Thursday, January 9, 2014

Main fir deewaanaa huwaa

barson baad jo teri yaadon kaa aanaa huwaa
chhalaktaa saa aankhon kaa paimaanaa huwaa

koshish ki rok len boondon ko aankhon mein
par boondon kaa bas yunhi beh jaanaa huwaa

jinhe dil ke sandook mein band rakhaa thaa
un yaadon kaa, aaj achaanak hi aanaa huwaa

naa koi dastak naa hi koi aawaaz di unhone
aa ke meri khaamoshi ko chhed jaanaa huwaa

yaad aayi woh teri gehri do aankhein humein
un aankhon mein hamaaraa doob jaanaa huwaa 

dhundte rahe hum saahil ko majdhaar mein 
aur saahil se meelon dur chale jaanaa huwaa

khoye kuch is tarhaa hum teri yaadon mein
hamaaraa firse khud ko bhool jaanaa huwaa

khud ko badal ke insaan banne chale the hum
'Hriday' firse tere kaaran deewaanaa huwaa

Tuesday, January 7, 2014

Dil ki baat

kuch ehsaas dil ke dil mein dabe reh jaate hain
chaahkar bhi hum zubaan tak laa nahi paate hain

kabhi bandhan zamaane ke humein kehne dete nahi
kabhi hum apne andar ke dar se hi dar jaate hain

samjhaate rehte hain dil ko ki wo hamaaraa nahi
dheere dheere haqeeqat se duur chale jaate hain

jisko kabhi dil ki baat bataa paaye hi nahi hum
dekh uski tasveer bas yunhi khush ho jaate hain

Sunday, January 5, 2014

Koshish

himmat se log tooofaan mein kaanch kaa mahal banaa lete hain
thodi si koshish se log apnaa sunehraa kal banaa lete hain
ek haar yaa ek jeet ko soch kar zindagi naa guzaaro yaaron
aise bhi hain insaan jo khoobsurat apnaa har pal banaa lete hain...
Kuch aisaa kaam kijiye

deewaane dil par bas itnaa saa ehsaan kijiye
jaate jaate aap mudke humein bas dekh lijiye

aankhon ki masti ko dekh reh lenge raat bhar
aap dil kaa qaraar aur hamaaraa chain lijiye

geele labon kaa nashhaa sharaab se kam kahaan
bas ek baar hothon kaa aap humein jaam dijiye

naa rakhiye baandhkar yun apni ghani zulf ko
kholkar zulfon ko apni din mein shaam kijiye 

deewaane hain hum aapke husn ke jaan-e-jaan
is deewaane pe aap bas itnaa saa ehsaan kijiye

naa jaayaa kijiye humein yun chhodke roz shaam
hum aapke hain, aap hamaaraa haath thaam lijiye

do pal, do ghadi ke saath mein ab mazaa kahaan
zindagi bhar kaa aap humein koi inaam dijiye

chaahe saansen lijiye, lijiye zindagi hamaari
aake hamaari baahon mein dil ko aaraam dijiye