis aag mein jaane main jaltaa jaa rahaa hoon
mom ki tarhaa main pighaltaa jaa rahaa hoon
hai chain bhi mujhe, bechain bhi main hoon
kaanton bhari raah par chaltaa jaa rahaa hoon

Sunday, June 14, 2015

Wafaa dhundtaa hoon

jo tum huwe judaa to main
apnaa gunaah dhundtaa rahaa
tum to nikal liye saath chhod
main sazaa dhundtaa rahaa

tum sirf mere the hameshaa se
tum hi yeh samajh nahi paaye
main tumhaari aankhon mein bas
wafaa hi wafaa dhundtaa rahaa


Main bewafaa hoon

kisi ke bhi kisi baat se
main kahaan khafaa hoon
tum hi yeh samajhte rahe
ki main ek bewafaa hoon

dekh lete baahein failaake
main woh paagal hawaa hoon
jo chhed jaataa tumhe bhi
ek aisaa main nashaa hoon

deewaanaa hoon, paagal hoon
kisi ke liye main mazaa hoon
mere liye to meri jaanaa
main dard bhari ek sazaa hoon

kaun meraa yahaan apnaa hai
kiskaa main sagaa hoon
har shaqs ke liye main bas
dhokhaa hoon, dagaa hoon


Dil meraa bekhabar ho rahaa hai



dekhiye dil meraa mujhse hi bekhabar ho rahaa hai
yaa aapki aankhon ke kaajal kaa asar ho rahaa hai

abhi phoolon ki khushboo se yeh mehekne lagaa hai
dekhiye naa kitnaa haseen meraa ghar ho rahaa hai

aapki jheel si nigaahon ko humne dekhaa hai jabse
jaise humpar har nashaa abhi be-asar ho rahaa hai

jo khwaabon mein aake mere hai mujhe chedd jaataa
badaa khoobsoorat meraa woh humsafar ho rahaa hai

hai jaise chiraagon se kisi ne sajaayaa shahar ko
badaa khushnumaa saa meraa shahar ho rahaa hai

hai mohabbat yeh yaa hai bas hulchul mere dil kaa
yeh kaisaa asar hai jo aajkal mujhpar ho rahaa hai

mere dil ki sab baatein aur shor in dhadkanon kaa
lagtaa hai kuch nahi hai, kuch magar ho rahaa hai

pataa mere ghar kaa jaise mujhe pataa hi nahi ab
dil paagal yeh meraa, paagal is qadar ho rahaa hai